part 3

235 16 4
                                    

Zoha: (hairani se barbarate huwe) ye bhi iss class me kaise?

Teacher : maaz ap bhi aj late hain

Maaz: jee madam aik pagal se takar hogai thi to wo mere peeche par gai thi iss liye warna me kabhi late nahi hota

Teacher: chalo thek hai beth jao or zoha ap kyu khari ho maaz k sath beth jao

Zoha:(hairani se) miss me...

Teacher: jee ap

Maaz: noo!!!

Teacher: maaz kya hogaya hai ap ko . Ye new student hain ap in ki help karenge mujh kuch nahi sunna ap mera time waste nahi karain or ab se ap sath hi bethenge har class me jaise ye sb bethe hain

Zoha ko maaz k sath zabardasti bethna para

Class khatam hote hi jaise hi miss jane lagi zoha ne apna bag uthaya or peeche seat ki taraf jaane lagi

Maaz: tum mujhe chor kar nahi ja sakti

Zoha:kya!! (hairani se)

Maaz: madam ye apni seat chor kar ja rahi hain

Teacher: zoha ap ko in k sath hi bethna hoga me larkiyon ko sath nahi betha sakti wo parhti nahi hain jab sath hoti hain

Zoha phir a kar maaz k barabar me beth jati hai

Phir lunch break me zoha akeli bethi hoti hain to maaz usse door se khara dekh raha hota hai . Phir sochta hai ja kar uss se baat to karun k usse mujh se masla kya hai.zoha bethi yehi soch rhi hoti hai k ghar ja kar parents ko call karun or batun yahan ka hal itne me usse apne barabar me koi betha feel hota hai wo jaise hi dekhti h to wo maaz hota hai.wo foran se thora dur hat jati hai

Maaz: kya huwa?

Zoha: kuch nahi or ap yahan kya kar rahe hain dekhiye me aisi waisi larki nahi

Maaz: me ne ap ko kab kaha k ap aisi waisi hain me to ap se bas aik bat puchna chahta hun

Zoha: jee puchiye!

Maaz: ap mujh se itni nafrat kyun karti hain

Zoha: me ap se q nafrat karungi

Maaz: to phir ye sab?

Zoha: mujhe larko se baatain karna un k sath bethna ye sab pasand nahi

Maaz: acha thek hai

Wo ye sun kar uth kar chala jata hai . Zoha yehi dekhti reh jati hai k iss k bad uss ne mujh se koi sawal nahi kiya. Phir jab wo class me jati hai to wo khamosh betha hota h or aise behave kar raha hota hai k jaise usse janta nahi wo chup kar k uss ka barabar me beth jati hai to aik larki zoha k pas ati hai jis ka naam anam hota hai or wo bhi ussi class me hoti hai

Anam:kaisi ho ap? Me anam hun kya ap meri dost banogi

Zoha:jee zaroor

Anam:acha ap jis k pas bethi hain wo zara mazak masti wala larka hai to bura mat maniye ga

Zoha:(maaz ki taraf dekhte huwe) acha

Teacher class me a jati hai or anam apni jagah par wapis chali jati hai or teacher lecture dena shuru hojati hain lekin zoha baar baar maaz ko dekh rhi hoti hai k isse kya huwa thori der pehle tak to thek tha maaz lecture sunta hai or chutti hote hi ghar chala jata hai or zoha bhi ghar a jati hai.zoha ghar ja kar khana bana kar khati hai or thori der rest karti hai or jaise hi wo gehri neend me jati h to usse khuwab me maaz nazar ata h or wo khuwab me udaas hota hai or khamosh hota hai zoha achanak se uth jati hai

zoha ghar ja kar khana bana kar khati hai or thori der rest karti hai or jaise hi wo gehri neend me jati h to usse khuwab me maaz nazar ata h or wo khuwab me udaas hota hai or khamosh hota hai zoha achanak se uth jati hai

Oops! Ang larawang ito ay hindi sumusunod sa aming mga alituntunin sa nilalaman. Upang magpatuloy sa pag-publish, subukan itong alisin o mag-upload ng bago.

Zoha: ye hamare khuwab me kyun a raha hai? Or hum soch hi q rahe hain uss k bare me
        *********** ***********
Aik shayri iss episode k naam

       Meri Samjh Main Nahi Aata
       Ke Main Samajh Kun Nahi Pata

       Wo Mera Jo Ik Khawab Tha
       Ke Haqeeqat Main Nahi Aaata

Dont forget to vote, comment and follow

muhabbat ka safar (Completed)Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon