Written In The Stars

1.7K 82 9
                                    

Do read

Yeh main yaha isliye post kr rhi hu... Kii maine sequel ka idea drop krdiya h..

No sequel for Written in stars

Lekin main story 35 nhi 40 parts mein end krungi... I want to write some more happy parts u know😂😂

Bas isliye...

Kehte h har aant ek nayi shuruat leke aata h... Par nayi shuruat se pehle.. Beete hue kal ki kuch yaadein dohrana bhi zruri h... Kyunki yaadein bhuli jaa skti h par mitaayi nhi jaa skti..

Written in Stars....

The entire story in a chapter💙

Iss kahaani ki shuruat hui Karan ki mazburi se...

Karan(in tears) : Mujhe bhai ke liye Monisha se shaadi krni hogi...

Usne apni puri zindagi apne bhai ke liye kurbaan krne ka faisla liya.. Par hmare hero ki heroine aisa hone toh nhi degi...

Preeta Karan ko monisha ke saath shaadi krne se toh nhi rok ski... Par Karan ka dard sehna Preeta ke liye naa mumkin tha...

Preeta slapped Monisha.

Preeta(angry) : Aaj mere Karan ki haalat ki zimeddar sirf tum aur tum ho.... Par yaad rkhna Monisha... Karan tumhara kbhi nhi hoga... Main use tumhara hone nhi dungi... Uske har aanson ka hisaab legi Preeta Arora tumse...

Jise yeh apni zindagi ki sbse badi musibat smjh rhe the... Uss musibat ne inhe inki zindagi ki sbse khubsurat cheej ada kr dii.. Shayad Monisha inki kahaani mein ek farishte ki tarah thi... Jo inhe ek kar chl gyi... Inhe ek dusre ke havale kr gyi..

Preeta(throwing divorce papers in air) : Tumhara aur Karan ka divorce toh mne kara diya Miss Monisha Sharma... Nikal jao Karan ki zindagi se...

Phir kya tha.. Yeh dono pehle jse hogye... Ek dusre ke saath khush... Sab sahi hogya... Sivaay ek cheej ke... Inke rishte ka naam... Jise yeh dono dosti smjh rhe the.. Vo kab mohabbat ki haddein bhi paar kr chuka... Pta hi nhi chla...

Karan(angry): Tumne mere liye khud ko chot pahuchayi...

Preeta(smilingly) : Tumhare liye.. Kuch bhi...

Karan(keeping her hand on his head) : Meri kasam khao kii chahe kuch ho jaye... Kbhi khud ko nuksaan nhi pahuchaogi...

Preeta nodded.

Dheere Dheere

Karan ko ehsaas hua... Ehsaas kii Preeta uski zindagi mein kya h... Kyun Karan Preeta ke bina adhura h... Use uss rishte ka wajood mila.. Jo rishta uske jeene ki wajah ban chuka tha... Pyaar hogya tha bajarbattu ko apni bajarbatti se...

Karan (shouting) : I am in love... I love u babydoll..

Preeta ko shimla ki vaadiyoon mein apne dil ki baat batayi Karan ne... Par Preeta ko ab bhi sach ka ehsaas nhi tha...

She moved back.

Karan(in tears): Babydoll...

Karan ka dil tut gya... Uska pyaar adhura h... Iss baat pr vishwas nhi kr paa rha tha vo....Na hosh tha na umeed...

Preeta(shouting) : Karan....

Preeta ne apni jaan khatre mein daal kar uski jaan bacha toh lii... Aur uski iss himmat ne, karan ko khone ke uss ke darr ne... Use uske saare jawab de diye...Karan ka pyaar ek tarfa nhi tha...

Preeta(in low voice) : I am sorry... I love u too...

Karan aur Preeta ek ho gye... Dil se... Jism se... Ruh se... Ab inhe juda krna duniya ki kisi taakat ke bas mein nhi tha...

Do adhure tukdo ne ek dusre ko pehchan liya tha...Inke pyaar ne inhe ek mukkamaal jahaan de diya tha... Inki duniya ko khushiyoon se saja diya tha...

Karan: I love u so much...

Preeta: I love u too...

Inki khushiyoon ko inhone jiya hi kitna tha kii dono ko alag hona pda... Karan ka ek faisla... Ek galat faisla... In dono ki hasti khelti duniya ujaadne ke liye bahut tha....

Preeta(in tears) : Tumne mujhe dhokha diya h... Dhokha diya h...

She ran away from him.

Karan stumbled and fell on floor crying.

Usne apne bhai ko chuna... Rishabh ke pyaar ko apne aur preeta ke pyaar ke upar chuna... Unki shaadi kraane ki koshish kii... Par insan kitni hi koshish krle haathon ki laqeerein kon bdl skta h... Aur Preeta ki laqeerein Karan ke alava kisi aur se mil hi nhi skti thi...

Preeta (crying) : Nhi maaf kr paungi tumhe Karan... Kis mod pr le aaya tumhara pyaar mujhe.... Yaha se na hum saath aage jaa skte h... Na hi main tumse nafrat kr paa rhi hu...

Preeta khud ki zindagi ko khatam kr na chahti thi... Par Karan ki ek kasam ne use uss bejaan zindagi ko jeene pr mazbur krdiya... Dono juda toh the.. Par kabhi ek dusre se bichde hi nhi... Har lamha har pal Karan Preeta ke dard mein jiya... Aur Preeta Karan ke liye jee...

Preeta got unconscious.

Sameer texted Karan.

Sameer : Bhai dii behosh hogyi h.. Jaldi city hospital pahuchiye...

Phir Preeta ki zindagi mein ek umeed ki kiran aayi... Uska aur Karan ka bacha.. Jo uske andar saansein le rha tha... Preeta ko saans lene ki wajah mil gyi thi...Par Karan ke diye hue jhakm itni jaldi bharne wale nhi the...

I love u Karan but I can't stay with u

Tumhari Preeta...

6 saal... 6 saal bit gye.... Na Preeta khush rh paayi na Karan... Aur unki jaan Aditya... Unke pyaar ki nishani... Vo har pal apne papa ka saath chahta rha...

Preeta: Tumhare dadda tumse bahut pyaar krte h adii... Par vo hmare saath nhi rh skte...

Aditya(crying) : Par kyun mumma..

Preeta hugged him.

Uss choti si jaan ki duayeen qubool hui... Preeta ne Karan ko phir yaad kiya... Kyunki kitna hi dukh ho... Preeta ka dil jaanta tha kii Karan uska sukoon h....

Aditya ki bimaari ne inhe saath hone pr mazbur krdiya... Aur uss mazburi ne zimmedari ki jagah leli... Preeta ne Karan ko maaf kiya...

Inka adhura parivaar pura hua... Karan Preeta aur unka aditya... Happy family...

Happy Ending😇

****************

Jaye jahan tu jaye.. Paaye mujhe hi paaye...

Saayen bhi tere... H mujhme samaye...

Saiyaara tu Saiyaara..

Saiyaara tu Saiyaara..

Sitaaro ke jahaan mein milenge ab yaara...

The Little Ones✔Where stories live. Discover now