Zoha:ye kuch bhi bolti hai maaz isse choro
Or wo dono apni jagah pe beth jate hain
Anam : (man hi man kehte huwe or muskurati huwe) inhe in ki muhabbat ka ehsaas na karaya to me bhi anam nahi . Naam badal dungi apna
Phir wo plan banane lagti hai k kya karna hai to uss ko idea ata hai k picnic ka program karte hain
Or wo sb friends ko call karti hai or maaz or zoha ko bhi call karti hai lekin maaz or zoha mana kar dete hain
Anam: in dono k liye sub kuch kar rahi hun in ko parwah nahi kaise log hain yrr aisi dost ki to qadar karni chahye (apne kaandhe ko thap thapte huwe) anam acha kam kar rahi ho or khud hi khud ko thank u bolti hai
Phir dusre din jab zoha or maaz university ate hain to anam in dono ko force karti hai
Anam:yaar a jao tm dono k begair to picnic adhoori hai bolo to paise bhi me hi de deti hun
Maaz:nahi aisa nahi hum a jayenge or paise bhi hum de denge .lekin jana kab hai
Anam:bass abhi university k bad nikalte hain
Maaz or zoha aik sath bole : chalo thk
University khatam huwe to sab ghar gaye or ghar me se saman pack kar k anam k ghar phaunche . Wahan se bus unhe aik farmhouse le gai jab zoha ko pata chala k farmhouse ja rahe hain to wo dar gai q k usse pani se dar lagta tha.jab farmhouse phaunche to zoha pani dekh kar dar rahi thi
Maaz:kya huwa
Zoha:maaz ka haath zor se pakarte huwe): mujhe pani se dar lagta hai
Maaz:(apne haath ki taraf ishara karte huwe) mera haath
Zoha: oh sorry ! Me ne dar ki wajah se ...
Maaz: koi bat nahi darne ki tum nahi ja rahi pani me .to me bhi nahi jaunga hum yahan games khelenge thek hai
Zoha:thek hai
Anam:(haapte huwe) chalo yar pani me tum log yahan bethe huwe ho mujhe bhaag kar ana para
Zoha: yaar me nahi jaungi
Maaz:yaar me isse company dene k liye yahan hun
Anam:array yaar maaz tum to chalo
Maaz: nahi thek hai
Anam dimagh me plan bana rahi hoti h k kisi tarah zoha ko pani me dhaka de dun maaz zaroor bachane jayega or dono ko apni muhabbat ka ehsaas hojaye shayad
Or sochne k bad wo zoha k pas jati hai or uss ka haath pakar k le ati haiAnam:zoha tum yahan khari hojao bhale pani me na jao
Zoha: lekin q
Anam:hamain dekh lena k hum kitna enjoy kar rahe hain
Or ye bolte hi aise acting karti hai k uss ka paon mur gaya hai or zoha ko dhaka mar deti hai or zoha pani me girne lagti hai itne me maaz a jata hai or zoha ka haath tham leta h or zoha ko uper apni taraf khench leta hai or zoha maaz k peeche khari hojati hai
Anam: oh so sorry zoha yrr mera paon mur gaya tha
Maaz:(gusse me) tum pagal ho abhi wo gir jati lag jata usse lag jata tumhe ehsaas bhi hai tm kya kar rahi ho apni dramay baziyan band karo tum
Or maaz zoha ka haath thaam kar usse wahan se le jata hai zoha boht dari huwi hoti hai
**********************
Muhabbat nahi hai to kyu haath thaam lete ho
Zara sa muskura do janaa kyun jaan lete hoDont forget to vote, comment and follow
YOU ARE READING
muhabbat ka safar (Completed)
RomanceYe kahani hai dosti ki, ye kahani hai muhabbat ki , ye kahani hai zoha or maaz ki.....