Part 21

890 114 18
                                    

So guys ready for the climax ?? I don't know you're gonna like it or not. But do tell your views. It may not be impressive according to your expectations but I hope you'll like it. Here you go.

___________________________________________

Sameer was discharged and was back home. He was sitting on the bed, Naina and Vishakha on the either sides of the bed and others on the chairs.

"Ab Mai aap sabko batata hoon ki uss Raat Uske baad kya Hua tha. Vidaai ke baad jab main aur Naina Ghar jaa rahe the tab driver ne achanak se car rok di ye kehke ki Kuch problem aa rahi Hai aur wo check karne ke liye utra. Bohot Der ho gayi magar wo Aaya hi Nahi" sighed Sameer.
"Phir Sameer utra usey dekhne ke liye par Dekha toh wo toh Wahan tha hi Nahi aur aage se she peeche se do gaadiyon ne humari gaadi ko gher liye. Phir ek aadmi ne Sameer ko pakad liya. Main bahar aayi aur Dekha ki usne Sameer ko pahadi ke kinarw par khada rakha tha. Maine uski taraf aana chaha toh mujhe bhi ek ne pakad liya. Hum sabke beech bohot Der tak cheena jhapti hui aur fir uss ne usne Sameer ko Wahan se neeche dhakel Diya" completed Naina closing her eyes pushing away the pain she saw that day. Just one hour of their marriage and she lost her husband. Sameer clutched her hand tightly giving her the warmth that he's with her now, safe and sound.
"Jab mujhe hosh Aaya tab Maine Dekha ki main Kisi hospital me tha aur mujhe wahan"
"Sameer ko Wahan main lekar Aaya tha" voiced a man from the back.
"Shrikant ?" uttered Vishakha confusingly.
"Haan. Mujhe Shri Mila Wahan. Ye Mera nainital me hostel friend tha." told Sameer.
"Haan aur Mai ek inspector hoon Mumbai police mein. Pahadi zyada gehri Nahi thi isliye isey zyada chot Nahi aayi aur ye neeche highway par ho Gira tha. Driver inhe us raste se le Gaya tha Jo mahabaleshwar ki aur jaata hai. Main Sameer ko hospital lekar Aaya aur fir jab isey hosh Aaya tab isne bataya ki kya hua. Sameer ko pehle se hi shaq tha ki uski aur Naina ki Jaan khatre me hai isliye usne bohot pehli hi inform Kar Diya tha mujhe."
"Par tum dono ki Jaan ko khatra kisse tha ??" Asked pandit.
"Karthik se" answered samaina together. Everyone looked shockingly at them.
"Karthik ko Nanu ki poori property aur business hathiyana tha aur isliye usne partnership Ka offer rakha mere saamne. Mujhe Laga ki shayad Uske irade Sahi Nahin Hain isliye Maine mana Kar diya. Phir usne threats dena chalu Kar diya. Uske dadaji Mr. Dhoklia bhi is sab me shaamil the. Unhone bohot attempts kiye magar Nahi mil paaya unhe ye sab. Phir ek Baar me factory Nahi Aaya tha aur munshiji the Wahan. Unse dhoke se share bechne ke naam pe nakli papers par sign Kara liya. Us waqt hum college me hi the aur mostly munshiji hi saara kaam sambhalte the. Uske Kuch time baad hi humari Shaadi Tay ho gayi aur fir un papers par Kisi Ka dhyaan Nahi Gaya. Ek din jab meri nazar padi toh Dekha ki saari properties ke second owner Mr. Dhoklia ki company hai. Maine Shri ko inform Kar Diya iss Sabke baare mein, phir Uske baad meri aur Naina ki Shaadi ho gayi aur phir usi Raat wo sab ho Gaya" completed Sameer.
"Sameer ke Saath Saath Naina bhi us sab ki owner thi aur uss Raat ke according, Sameer toh sabke liye Marr chuka tha magar Naina Nahin aur jab tak death certificate Nahi milta, property handover Nahi ho Sakti thi. Sameer ki body Nahi Mili thi magar kuch evidences ke kaaran usey dead maanke uska death certificate ban Gaya tha par Naina Ka koi pata Nahi tha isliye wo log Naina aur uski bacchi ke peeche pade the unhe maarne ke liye. Wo log child and women trafficking bhi karte the toh isliye bhi khatra bhi tha." explained Shrikant.
" Karthik aata tha Hume dhoondte hue. Kayi Baar usey Bache Hain hum aur us din ... Uss din toh wo Ghar aa hi Gaya tha aur shayad mujhe maar hi deta agar Sameer Nahi Aaya hota toh. Shaadi wali Raat main Goa ki bus pakadke yahan aa gayi thi aur fir mujhe yahan suman aur Shekhar bhaiya ne sambhala."
"Naina ki Jaan ko khatra tha isliye Maine Sameer ko nayi pehchaan di. Jab wo theek ho Gaya toh Maine usey mere dost Kabir aur Niya ke paas rehne ko Diya" said Shrikant.
