Shaam may reception tha, ye ek mixed gathering thi, roon ki nazren baar baar aashi ko talaash kar rahin thi, par who nazar nahi aa rahi thi, abhi function shuru huey kuch minute hi huey the ki, dadaji ne kaha "aaj mujhe ek saath 3 aur khushiyaan milgaye, aaj 3 aur nikah hai, jo dulhe hain who hai, zaahir, arshad aur haroon, aur unki hone waali dulhanen,adiba, daaniya, aur ayesha. Ye hum sab badon ka faisla hai."
Roon ko pata bhi nahi tha ke kab use stage par bithaaya gaya aur kab uske nikah aashi ke saath ho gaya, aur aashi kab uski ho gayi.
Function ke baad usne gul chachi se request ki ke use aashi se thodi der ke liye milna hai, unhon ne muskuraate huey use aashi ke room may jaane ko kaha.
Wo aashi ke room may enter hua, par use wahaan aashi nahi dikhi, phir gaur karne par samajh aaya ke who balcony may khadi hai.
Wo dheere dheere uske paas gaya aur poocha, "kya tum is rishte se khush ho?"
Aashi ne kaha "agar khush na hoti to engagement ke badle nikah ka nahi kehti daddu se."
Ye sun kar roon hairaan ho gaya, tabhi uske phone par msg aaya
"abse koi khushi nahi jiski tum wajah nahi,
abse koi baat nahi jo tumse na hogi shuru,
abse koi raah nahi jo tum sang main na mudun,
abhi ke abhi ye ho gaya yakeen,
ye zindagi meri ho gayi teri,
tumse hi tumse har baat hai...."
Ye padh kar roon jhoom utha, itna khoobsurat izhaar padh kar usne aashi ko baahon may bhar liya, aur dheere se uske kaanon may kaha" ab rukhsati tak sabar kaise karoon.."
Tab aashi ne use dhakka diya aur room se bahar karke kaha "jaise main karoongi..."
here's the last chapter
please vote, like and comment.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...