part 1

1.1K 20 4
                                    

Pahari elaqe me chalti aik larki zoha jo abhi ghar hi phaunchi thi k darwaza kholte hi behn noor gale se a lapki

Noor : appi ! bahar ka mosam bht acha h ap ne to bht enjoy kiya hoga na ammi ne hame jane nahi diya warna hum bhi ap k sath chalte

Zoha: koi baat nhi agli baar chaliye ga hum kahin bhaage thori ja rahe hain

Ammi: chale beta nashta karlain

Noor: chalain appi nashta kar lete hain

Nashta karte huwe zoha or noor k abbu unhe tamg kar rahe the kyu k wo bht thande mizaaj k the phir achank un k abbu ne kaha hamain aik important baat karni hai

Zoha:jee abbu bolain

Noor: jee bolain

Abbu: zoha beta hum ap ko hamesha se parha likha dekhna chahte the or infact ap dono behno ko .zoha yahan iss elaqe me university nahi hai to hum chahte hain ap dusre shehar ja kar parhai continue karain

Zoha:lekin abbu hum...

Abbu: beta koi masla nahi hoga hamare dost ka aik flat hai dusre shehar me or wo shehar bht bara bhi to wahan achi university bhi hongi to ap wahan chali jaye kuch waqt bad hum noor ko bhi parhne bhej denge

Zoha:abbu hum sochenge iss baare me

Noor:appi ! Hum kya keh rahe the..

Zoha : hume kya maloom noor ap kya keh rahi thi

Noor: appi wahan jayengi to ...

Zoha:to?

Noor : wo bht baara shehar hai appi to ap wahan adjust krlengi or university me larkay bhi honge hum ne to sunna hai ragging wagera bhi hoti hai

Zoha:noor hum ne abbu ko kn sa han keh diya hai k hum ja rhe hain hum sochenge or ap daariye mat plz

Noor:hum ap ko daara rahe hain

Zoha: jee! Chaliye ab ap jaye or hamain kam karne dain

Zoha puri raat uss baat par sochti rahi or phir kuch dino bad uss ne faisla kiya k wo jayegi q k ye uss k parents ki khuwaish hai

Zoha: abbu hum jayenge

Abbu: shukriya beta .beta hum ap ki kab ki ticket karwain

Zoha:jab ki ap chahin or muskurati huwi chali gai

Uss k abbu ne 2 din baad ki ticket karwa li thi noor bht udaas nazar a rahi thi q k zoha uss ki aik hi behn thi uss k siwa koi bhai wagera bhi nahi tha
Do din bad zoha station k liye nikalne lagi to noor uss k gale a lagi uss ki aankhain num thi

Zoha: noor kya hogaya h ap ko hum ap se roz bat karenge or kuch tym bad ap bhi to a jayengi

Noor: jee api ! Api ap wahan phaunch k call zaroor kijiye ga

Or zoha k parents uss se mile or alvida kiya

Zoha station phaunchi to train late thi to wo pareshan hogai q k wo pehli baar ja rhi thi jaise taise uss ne waqt guzara or
Dusre shehar phaunchne k bad usse wahan ka mahool acha nahi lag raha tha kyu k wo chote se paharo elaqe se ayi thi to usse khof a raha tha shehar k traffic se shor se logo ki bheer se
Zoha taxi dhund rahi thi thi ghar jane k liye jo un k abbu k dost ka tha
Taxi driver:kahan jayengi madam?

Zoha:bhai sahab! (Chitthi dekhate huwe) yahan iss address par jana hai

Taxi driver: g thek h

Zoha jaise hi ghar phaunchi to un k uncle wahan pehle se the unhone zoha ko keys di or kaha k sb yahan h ap yahan reh sakti ho or chale gaye zoha ne darwaza lock kar liya or apne parents ko phaunchne ki itla dene k liye call ki

Zoha:asalam walikum abbu hum phaunch gaye hain

Abbu: shukr hai beta ap phaunch gai hum boht pareshan the bas ap jaldi se wahan kisi achi university me admission karaye or parhai shuru karain

Zoha:g thek abbu hum bht thak gaye hain to kal baat karte hain khuda hafiz

Raat bhot ho chuki thi to zoha ne apne liye kuch khaane ko banaya or kha kar apne room me so gai subah uss ki aankh der se khuli to uss ne foran se nashta banaya or nashta kar k foran bhaagi k kahain admission k liye jayen

Wo bhaagti huwi building se utri k usse main road k beech me aik bili nazar or usse gariyan bht tez chalti nazar ai usse dar lag raha tha k bili ko koi maar na de iss liye wo bhaagti huwi main road par gai or bili ko apni goud me utha liya usse dekh kar gariyan ruk gai or traffic jam hogaya to aik gari me se aik handsome se larka utra jis ka naam maaz tha
Maaz: ap dekh k nahii chal sakti madam! ap beech road par a kar khari hogai ...

Zoha:hum dekh k chalain dekh kar to ap sb ko chalna chahiye ye bezuban janwar bol nahi sakte to ap inhe maar denge

Maaz: me maafi chahta hun mjhe laga ...

Zoha : (barbarati huwi) pata nahi kahan se a jate hain ahmaq log

Ye bol kar wo chali gai ye sab dekh kar uss k sir me dard ho raha tha or uss ne subah se chai ya coffee kuch bhi nhi piya tha to uss ne socha k kisi cafe me ja kar pee leti hun or phir kisi university chali jaungi addmission k liye or uss cafe me bethe ye bhi search karlungi k kon si university best hai
.                 __________ ___________
.
.
Kehte hain na pyaar ki ibtida larai se hi hoti hai ye to sirf ibtida h agay agay dekhte hain hota hai kya
Agar ap ko ye episode pasand aye to zaroor batain
          ******************
Dont forget to vote, comment and follow

muhabbat ka safar (Completed)Where stories live. Discover now