part 4

206 14 6
                                    

Itne me phone ki ring bajti hai

Zoha: (gusse me) ye phone kahan mar gaya ? Kahan hai ? Kahan hai?

Or usse phone mil jata hai wo dekhti hai k uss k abbu ki call ai h to wo apne ap ko normal karti hai or phone uthati hai

Zoha: asalam walikum abbu kaise hain ap?

Abbu: beta thek hun me ap kaisi hain? Sab thek hain wahan ?

Zoha: g abbu

Or wo baat karte karte sath sath raat k liye khaana bana rahi hoti hai

Abbu : kya kar rahi hain beta

Zoha:khaana bana rhe hain jaldi take raat ko beth k parh sake .

Or achank se cooker seeti marta hai to wo soche samjhe begair bol deti hai

Zoha:oh ye to seeti marne lag gaya
Uss k abbu call par hote hain

Abbu: kon mar raha hai ap ko seeti bataye hamain

Zoha:abbu ye cooker hai ap bhi na hahaha.....

Abbu : acha acha chalain beta ap kam karlain bad me bat hogi

Zoha : khuda hafiz

Zoha hasne lagti hai or khud ko bolne lagti hai abbu bhi na cooker hai ye to
Wo khaane kha kar parhne lag jati h or parhte parhte hi sojati hai phir usse raat ko maaz khuwab me ata h or iss baar wo khuwab dekh k nhi uthti or subah hojati h or jb uss ki aankh khulti h to wo sochti h aj phr or uss k chehre pe muskurahat hoti hai wo apne ap sheeshe me dekhti h

Zoha:(sheeshe me dekhte huwe) hum pagal ho gaye hain muskura kyu rahe hain .control zoha control uni me kisi ne dekha to pagal samjhenge

or wo university chali jati h university me phaunchti h to class shuru hone wali hoti h wo maaz k sath ja kar beth jati h or normal behave krti h teacher ko kuch announce karna hota h to sb chup hojate hain

Teacher: ap logo ko group assignment krna h to ap log group bana lain 4 ka

Anam : (zoha ko dekhte huwe) tum,me,maaz or ahsan hum 4 ka group h

Zoha :thk

Or ahsan or maaz bhi man jate hain
Break time anam sb k liye lunch le ati h

Anam:ye pakro lunch ! Chalo abhi assignment banana shutu krte hain

Zoha:chalo thk h pehle points likh lete hain k kya kya ayega topic me or kl dhund kr le ayenge or phr kr lenge

Sb topic k points batane lagte hain or zoha likh rhi hoti h ahsan usse muhabbat bhari nazro se dekh rha hota h zoha uss ki taraf dekhti h to foran idhar udhar dekhne lagta h

Itne me zoha se pencil gir jati h to zoha or maaz dono pencil uthane k liye apna sir neeche karte hain to takar hojati h or maaz or zoha aik dusre ki aankho me dekhne lagte hain zoha ko jaise hi ehsaas hota h sb dekh rhe hain to wo nazre jhuka leti h or pencil uthane lagti h or maaz bhi pencil uthane lagta h to dono ka haath aik dusre se touch hojata h

Zoha:im sorry

Maaz : meri taraf se bhi sorry

Anam:how cute! Tm dono aik perfect couple lagte ho hain na ahsan?

Hasan: (gusse me) han han bas ab kaam karlo
***********************
Aik shayari iss episode k naam
میرے چہرے پر غزل لکھتی گئیں
شعر کہتی ہوئی آنکھیں اُس کی

Dont forget to vote, comment and follow

muhabbat ka safar (Completed)Where stories live. Discover now