Badi mushkil se maaz zoha k pas beth kar lecture leta hai or jaise hi break hoti hai bhaag kar canteen ki taraf chala jata
Zoha:(anam se) iss ko kuch zayada ki bhook lagi hai lagta haiAnam: (man man muskurate huwe) han shayad
Zoha:chalo me bad me milti hun
Zoha jaise hi canteen ki taraf jati hai maaz bahar table par kisi soch me betha chai pee raha hota hai wo uss k pas table par beth jati hai to maaz foran nazrain churata hai
Zoha:kya huwa aj itna ajeeb behave kar rahe ho lag nahi raha mere friend maaz nhi ho tum
Maaz: nahi ! Han wo yad aya mujhe library jana tha to bad me milenge
Zoha: me bhi chalti hun
Maaz: nahi nahi tum lunch karo
Ye bol kar wo university bunk kar k chala jata hai or bahar kisi hotel par lunch karne betha hota hai. Break k bad zoha maaz ko dhundti rehti hai call karti hai lekin wo pick nahi karta
Or university khatam hone k bad jab zoha ghar ja rahi hoti hai to raaste me usse maaz nazar ata hai wo uss k pas jata hai
Zoha: maaz!
Maaz:yarr mujhe ghar jana hai late ho raha hun
Zoha:lekin maaz.... ajeeb banda hai
Phir zoha bhi apne ghar chali jati hai or kl ki wajah se thaki huwi hoti hai to so jati hai phir sham me parhne beth jati hai phir usse khayal ata hai itne dino se ammi abbu se baat nhi huwi to wo un se baat karti hai wo bhi kuch ajeeb behave karte hain
Zoha:ye aj sab ko ho kya hogaya hai na maaz sahi se bat kar raha hai na ammi abbu . Khair choro
Ye bol kar wo parhne beth jati hai to anam ki call ati hai
Anam:yrr me a rhi hun tmhare ghar
Zoha:han a jao
Anam :darwaza to kholo!
Zoha:tm darwaze pe ho
Anam:han
Zoha darwaza kholti hai to anam uss k ghar me a jati hai
Anam:(zoha k ghar ko dekhte huwe)zoha waise tum university ati ho ghar k km karti ho or ghar kitna saaf hai
Zoha:han me har km pe dihaan deti hun
Anam:phir tum ne aik shaks pe dihaan q nhi diyaZoha:kon hai wo shaks?
Anam:maaz!
Zoha:yaar tum phir shuru hogai
Or turn ho kar kitchen ki taraf jaane lagti hai
Anam:wo tum se muhabbat karta hai
Zoha:(achanak murti hai) kyaa?
Anam:hn or tum bhi uss se muhabbat karti ho magar tumhe ehsaas nhi h
Zoha:anam tum mazaq kar rahi ho na
Anam:nahi chaho to maaz se puch lo
Zoha foran maaz ko call kar k apne ghar bulati hai maaz foran se uss k ghar ata hai
Or anam ko dekh k hairan hojata hai
Zoha:maaz ye keh rahi hai tum mujh se.....
Maaz:han me tum se muhabbat karta hun . Beinteha muhabbat karta hun ....... Tum mere peeche peeche a rhi thi or mjh se puch rhi thi na k kya huwa hai ye hi wajah thi .
Zoha:(hairani se) maaz chale jao yahan se aisa kabhi nhi ho skta me ne tumhe dost samjha or tum... me kabhi soch bhi nhi sakti thi
*****************
Izhar-e-mohabbat pe ajeeb haal tha uskaAankhain tu razamand theen lub sooch rahay thay
***************
Dont forget to vote,comment and follow
*************
Or Guess karain ab next me kya hoga?
YOU ARE READING
muhabbat ka safar (Completed)
RomanceYe kahani hai dosti ki, ye kahani hai muhabbat ki , ye kahani hai zoha or maaz ki.....