Encounter with Lala Ghelot

741 46 5
                                    

Shivaanjali was busy with her thoughts and rajveer and shanjh were busy with their missions.

Naveen Finally Meri dost shivaanjali ye smajh gai hai ki uska har Rasta mere dost rajveer par hi jaakar rukega , mera dost shivaanjali ka dost to hai hi par sath mai ek kabil sipahi bhi hai. 

Is waqt Meri dost shivaanjali ko kewal ek hi Rasta nazar aa raha hai rajveer, par kya vakai aisa hai?

Kya meri dost jo soch rahi hai wo sahi hai kya mera dost rajveer jisne khud se phele is system ko rakha, is system ke dyare se bahar jakar Meri dost shivaanjali ki maddad krega?

Meri dost shivaanjali bhi is waqt ek aisi jang lad rahi hai jaha ehmiyat jeet ki hai ladai ki nahi, jang mai bhi kai baar aisa hota hai jaha jang kisi ko bachane ke liye nahi par jitne ke liye ladhi jati hai,
theek vasi hi Jung jaisi Jung Meri behan Naina ladh rahi thi, jaha uska maksad sirf Meri begunahi sabit krna tha aur kuch ni, uske liye us waqt us ladai ka  tarike koi manaye ni rakhta tha, agar parwah thi  usse to sirf Meri begunahi sabit krne ki.

Ek Jung to  Major shanjh bhi ladh raha hai khud se, theek wasai hi ek  Jung jaisi mera dost  rajveer aaj tak ladh raha hai khud se.

Par inki ladai mai fark yeh hai ki Meri behan Naina ke sath har kadam par uske Mentor captain rajveer Singh shekhawat the,
Kyuki ye Jung un dono ki thi, par Meri dost shivaanjali wo is waqt bilkul akeli hai, aur aise akele log aksar logo ki bato mai aakar bewakofiya kar baithte hai, thik wasai hi bewakofi Meri behan Naina ne bhi ki thi, Major Bharghav ki baato mai aakar, Dr. Ritu Mishra ki baato mai aakar,aisi hi ek bewakufi captain Amardeep Hudda ne ki thi Major bharghav ki baato mai aakar,

In bewakufiyo ki list mai Meri behan Naina se leke Captain Yudi tak sab shamil hai, par ye bewakufiya isliye thi kyuki in galtiyo ko unke Mentor , unke rajveer sir se gunah banne se rok liya.

Varna jo sab mere dost Rajveer ne saha col. Shakti Chandra ke murder case mai, wahi sab Meri behan Naina aur Captain Hudda ko sehna padta wo bhi tab jab shayad wo Puri tarah court- martial ka Matlab bhi ni jante the.

Par Meri dost shivaanjali wo is shabad ka matlab to janti hai par iska anjaam nahi , usne mere dost rajveer ki diary se us shabad ka Matlab to samjha hai,
Par uske maiyne sirf wahi samajh sakta hai jo us daur se guzra ho.
Aur wo mera dost rajveer hai.

Meri behan Naina jo is waqt barso baad sukoon se so ri hai, wo jab jagegi aur dekhegi ki Mera dost Rajveer phir kahi gum hai, to uska wahi dar phir laut aayega jo sapna bankar roz uska samna ek aise sapne se krata jai jo kabhi bhi hakikat ban skta hai.

Par kuch waqt ke liye in cheezo ko chord dete hai aaj mere dost abhimanyu rai chouhan ka birthday hai , aur Meri dost shivaanjali ne uske liye kuch khas plan kiya hai.
Umeed hai ki mere dost chouhan ka akelapan thoda kam zarur hoga , is din ke baad,

Shivaanjali was lost, she encountered with Abhimanyu, he was passing by the same corridor,

Shivaanjali
Abhimanyu! Nice to see you, hum apke pass hi aa rahe the.

Abhimanyu smile, he thought may be she remembers his birthday,

He replied
Ah! Lgta hai aaj kuch khas hai jo madam khud chalke humare pass aai hai .

Shivaanjali understood, what he wanted to hear, she murmurs
Itni jaldi nahi abhimanyu, thoda aur tadpiye, itni planning ki hai humne, thoda intezar to aapka bhi banta hai.😉

She replied
Actually na hum bore ho rahe the,n for a change hum soch rahe the hum aur aap bahar chlte hai pass mai hi ek new cafe khula hai,
To aap chalenge humare sath?

Rajveer Naina (courtship and Mysteries)Where stories live. Discover now