"Shri Sameer ko humare paas laya ye kehke ki Iski yaadasht chali gayi hai aur iska chehra bigad Gaya tha isliye Iski plastic surgery hui hai. Phir Sameer humare saath hi rehne laga. Phir usne wedding planner Ka kaam shuru Kiya" told Kabir.
" Phir Hume pata Chala ki Naina Goa mein hai aur tabhi Munna ne bhi mujhe call Kiya wedding plan Karne ke liye Goa me hi toh phir Mai usi colony me aakar settle Hua. Apni pehchaan chupakar Mai Naina aur Samaira ke Saath Raha taaki unki raksha Kar sakoon. Meri yaadasht toh Kabhi gayi hi Nahi thi. Roz dekhta tha tumhe, tumhe jaante hue bhi tumse baat Nahi Kar paata tha. Mai bhale hi acting Kar Raha tha sab Kuch bhool jaane ki magar mujhe Apne aap ko ek aise naye Sameer me dhaalna tha Jo sab Kuch sachme bhool chuka hai. Isliye jab bhi main Naina ke aas paas Hota tha ya humare past se related koi ghatna Hoti thi toh main aise karta tha Jaise mere se ye sab Kuch Juda ho. Mujhpar bhi nazar Rakhi jaa rahi thi isliye akele me bhi main ek San Kuch bhoola Hua Sameer hi tha. Phir Naina ko dobara mujhse pyaar Hua. Wo mere kareeb aayi magar phir peeche Hatt gayi." completed Sameer.
"Phir Shaadi ke events chalu hue. Aur Wahan Ahmedabad me Karthik pakda Gaya. Wo aur uska saara scam toh pakda Gaya magar Naina aur Samaira tab bhi khatre me the. Unka ek aadmi abhi bhi Shaadi ke beech unhe maarne ke liye tha" explained Shrikant.
"Sangeet wale din, wo dry ice Nahi thi, wo koi poisonous gas thi. Jab Karthik Ka aadmi wo saare ghotale Kar Raha tha, dry ice ki jagah wo gas, tabhi Maine Dekh liya tha. Uski medicine Shri ne mujhe batayi. Maine wo pehle ho consume karli thi taaki jab Naina aur meri performance ho tab Mai theek rahoon aur Naina ko bhi safe Rakh sakoon. Isliye jab wo gas release hui tab Naina behosh ho gayi thi. Phir Maine usey wo medicine Di. Vidaai ke baad jab sab log mujhe Yaad dilane ki koshish Kar rahe the tab main intentionally behosh ho Gaya taaki tum sabko lage ki mujhe sab Yaad aa Raha Hai. Jab sab log mere Saath room me aa Gaye, tab Samaira ko us aadmi ne utha liya."
"Wo usey secretly tum sabko Bina bataye le jaata par tum bahar aao aur hum Samaira ko bacha sakein isliye Maine tumhe text Kiya game over. Phir tum bahar aayi aur usne tumpar shoot Kiya aur humne usey peeche se pakad liya. Is Tarah se Hua ye sab" completed Shrikant with a sigh.
"Pppar Sameer tumhara ... Tumhara chehra ???" stuttered Naina. Sameer placed his hands at the corner of his face and took out the skinned mask that he was wearing. Everyone looked shockingly at him.
"Naina Tumhare Sameer na tumhe bhoola tha, na bhoola hai, aur na hi kabhi bhoolega aur chehra sirf tumhara hai Naina. Sirf tumhara. Aaj agar main zinda hoon toh woh tumhari pyaar ki taakat ki wajah se." completed Sameer placing her hands on his face which craved her love.
"Aaj agar main zinda hoon, toh tumhari wajah se Sameer. Tumhari umeed ne, tumhari suraksha ne, Tumhare pyaar ne mujhe aajtak ladne ki taakat Di."saying so she cuddled in his arms no matter everyone was watching, he was her Sameer. While everyone cried listening their struggles they made.
"Sab Kuch dekhkar bhi, jaankar bhi tumse mil na paana, Samaira ko pyaar na Kar paana mujhe bohot dukh deta tha Naina, bohot dukh deta tha" cried Sameer snuggling more in her arms. Naina caressed his back to make him comfortable.
"Munna se us din Mila, chahkar bhi gale na Laga paaya aur do din pehle tum dono se Saath me milkar khud rok Nahi paaya" exclaimed Sameer while MunDit cried their heart out in his arms.
"Tujhe Kaha tha na, Tu agar khud bhi kahega jaane ko toh hum Nahi jaane wala. Toone khud chahe kitne bhi humse door bhaagna chahe, Tu khud ba khud humare kareeb aata Gaya. Hum vishwaas dilaya ki toh Humara hi Sameer" exclaimed pandit. Sameer rested his head in her mother's lap while she roamed her hands in his silky smooth hair and kissed his forehead.
"Mumma !" entered Samaira and was shocked to see the scenario in front of her eyes.
"Pppapa" she stuttered waking towards him.
"Haan Samaira. Tumhare Sameer uncle Tumhare papa Hain." exclaimed Naina happily flowing tears.

