Aur bahar nikal kar baarish ka mazaa lene lagi. Jab baarish ki nanhi boonde usne chehre par gir rahin thi, tab use ek anjaani si khushi hoti thi, wo baarish ka bharpoor maza le rahi thi.
Jab haroon ne use dekha to bas dekhta hi rah gaya, use laga ki wo iske dil may utar chuki hai. Kisiki nazron ki tapish mehsoos karke aashi ruk gayi aur jaldi peeche ki seat par jaa baithi, roon bhi peeche aa gaya, use dekh kar aashi ne kaha "aap peeche kya kar rahe hain?" roon ne kaha "main to subah bhi yahin baitha tha, aur ab bhi yahin baithoonga."
Ashi gusse se bahar nikal gayi, par nikalte waqt uska scarf khul gaya aur uske lambe baal bikhar gaye, ye dekh kar roon thoda sa chaunk gaya, use yaad aaya ke usne aise baal kal hi to dekhe the aur ye jaan kar use khushi hui ke aashi ke baal itne lambe the, kyunki use shuru se hi ladkiyon ke lambe baal pasand the, aur college may kisiko itni fursat nahi thi ke itne lambe baal rakh sakta.
Aashi ne apne baal samete aur jaakar aage driving seat par baith gayi, bhaiyya aa chuke the. Bhaiyya ne use dekhte hi kaha "gudiya kya tum driving kar sakti ho, mujhe malhotra sir se pehle unke hospital pahunchna hai" usne kaha "ji bhaiyya" aur sabse kaha "sab log apna seat belt baandh len" aur gaadi nikaal di aur 45min may hyd pahunch gayi, bhaiyya ko hospital drop kiya aur ghar aakar gaadi rok di aur shadu se kaha "sabke utarne ke baad, gaadi lock karke chaabi bhaiyya ke room may rakh do." Aur wo garden may chali gayi, garden se usne ladder li aur apne room ki balcony ke paas khada kiya aur chadh kar andar chaldi.
Ye dekh kar roon ko kuch ajeeb laga aur usne shadu se pooch "yaar kya ye saamne ke darwaaze se nahi jaa sakti thi?" shadu ne kah "kaise jaati agar gul chachi dekh letin to saara ghar sar par uthaa letin, aur agar daadu dekh lete to, hamaari to khair hi nahi hoti, wo kehte hain wo to bachchi hai par tum log use baarish may bheegne kyun dete ho, baarish may wo bheegti hai, zukaam use hota hai, tabiyat uski kharaab hoti hai, aur daant hamen padti hai."
Ashi ne jaldi kapde badle aur baalon ko khushk karke ek scarf achche se odh kar usi tarah ladder se neeche aayi aur gaadi se apna bag aur apron lekar sabke saath andar chali gayi. Gulchi ne sabke liye pakode banaaye the, aur badon ke liye chai. Jab wo pakode kha rahe the tab hi aashi ko cheenk aa gayi aur ye silsila shuru ho gaya, aur sab log samajh gaye ki aaj aashi ne bhi baarish ka maza liya, aur jaisa shadu ne kaha, daadu ne unhe phir daanta.
Daadu ne jald hi use tablets di aur steam inhalation karwaaya, aur use apne kamre may lita diya. Wo tablets ki asar ki wajah se so rahi thi. Agle din use buqaar ho gaya, aur wo college nahi jaa saki. Subah jab shadu aur zaahir bhaiyya ek saath gaadi may baithe, aur roon ka intezaar karne lage, wo 5 min may hi aa gaya tha. Uske aate hi bhaiyya ne kaha "mujhe aaj bhi jaldi pahunchna hai, aashi ki to tabiyat kharab hai, pata nahi ab kya hoga, aur mujhe padhna bhi hai." Roon ne kaha "faraz bhai main driving karunga, aur koshish karunga ke jaldi pahuncha sakun." Usne achchi koshish ki aur 50 min may college pahunchaaya." Bhaiyya ne kaha "shukriya haroon, par phir bhi gudiya hoti to 5 min pehle pahunchaati." Aur wo chale gaye.
Saara din college may roon bechain raha, uska kisi kaam may dil nahi lag raha tha, use pata nahi chal raha tha ki use hua kya hai. Jab bhi wo aankhen band karta use aashi ka chehra dikhaai deta. Jab shaam ko wo gaadi may baitha, tab usne faraz bhai se poocha "faraz bhai aisa kyun hota hai ki bina wajah bhi koi bechain rahe, aur jab wo aankh band kare to use kisi aise insaan ka chehra dikhaai de jise pehle to pasand nahi karta tha par ab pata nai kya ho gaya?" tab faraz bhai ne kaha "ya to wo us insaan ko miss kar raha hai, ya phir use pasand karne laga hai as in mohabbat karne laga hai, par tumhe kiska chehra dikhai de raha hai?" Usne jawab nahi diya aur unke jawab par gaur kar raha tha. Kya sach may wo ashi ko pasand karne laga hai, jab usne apna dil tatola tab use ehsaas hua ke. Wo ashi se mohabbat karne laga hai.
