Zoha:waise ammi ap logo ka achank kaise ana huwa
Ammi:beta ap k rishtay k liye aye hain
Zoha:rishtay!!
Ammi:g ap k uncle hain na jin ka ghar hai ye un k beta ka rishta aya tha to bas hum yahan a gaye hain dekhne k liye
Zoha: uncle k beta ka rishta ? Lekin uncle ne to mujhe aik baar hi dekha tha
Ammi:han beta ap un ko pehli nazar me apne beta k liye pasand a gai thi .... bas hum yahan larka dekhenge or chat mangni or pat biya kar denge apka
Zoha : acha ammi hum thora university ka kaam karlain ap logo se bad me milte hain ap log jab tak rest karlain
Ammi:thk hai beta
Zoha pareshan hogai hoti hai or usse kuch waqt akele guzarna hota hai iss liye wo apne room me chali jati hai room me jate hi zoha anam ko call karti hai
Zoha: hello anam
Anam:(neend me) kya hai behn tum to kahin sukoon nahi karne deti
Zoha: yahan meri zindagi ka chain or sukoon cheen gaya hai tumhe sone ki pari hai
Anam:kya huwa maaz ne kuch keh diya?
Zoha: meri shaadi ho rahi hai
Anam:array wah boht acha khuwab hai maaz k sath ho rahi hogi na
Zoha: ya allah iss larki ko thori aqal de anam hosh me ao.... meri shaadi ho rahi hai mere uncle k beta se
Anam achanak neend se uth kar beth jati hai
Anam:hain? Kya bola dubara bolo
Zoha:mere uncle k beta se shaadi ho rahi hai meri
Anam:ab maaz ka kya hoga
Zoha:mujhe nahi maloom usse bolo mujhe bhool jaye
Anam: aisa nahi ho sakta wo tumhe boht chahta hai
Achanak noor room me a jati hai
Zoha:anam me tum se baad me bat karti hun bye
Anam foran maaz ko call karti hai
Maaz: han anam kya huwa
Anam:mujhe to kuch nahi huwa lekin zoha k sath hone wala hai shaadi ho rahi uss ki
Maaz:anam tumhe phir mazaq sujh raha hai
Anam:me mazaq nahi kar rahi abhi uss ki call ai thi mujhe uss k uncle k beta k sath ho rahi hai uss ki shaadi
Maaz:me aisa nahi hone dunga me zoha se baat karunga
Dusre din zoha university ati hai to maaz se baat kiye class me jane lagti hai ..lekin maaz zoha ka haath thaam kar usse canteen ki taraf le ata hai
Zoha:maaz ye kya kar rahe ho? Class miss hojayegi mujhe jane do
Maaz: acha mujhe chorna chahti ho shaadi kar rahi ho kisi se
Zoha: han kar rahi hun shaadi... or hamare beech sirf dosti thi or kuch tha hi nahi or aj ye dosti bhi khatam me tumhare liye apne maa baap ki izzat khatre me nahi daal sakti or kisi bhi larki ko ye haq nahi bhi k kisi k pyaar k liye ya apne pyaar k liye apne maa baap ki izzat ko sare bazaar neelam karde .... muhabbat se zyada maa baap ki izzat pyaari hai mujhe
Ye bol kar apna haath jhatakti hai to iss ka haath maaz k haath par lagta hai or iss k haath se khoon behne lagta hai
Zoha: asteen unchi karo
Maaz:tumhe to koi farq nahi parta na jao yahan se chor do mujhe akela agar mujhe kuch ho bhi jaye to mat ana ......Zoha: (gusse me) asteen unchi karo
Maaz asteen unchi karta hai to haath par aik pati bandhi hoti hai
Zoha: ye pati kaisi hai kholo isse? Kya kiya hai tmne
Maaz pati kholta hai to uss k haath par zoha ka naam likha hota hai or uss me se khoon beh raha hota hai aisa lagta hai jaise uss ne apne haath par abhi abhi zoha ka naam likha ho
Zoha: maaz ye kiya hai zakham hai ye to
Maaz: zakham yahan nahi yahan hai ( apne dil ki taraf ishara karte huwe)
Zoha num aankhoo se maaz ko dekhti hai or mur kar jaane lagti hai
Maaz: zoha me sirf itna khaunga .... maa baap ki izzat boht pyaari hoti hai lekin larki ko bhi haq hai wo apna man pasand sathi chune ye haq to usse islam bhi deta hai .... tum sirf apne parents ko mere baare me btao to sahi..... or kya tum mere samne kisi ki ho paogi
Zoha: mere dil me tmhare liye kuch nahi .... lekin kaha jata hai na shaadi hamesha uss se karo jo ap se muhabbat karta ho .... to thk hai me baat karungi lekin agay mere maa baap ka faisla hoga
******************نہ جیا کر وہ زندگی
جو درد دے دکھ دے
کچھ تو نیا کر
زندگی کو نیا موڑ دے
نہ ڈوب فکر کے سمندر میں
تیر جا امید کی موجوں میں
نہ بہا تلخیوں میں زندگی
لڑ جا مشکلوں کو شکست دے
******************
Dont forget to vote,comment and share
******************
What do u guys think k iss novel ki happy ending hogi ya sad . Comment section me batain
*****************
2nd last episode will be uploaded tommorrow
YOU ARE READING
muhabbat ka safar (Completed)
RomanceYe kahani hai dosti ki, ye kahani hai muhabbat ki , ye kahani hai zoha or maaz ki.....