Valima ek din ke gap se tha, isiliye sab log aaram farma rahe the.
Par aashi der se sone ke bawajud jaldi uth gayi thi aur namaz padh ke jogging karke wapas aa rahi thi, tab usne koi bachche ko apne ghar ke gate ke saamne tahal raha tha, aashi ne kareeb jaakar poocha "kya hua kaun ho tum, aur yahan kya kar rahe ho?" us ladke ne kaha "main baazu waale ghar may rehta hoo, mera naam hameed hai, yahan par haroon bhaiyya ko bulaane aaya hoon, mummy bathroom may phisal kar gir gayi hain, aur main unhe nahi utha sakta, isiliye bhaiyya ko bulaane aaya tha".
Aashi ne kha "tum roon ke bhai ho, wo zaahir aur shadu ke saath abhi so rahe hain, chalo main chalti hoon tumhare saath" ye keh kar aashi unke ghar gayi, wahan jakar usne dekha ke wo aunty uthne ki koshish kar rahi thi par nakamyab ho rahi thi, aashi ne unhe kaha"rukiye aunty, main help karti hoon" usne homi ki madad ke bagair unhe uthaya aur palang par lita diya, phir unke pair dheere dheere seedhe karne lagi, uske baad usne poocha "aunty aap ko kahin takleef ho rahi hai kya?" unhon ne kaha "beta mera daaye pair shayad mud gaya hai, wahan edi(ankle) ke paas dard ho raha hai". Aashi ne homi ko kaha "homi jaakar koi dard ka ointment lekar aao" aur usne phir unse kaha "maaf kijiye aunty par mujhe aapka naam nahi malum" unhon ne aashi ko bataaya ke unka naam haaniya hai.
Phir aashi apna fone nikaala aur saher hospital call kiya aur ambulance mangwaayi aur kaha ke dr.malhotra ko bhi bhejen, phir usne gulchi ko fone kiya aur saari surat-e-haal bataayi aur kaha"ab dr.malhotra aane ke baad jo bhi kahenge main aap ko boldungi , aap daadu, zaahir, shadu aur haroon ko bol dijiye, ye keh kar usne fone rakh diya.
Ambulance ke saath dr. malhotra bhi aa gaye the, jab unhone aashi ko dekha, jhat namaste kiya aur haaniya aunty ka pair dekha, wahan par sujan nahi thi, unhone aashi se kaha "inhe hospital le jaane ki zarurat nahi hai, halki si moch hai, main dard ka ointment likh kar dedunga aap, wo rub kijiye aur barf se seka lagayiye, aur aaj aaram kijiye, kuch din ke baad se ye chal sakti hain, par aaj inhe aaram karna hoga".
Ye sunkar aashi relax ho gayi ke unhe sirf moch aayi, usne dekha ke jo ointment dr.malhotra na likha, wo uske pas already maujud hai. Phir usne dr.malhotra ka shukriya ada kiya. Aur homi se kaha "tum yahi ruko main abhi aati hoon"
Wo jald hi wapas aa gayi aur,phir usne dheere dheere haaniya aunty ke pair par ointment rub kiya, phir usne homi se kaha "mujhe batao kitchen kahaan hain," homi use kitchen may legaya. Usne freezer se barf nikaali aur apni handkerchief nikaal kar usme barf daala aur potli ki tarah pakda aur wapas unke kamre may aagayi aur dheere dheere seka dene lagi, tabhi roon, shaadu aur zaahir aa gaye.
Roon aashi ko wahaan dekh kar chaunk gaya, usne socha ke wo to so rahi hogi. Wo apni mummy ke kareeb pahuncha aur pucha "ye kaise hua, aapko zyaada dard to nahi ho raha, agar hai to doctor ke paas chalte hai" isse pehle ke wo aur koi sawaal karta, haaniya aunty ne use rok diya aur kaha "main bathroom may phisal gayi thi, bas halki si moch hai, aur haan aashi ne doctor ko bulaaya tha, wo aakar check karke gayen hain, unhon ne jo ointment likha tha, wo aashi ne laaya aur lagaaya, aur ab barf se seka de rahi hai,"
Roon ne palat kar aashi ko dekha, wo blue t-shirt par white trousers pehne huey thi, aur bahut cute lag rahi thi, usne aashi ka shukriya ada kiya.
Aashi halke se muskuraadi, phir usne barf ki potli roon ki taraf badhaayi aur kaha "halke se seka dijiye, jab pighal jaaye phir ice se har aadhe ghante se seka dete rahiye" aur phir aunty se vida lekar ghar aa gayi, use abhi nahaana tha aur phir sona bhi tha.
Aashi bahut thak gayi thi, use bahut neend aa rahi thi, magar wo pasine se bheegi hui thi, isiliye wo nahaane chali gayi, jab naha kar aagayi toh baal sukhaane ke liye couch par baith gayi jo balcony may tha, aur baal couch ke peeche daal diye, baal sukhaate sukhaate uski aankh lag gayi.
Kisi ke fone se uski aankh khul gayi, bina dekhe usne fone utha liya, "hello ji kaun hain?" doosri taraf se aawaaz aayi"Ayesha main roon bol raha hoon, aapka shukriya ada karna chahta tha, aapne jo mamma ke liye kiya, uske liye, main aapka ehsaanmand hoon". Aashi thoda sa chaunk gayi thi, usne kaha "iski zarurat nahi, jo kuch maine kiya wo insaaniyat aur padosi hone ke naate toh kar hi sakti thi..." aur chand baton ke baad fone rakh diya.
Usne dekha ki tym 4 baj rahe the, jaldi se uth kar namaz padhi. Bhook bahut lag rahi thi, so neeche kitchen may jaakar khaana khaaya, abhi wo khaana kha hi rahi thi ke, hall may shor hua, usne khaana khatam kiya aur hall may gayi ye dekhne ke liye ki wahan kya ho raha hai, wahaan jaakar dekha ki, sab log nazir aur faraaz ko ghere huey the, aur shadu halla gulla kar raha tha.
Wo jaakar ek sofe par gulchi ke bagal may baith gayi.
Nazir ki help ke liye faraaz ne use pukaara, aashi wahaan pahunchi aur sabko lathaadne lagi, tabhi roon aakar unki side se aashi ko chedne laga, aashi ne use bi dapat diya, aashi may aur ladne ki himmat nahi thi, use bahut si thakan hui, uska sir ghoom raha tha, usne side se nikalne ki koshish ki, par roon ne use pakad liya, but isse pehle ki wo kuch kehta, aashi gir padi, roon ne jaldi se use sambhaal liya, aur dheere se jaakar shadu ko bulaaya, aur uske moonh par paani maara, jab use hosh aaya toh use glucose diya, aur isse pehle ki who shadu ko kehta ki use kamre may chod aaye, shaadu wahaan se nikal chuka tha, isiliye roon ne hi aashi ko uske room may chod diya, aashi neem behosh thi, usne usi haalat may use thanks kaha aur so gayi, use neend ki zarurat thi.
here's the next chapter
please vote, like and comment.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...