Wo ghar pahuncha aur bina kisise mile apne room may chala gaya.use bahut bechaini ho rahi thi, phir tahelte tahelte wo balcony may pahunch gaya aur wahan par rakhe couch par baith gaya, aur aasmaan ko dekhne laga. Pata nahi kab use neend lag gayi, aur aankh kisiki cheekh se khuli. Wo hadbada utha aur dekhne laga ki cheekh kis taraf se aa rahi hai, tab usne dekha ki saamne waale ghar ki balcony may koi 2 log lad rahe hain, jab gaur se dakhe to pata chala ke wo shadu aur aashi hai, aashi ko tandurust dekh kar use khushi ka ehsaas hua.
Aashi ki tabeeyat kaafi sambal gayi thi, use daadu ne skates gift kiye the, aur wo gift ko dekh hi rahi thi ke shaadu ne usse jhapat liye aur bhaaga, aashi ko gussa aaya aur wo uske peeche lapki, aur isi beech unme jhagda shuru ho gaya, shaadu ne aashi ki choti kheenchi jiski wajah se uski cheekh nikal gayi (jiski wajah se roon ki neend tut gayi).
Itne may faraz bhaiyya wahaan aaye aur unhon ne shaadu ke haath se skates leliye aur aashi ko de diye, aur shaadu ka kaan pakad kar use bahar le gaye.
Aashi ne nazir ko fone karke notes ke baare may poocha, nazir ne kaha sirf pedo may zyaada notes likhaaye gayen hai, jo sir kal ki class may poochne waale hain, aashi ne kaha "theek hai, main daadu se pooch kar tumhaare ghar aati hoon."
Phir daadu to nahi magar usne gulchi se ijaazat li aur jaane ke liye jab porch may aayi to usne dekha ki wahaan par to koi gaadi nahi, tabhi usne dekha ki faraaz bhaiyya wahaan apni bike par kahin jaane ki tayyari kar rahe the, aasshi jaldi unke paas gayi aur kaha ke "bhaiyya please mujhe nazir ke ghar chod dijiye, mujhe aaj ke notes complete karne hain." Unhon ne kaha "par gudiya mera to raasta alag hai, tum zaahir ke saath chali jaao" aur unhon ne zaahir se kaha ki wo use saath le kar jaaye, zaahir kuch kahe isse pehle wo chale gaye.
Zaahir ko roon ke saath kahin jaana tha, usne aashi se bhi yehi baat kahi ke, agar wo akela hota to use zaroor chodta, par pata nahi roon kya kahega, roon ke baare may sun kar aashi ne kaha,"tum uske bhai ho ya mere, mujhe nahi pata ke tum kya karoge par mujhe nazir ke ghar abhi jaana hai." Inki bahas ke beech hi roon aa gaya aur kaha " koi baat nahi hum pehle aashi ko chod denge phir apne kaam ke liye chale jaayemge."
Aashi ne palat kar kaha " mera naam ayesha hai, sirf mere dost aur ghar waale hi mujhe aashi kehte hain."
Wo gusse may aa gayi thi jiski wajah se uski naak laal ho gayi, ye dekh kar roon to us par aur bhi fida ho gaya. Usne kaha "par mujhe to tumhaara yehi naam achcha lagta hai."
Isse pehle ki aashi kuch kehti, zaahir ne use baithne ke liye kaha, aur wo roon ke saath uski gaadi may aage baith gaya, aur nazir ke ghar ka raasta poocha. Aashi ne raasta bataya, jab wo nazir ke ghar pahunche tab usne bina kuch kahe gaadi se utar gayi aur andar ki taraf badhne lagi. Ye dekh kar roon ne kaha "aaj kal to koi shukriya bhi nahi kehta."
Is par aashi ne bina palte hi shukriya kaha aur andar ki taraf chaldi.
Wo notes lekar ghar pahunchi aur apne notes complete kiye, phir usne revision kiya, usme use kuch doubts the jo wo bhaiyya se clear karwaana chaahti thi, par bhaiyya bahut der se laute, uske baad unhon ne uske doubts clear kiye, doubts clear karte karte bahut raat ho gayi, jiski wajah se aashi subah der se uthi aur use college jaane ki taayari may late ho gayi, jab wo naashte ki table ke paas pahunchi, sab log naashta karke jaane ke liye ready the, gulchi ne sabke tiffins diye, aur aashi ke liye naashta bhi pack karke use de diya.
Aashi aakar beech ki seat par baith gayi, aaj driving karne ki shaadu ki baari thi, bhaiyya aur wo beech may baithe the, zaahir peeche so raha tha, saamne roon aur shaadu driving seat par the, shaadu dheeme chala raha tha. Abhi thoda raasta hua hi tha ke bhaiyya ka fone baja aur unhe hidayat di gayi thi ke unhe aaj jald hi college pahunchna hai, tab unhon ne minnat bhari nazron se gudiya ko dekha, wo samjh gayi aur usne shaadu ko gaadi rokne ko kaha aur khud jaakar driving seat par baith gayi, usne jyun hi gaadi ki speed badhadi, roon ki aankh khul gayi, aur jab usne driving seat par aashi ko dekha to chaunk gaya.
here's the next chapter
please vote, like and comment.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...