Samaira smiled and came on the bed and hugged him. Naina too joined the hug and it was a perfect family hug for which they craved for five years.

"Papa ! Aap toh tala Nahi bane. Aap toh sachme humale Saath ho Phil aap humale Saath kyu Nahi Itne Saal ?? Aap Kahan the papa ?? Aapko meli ya Mumma ki Yaad Nahi aayi ?? Aapko pata hai Mumma Kitna loti thi aapko Yaad kalke. Meli wajah se wo apna Lona chupati thi pal mujhe pata chal jaata tha. Aap jab tak nhi the na Maine aul Mumma ne ek doosle Ka bohot Acche se dhyaan lakha. Ab aap Mumma Ka aul Mela dhyaan lakhoge na ?? Ab aap Mumma ko toh Nahi lulaoge na ? Ab aap Hume chhodkal toh nahi jaaoge na papa ??" asked samaira making everyone cry so much.
"No princess. Ab Aapke papa aapko aur aapki Mumma ko chhodkar kabhi Nahi jaaenge. Na aapki Mumma ko rulayenge aur na hi kabhi aapko Akela chhodenge. Ab papa humesha Aapke paas, Aapke Saath rahenge" assured Sameer kissing her forehead.
"Pakka plomise na papa ??"
"Haan meri angel ! Pakka wala promise" promised Sameer hugging both of them tightly.
"Shri, Kabir, Niya thank you so much Mera itna dhyaan rakhne ke liye. Tum log Nahi hote toh main apni family ko Kabhi wapis Nahi paata. Thank you so much guys.
"Thank you so much, aap logon ne Sameer Ka itna dhyaan rakha, usko humesha support Kiya. Thank you bohot chhota shabd hai magar is waqt mere paas kehne ko aur kuch Nahi hai" exclaimed Naina joining her hands in front of them.
"Arey ye tum kaisi baatein Kar rahi ho Naina. Ye toh Humara farz tha. Aur Sameer ab Humara bhi toh Kuch Lagta hai na. Wo Humara dost hai, bro hai sab Kuch Hai" exclaimed niya smiling. They hugged each other.

So guys here it is. Do comment and tell your likes and dislikes in the chapter. Next chapter will be the end. Thank you for all your love and support. Keep reading and voting ❤️

The Incomplete Life 💔 {COMPLETED}जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें