BISMILLAH-HIR-RAHMAN-NIR-RAHEEM
"Teri rabne banadi jodi,
teri rabne, ho teri rab ne banadi jodi,
tu haan kar ya naa kar yaara,
yaara ek bole shaadu ka ek taara, hooooo..."
Arshad besuri awaaz may gaa raha tha. Zaahir kahaan piche rehne waala tha ,usne bhi shuru kiya
"koi mil gaya,
tera dil gaya,
kya bataaon yaaro,tu to hil gaya...."
Peeche se Aashi ki awaaz aayi "bhaiyya ka to dil may to ye gaana chal raha hoga.
"pal pal dil ke paas tum rehti ho,
jeevan meethi pyaas ye kehti ho....."
ye baaten sun kar Faraaz muskuraane lage.
Unhe muskuraata dekh kar Arshad ne phir gaana shuru kiya
"Muskuraane ki wajah tum ho,
gungunaane ki wajah tum ho,
jiya jaaye na jaaye na jaaye na,
O re piya re...."
Ye sunte hi Faraaz Arshad ke peeche takiya uthaa kar maarne ke liye bhaage, Arshad Faraz se bachne ke liye, bhaag rahe the ki peeche se aati aashi se takraaye, aashi ko gussa aaya aur usne pair aage kar diya, jiski wajah se arshad moonh ke bal khaaleen par gir gaya. Sab hasne lage. Ab arshad ko gussa aaya, wo utha aur jaa kar aashi ke kaan may zor se cheekha jiski wajah se aashi darr gayi aur usne use dhamkaaya "shadu bahut ho gaya, main tumhaari shikaayat daadu se kardoongi."
"main tumse bada hoon,tum meri shikayat nahi kar sakti."
"ha ha ha, tum bade kaise huey, hum donon to judwaa hain"
"Main tumse 5 minute bada hoon"
"5 minute bada hona bhi koi bada hona hai kya, waise bhi main is khaandaan ki badi ladki hoon, aur faraaz bhaiyya hum sabse bade hain, tumse bhi bade hain, samjhe"
"ha... faraz bhaiyya ki chamchi" wo use chidaane laga.
Ashi peeche kahan rehne waali thi, usne kaha "theek hai phir main Daniya se keh doongi ki aaj shaam ghar na aaye, main aajaaongi tumhaare ghar."
"kya daani aane waali hai, aur tumne mujhe bataaya bhi nahi" shadu cheekha.
"daani.... Kya baat hai, frnd meri hai, aur khush tum ho rahe ho."
"nahi wo asal may..." shadu sharminda ho gaya. Ab sab milkar use ched rahe the. Isi beech faraaz chupke se wahaan se nikal gaye.
Baat ye thi ke faraz ne aakhir kaar shaadi ke liye razamandi de di thi, unhe aashi ki dost benazir pasand thi, ye baat unhon ne aqila chachi ko kahi thi, kyunki wo ghar may sabse zyaada close unse hi the. Unhe wo din yaad aaya jab wo benazir se mile the.
Ye baat kuch 2 mahine pehle ki thi, jab wo namaz se laute hi the ki unhe raaste may gul chachi mil gayin.
"Ashi kahan ho?" gul chachi use pukaar rahin thi. Jab wo kitchen ki taraf jaa rahin thi unhe Faraz mil gaya. Faraz ne kaha "kya hua chachi kise dhoond rahi hain? Kya ashi ko?"
Unhon ne kha "haan beta bahut der se use dhoond rahi hoon par mil nahi rahi, har jagah dhoond liya par nahi mili, achcha hua ke tum mil gaye, ab tum hi use dhoond sakte ho, jab wo mile to kah dena ke mujhe aakar kitchen may mile."
Faraz ne kuch sochte hue kaha" mujhe pata hai wo kahaan hogi, main use abhi bhejta hoon aapke paas."
