Wo mud kar faraz se kahne lagi "bhaiyya meri friend hai, uske abbu bathroom may phisal kar gir gaye hain, unhe uthne bhi nahi aaraha hai, usne mujhse madad maangi hai, aap hospital fone karke Farhad uncle aur Qamar aunty se kahiye emergency hai, fauran ambulance ke saath is pate par pahunche" kah kar usne jaldi se ek parchi par ek address note karwaaya aur unhe fone thamaa kar daadu ke room ki taraf bhaagne lagi.
Daadu ke room pe pahunch kar usne saari surat-e-haal dadu ko bataayi aur jaane ke ijaazat maangi, unhon ne kaha" jaao magar faraz ko lekar jaao" aur faraz ko bulwaakar use hidaayat di ke uske frnd ke abbu ka khayaal rakhe aur unhe agar zarurat padi to hospital may admit karwaade.
Wo aur faraz 10 minute may nazir ke ghar pahunche the. Jaise hi car ruki usne door khola aur takriban bhaagte huey ghar ke andar pahunchi, uske peeche peeche faraz bhi pahunch gaye. Tabhi ek ladki bahar aayi aur aashi ke gale lag kar rone lagi, aashi use samjha rahi thi" nazir mat ro yaar, agar tum roogi to phir abbu ji ko kaun sambhalega."
Faraz hairaan reh gaye, unhon ne samjha tha ki nazir koi ladka hoga, magar yahaan par ek nazuk si khoobsurat ladki jiske baal bikhar kar uske gaal ko choo rahe the, dekha to dil se awaaz aayi," haan yehi hai who jiski tumhe talaash thi"
Aashi ne jab faraz ko dekha ki wo kis tarah nazir yaani benazir ko dekh rahe the, samajh gayi ke uske bhaiyya nazir pe fida ho gaye hain, tab usne gala khankhaara aur kahne lagi" bhaiyya ye meri best frnd benazir hai, jise main nazir kehti hoon."
Ye kehne ke baad wo log abbuji ko dekhne bathroom may pahunche, faraz aur aashi ki madad se benazir ne abbu ko bistar pe litaaya, tabhi ambulance ki aawaaz aayi, faraz jaakar unhe le aaye.
Farhad uncle ne jaldi se unka muaayna kiya, aur ward boys ki madad se unhe ambulance may shift kara diya aur faraz ke saath SAHER HOSPITAL chale gaye.
Qamar aunty ne dilaasa diya ke unhe kuch nahi hoga, aur phir aashi aur nazir ke saath wo bhi hospital rawaana ho gayin.
SAHER HOSPITAL hyderabad ka sabse mashoor hospital tha, uska ejaad Dr.Saleem Khan ne kiya tha, jo aashi ke daadu hain, wo ek bahut hi qaabil aur mashoor surgeon hain, aur us hospital ke M.D bhi, unke manjle bete yaani Aashi ke vaalid Dr.Shaariq bhi surgeon hain, aur unki bahu Dr.Aqila bhi doctor hain. Iske alaawa Shaariq ke frnd Farhaad aur unki begum Qamar bhi usi hospital may kaam karte hai, Farhaad ke vaalid Dr.Faizaan ek mashoor neuro surgeon hain.
Benazir ke abbu bhi usi hospital may radiologist the. Jab ashi aur Benazir Qamar aunty ke humraah hospital pahunche, tab tak nazir ke abbu ko I.C.U may shift kiya jaa chuka tha, unke kamar ki haddi may fracture ho gaya tha. Faraz bhaiyya aakar unlogon ko details bata rahe the.
Jab nazir kuch ghanton baad apne abbu se mili, tab usne sukoon ki saans li, unse milne ke baad jab wo bahar aayi, to Aashi uska intezaar kar rahi thi. Wo Nazir ko lekar canteen ki taraf chaldi.
Canteen may usne 1 bagair doodh ki chai aur 1 coffee order dene ke baad, donon khaali table ki taraf badh gaye, aur baith gaye. Tabhi Faraz bhaiyya wahaan aaye aur jo khaali chair thi us par baith gaye. Jab waiter chai aur coffe laaya, tab unhone use sandwich ka bhi order de diya, aur isse pehle ki Aashi kuch kehti, wo chai peene lage.
Ashi ne kaha "bhaiyya wo Nazir ki chai thi jo aapne peeli." Wo kuch sharminda huey aur maafi maangne lage, tab Nazir ne kaha" jaane do Aashi main doosri pee loongi"
Phir baat ko doosri taraf modte huey kehne lagi "ab to abbu hospital may hain,to phir tum ghar may akeli kaise rahogi,ek kaam karo apna zarurat ka saamaan pack karo aur hamaare ghar chalo." Isse pehle ki wo kuch kehti, usne fone uthaaya aur apne daadu ko call kiya aur saari surat-e-haal bataadi aur apna idea bhi sunaaya, unhon ne khushi se use ghar laane ki permission dedi.
Aashi jab fone par baat kar rahi, tab Faraaz ne Nazir se kaha "aap pareshaan mat hoiye, aapke abbu ko kuch nahi hoga inshallah, agar aap yun pareshaan hongi, to wo bhi besukoon rahenge, himmat se kaam lijiye." Nazir ne shukriya ada kiya, aur Aashi ka intezaar karne lagi, use Ashi ka yun apne bhaiyya ke humraah chodna ajeeb laga, par wo kuch na kar paayi.
Jab Aashi waapas aayi to uska chehra khushi se khil raha tha, usne kaha "Nazir daadu ne ijaazat dedi". Tabhi Faraz ne kaha "gudiya ye kya, achcha khaasa naam hai Benazir, jisko tumne Nazir bana diya, kisika naam bigaadna achchi baat to nahi na"
Nazir aur Aashi ne chaounk kar unhe dekha. Aashi samajh gayi par kehne lagi "nahi bhiyya maine iska naam nahi bigaada, iske abbu pyaar se ise yahi naam se bulaate hai. To main bhi isi naam se bulaati hoon"
"lekin gudiya kuch ajeeb nahi lagta, ek ladki ko ladke ke naam se bulaana."
"theek hai bhiyya, main koshish karungi naz... mera matlab hai use benazir bulaaungi"
Uske baad wo canteen se chale gaye. Jab wo shaam ko ghar may aaye, to ghar may ajab si hulchul thi, unhon ne paas se jaate hue arman se poocha ki baat kya hai, usne kaha "ashi didi ki frnd aayi hui hai, daadi aur sab log unka interview le rahe hain"
"interview.... Gudiya ki frnd ka, magar kyun???" "pata nahi" kah kar armaan bat utha kar bahar chala gaya.
So do u like this chapter?
please do give ur valuable comments.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...