Azaan ki awaaz se misha ke aankh khuli thi, karwat Badal kar mobile uthaia screen sawa aik ka waqt bta rahi thi, Azaan fajr ki nhi zuhr ki thi. Misha ne jamai rukte hue phone Khola Aur raat bhar se aae msgs Aur sari social media notifications check karne lagi.
Raat bhar wo sab cousins Jage the , mukhtalif games khelte , gane gaate time ka kuch andaza he nhi hua aur phr Dada jaan ki taraf se bhi unlogo ko subah dair tak sone ke ijazat mill gaye thi sirf Iss shart pe ke fajr parhe beghair koi nhi sooi ga. Cousins bhi wo log itne Sare the ke fajr parhne ke liye larkio ne tou Apni alag jamat khari karli Aur larke Sare masjid nikal gae. Fajr se wo log Jo soe tou phir ab zuhr mei he aankh khuli.
Misha ne thori dair mobile pe apna waqt zaya kiya phr fresh hone washroom chali Gai. Zuhr ki namaz se farigh hokar wo naveen ko uthane mei lag Gai Jo raat balke suba USS ke kamre mei he baate karte karte sogai thi.
Koi pandra minute usse naveen ko uthane mei lage Issi doran usse neche se kuch shor aur hulchul ki awaaze aane lagi , usne zara khirki ki taraf jakar neche jhanka tou uska shak yaqeen mei badal gaya, Phupho maa ka pura khandan bama ehl o ayaal neche mujood tha Aur sath mei Dada jaan ke bhi kuch rishtedar waghaira the. Garia ussi waqt he gate se dakhil hui thi Aur sab ya tou khud utar rahe the ya apna samaan utarwa rahe the. Rohail, Shahzel Aur subhan bhi uni logo ke sath masroof the , subhan tou bechara musalsal jamia le raha tha magar Rohail Aur Shahzel tou bilkul he fresh lag rahe the, usse yaqeen tha ke wo log koi 10 baje se he uth gaye hoge q k Mehman Aur wo bhi itne Sare mehmaaano ko lene Jana, phir sabko sambhalna buhat waqt darkaar karta hai, misha ko dil he dil mei dono pe rashk ayaa , bhala itni kaam neend ke bawajood kon itna fresh reh sakta hai, wo tou jab tak 8-10 ghante soo na jati ,musalsal chirchire pan ka he shikar rehti.
Ahista ahista lawn se rush chatne laga , ab sab ghar ke andar dakhil hone lage, bache alag har taraf bhag rahe the or shor o hungama macha rahe the , baaro ki Apni baatein nhi khatm horahi thi, wohi typical darwaze se ghusne se le kar wapis bahar nikalne tak wali desi antiyou ki adaat, banda puche kia beth kar sukoon se baat karne ke paise lagte hai .
Misha ne Sara manzar dekhne ke baad parde daal die, aaj ka din buhat masroof guzarne wala tha, Sab mehmano se milna, unko settle Karna, phir mehmandaari, uske baad Kal nikah ke tayaari bhi wo tou soch soch kar he thakne lagi thi.
*_*_*_*_*Bijarani house mei har taraf he hulchul se machi hui thi, Aaj nikah tha Aur har koi Bas sab perfect rahe ke dhun mei laga hua tha.
Larkiyon ki tayarri tou alag , larko ki bhi tayarria khatam hone ka naam he nhi le rahi thi.
Sare cousins ne mil kar nikah ke liye Safeed rang ka intikhab kia tha. Larkiyon ne safaid peshwas or long prets ki theme rakhi thi jab ke larko ne safaid shalwar qameez bama peshawari chapal aur ajrak ke shall per iktafa kia tha.
Jumme ka din tha Aur zuhr ke baad nikah the , 1 tou ban he chuka tha Aur mard hazrat masjid ke liye nikal na shuru hogae the. Hawelli ke lawn intehi khubsurt rawaiti andaz mei sajaia gaiyaa tha, lawn ke bilkul wast mei aik khubsoorat jali ke parde se separation kia gaya tha jiske dono itraf rakh sajai Ge the. Aik taraf aurtei Aur dosri taraf mardo ko jama hona tha, parda kuch Iss hisab se set kia gaya tha ke nikah ke qabooliat ke bad dulhan Aur dulha ke liye parda gira dia jaye. Lawn ke puri decoration bhi safaid pholo Aur motion ke larko se ke Gai thi, aurtei tou ab lawn mei Jana hona shuru hogai thi jabke mardo ka intezar kie Jane laga.Uper aao tou apne kamre mei maroon aur safaid ke imtizaj mei saji yumna apna photo shoot karne mei masroof thi, safaid jalidar Aur motia se hua khubsar kaam wala dupatta urh rakha tha Aur mathe ke Baal aik side pe karke kafi bhari lekin intehai khubsoorat jhumar lagaia gia tha iske sath qandho pe maroon kaam wale velvet ke shaal numa dupatte ko phelai wo koi Khalis luckhnovi dulhan lag rahi thi.
Sari czns bhi muslasal yumna ke sath lagi har dosre tareeqe se tasveerain khenchwane mei masroof thi, phir jab photographer ne dulhan ke solo shoot ke liya israr kia tou sari lawn mei akar apna shok pura karne lag Gai.
Derh baje ke qareeb tai amma ne misha ko yumna ko neche lane ke liye bheja q ke mard kisi bhi waqt wapis aane wale the.
Apni dhun mei chalti hui jab wo rohan ke kamre ke taraf se guzri to thathak ke ruk Gai, yumna Wahi khari thi kamre ke becho bech hath mei mobile lie, Misha kuch soch kar muskarate hue andar Agai,
"Muhtarma abhi sirf nikah horaha hai, Bas kuch din ke Aur baat hai rukhsati bhi hojai gi tab tak Zra sabr se kaam lo , aana tumhe issi kamre mei haiii"
Yumna ne chonkte hue nazar utha kar usse dekha, nazron mei ajeeb sa koi tassur tha , sharam, haya ya shararat tou Kahin nhi thi, misha ko laga wo kuch be-yaqeeni Aur iztrab ke kaifiyat mei usse dekh rhi thi.
"Kia hogia hai aesa kia dekh rahi hou Aur shakal pe waqai bara baj rahe hai tumhare ya mujhy weham horaha hai" yumna ne jawab dene ke bajai mobile USS ke samne kia, misha ne bhi foran mobile pe nazar dali tou chounki, wo mobile yumna ka tou nhi tha , balke....., balke Rohail bhai ka tha, mobile ke screen pe kuch msgs jagmaga rahe the , Rohail ka mobile he yumna ke hath mei dekh kar wo itna pareshan hui thi ke msgs ko dekha bhi nhi, dekhne ke zarurat bhi nhi thi wo achi trah andaza kar sakti thi kia cheez yumna ko Iss qadar mutasir karsakti hai.
YOU ARE READING
LA FAMILIA
General Fiction*_*_*_*_*_*_* Misha Bijarani, a young girl in a city, currently doing her BBA, belongs to a family of landlords who unofficially rule their area. During her semester break she leaves for her grandparents house, where all her cousins had already arri...