Wo ashi ko dhoondne ke liye jab library may aaye, jo unke room ke baazu thi, wahaan par unhon ne dekha ki Ashi zameen par baithi kitaabon par jhuki kuch likh rahi thi, unhon ne paas jaakar kaha " gudiya yahaan kya kar rahi ho, gul chachi tumhe kabse aawaaz de rahin thi, unhon ne tumhe kitchen may bulaaya hai."
Ashi ne sar uthakar apne sabse chahite bhai ko dekha aur kaha "ji bhaiyya, abhi jaati hoon."
Faraz ne use pyaar se dekha aur kaha"lekin gudiya...."
Tabhi ashi ne unki baat kaati aur kaha," bhaiyya ab to mujhe gudiya kahna chod dijiye, main to ab aapke college may hi hoon, dentist banungi inshallah agle 1 saal may."
Faraz ne kaha,"agar tum 60 saal ki bhi ho jaaogi, tab bhi tum mere liye gudiya hi rahogi."
Ashi ne sar hilaaya aur khaamosh ho gayi, kyunki wo faraz se bahas nahi karti thi.
Jab wo neeche kitchen may gayi, tab gul chachi usika intezaar kar rahi thi. Unhe dekhte hi us ne kaha" sorry gulchi main internals ke liye library may baith kar padhai kar rahi thi,isiliye aapki aawaaz sun nahi paayi, please im sorry". Kah kar usne apne kaan pakad liye.
Tabhi uski ammi yaani gul chachi ki jethaani Aqila wahaan aayi aur use daante lagi" kya hai aisha,aise baat ki jaati apne bade logon se, kya tum unhe gul chachi nahi keh sakti, jaisa sab bachche kehte hai???"
Gul chachi ne kaha" jaane dijiye bhabhi, mujhe iska gulchi kahna hi pasand hai, isme iska pyaar jhalakta hai ."
Aqila ne kaha" tumhaari wajah se hi isne sabke naamon ko chota kar diya hai."
Tabhi dadaji ki aawaaz aayi" aqila beta kahaan ho, mujhe tumse hospital ke silsile may kuch baat karni hai."
Jab wo chali gayi, tab ashi ne sukoon ka saans liya aur kahne lagi" waise gulchi aapne mujhe kyun bulaaya tha?" tab unho ne kaha" arre haan yaad aaya, tumhaare college may koi ladki hai kya jiska naam Adiba hai???"
Usne kaha" haan ek junior to hai us naam ki, kyun aap ko usse kya kaam hai?"
Unhon ne kaha" nahi koi kaam to nahi, par kaisi ladki hai, mera matlab hai, uska nature kaisa hai, padhai may kaisi hai, dekhne may kaisi hai?"
Ashi ne kaha"dekhne may mashallah achchi hai, achcha padhti bhi hai, helpful nature ki hai, magr kisi ladke se baat nahi karti sivaaye Zaahir se......, ek minute kya zaahir use pasand karte hain, I mean kya wo usse shaadi karna chahte hai?"
Tab gulchi ne kaha"shayad par usne khul kar is baare may nahi bataaya, abhi to pehle faraz ki shaadi hona hai, uske baad to shaadu hai, phir tum ho, phir uski baari aayegi."
Usne kaha" lekin abhi to faraz bhaiyya ka shaadi ka koi iraada nahi hai, aur naa hi mera, to aap shadu ke liye dhoondiye,..... ek minute shaadu ke liye bhi dhoondne ki zarurat nahi hai, use to Daniya pasand hai, aap dadu se baat kar lijiye, main uske baare may zaahir se sab ugalwa loongi"
Gulchi ne kaha" shukriya beta tumne meri mushkil aasaan kardi, main aaj hi shaadu aur zaahir ke baare may abbaji se baat karti hoon"
Tabhi faraz bhai ki awaaz aayi" gudiya tumhaara fone hai koi nazir hai" who daudti hui upar aayi aur fone per baat karne lagi" nahi tum pareshaan mat ho main abhi aati hoon... tum bas abbu ka khayaal rakho."
So here is the chapter 1. Do read and give me your valuable feedback.
will publish new chapter once or twice in a week.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...