Ye mausam ki baarish...

12 1 0
                                    


Subah ghar may afra tafri machi hui thi, ashi ne ghar sar par utha liya tha, uska final year ka aaj pehla din tha, usne saari tayyari raat ko hi mukammal karli thi, par jab wo subah uthi tab apna apron gayab dekh kar ghar may shadu ke peche daud lagaa di, use pata tha ki ye sirf shadu hi kar sakta hai. 

Jab wo thak kar dining table ke paas aa kar baith gayi, tab faraaz bhaiyya ne bataaya ki unhon ne uska apron lekar apne paas rakh liya hai, kyunki unhe dar tha ki har baar ki tarah is saal bhi shadu koi na koi gadbad zarur karega. 

Ye sunkar wo relax ho gayi, aur jaldi jaldi nashta khatam karke gaadi may jaa baithi, kyunki unka college ghar se 60km door tha,aur aaj uski driving ki baari thi, usne zor zor se horn bajaana shuru kiya. Zaahir, arshad aur faraz jaldi aa gaye aur baith gaye, phir usne gaadi start ki aur porch se nikaal kar bahar laayi, aur aage badhaane hi waali thi ke usne dekha ki baazu waale bangle se ek gaadi nikli aur usme usne jise baithe dekha use dekh kar uska mood off ho gaya. 

Sabne ne hi use dekha tha, zaahir aur arshad yoh khush ho gaye, aur cheekh kar bahar nikle aur usse jaakar mile, unhon use apni gaadi ki taraf laaye aur faraz se introduce karwaaya "bhaiyya ye Haroon hai, hamaari class may padhta hai, hamaara bahut achcha dost hai aur class ka c.r (class representative) bhi hai" unhon ne muskuraakar usse haath milaaya aur kaha "are c.r to hamaari aashi bhi hai na, chalo agar tum college jaa hi rahe to hamaare saath hi chalo" ye sun kar shadu aur zaahir ne bhi israar kiya, aur haroon ko manaaya hi liya.

Haroon ne aashi ko driving seat par dekha to bhaiyya se kaha "faraz bhai kya ladkiyaan achche se drive kar sakti hain?" unhon ne kaha "main aankh band karke aashi ki driving par bharosa kar sakta hoon" aur palat kar aashi se kaha "gudiya aaj tumhaara challenge hai, tumhe ye ek ghante ki driving jitna jaldi ho sake poori karni hai, kyunki main already late hoon, aur main shaadu ya zaahir ki driving ko jaanta hoon, isisliye aaj tumhe kaha" usne ne "ji bhaiyya" kaha aur drive karke 45min may college pahunch gayi, usne gaadi se utar kar chaabi shadu ki taraf uchaal di aur apna bag aur apron le kar bhaiyya ke gale lagi aur andar ki taraf badh gayi. Use apni doston ko zyaada talaash karne ki zarurat nahi padi.

Daaniya,Benazir aur Iqra use jald hi mil gaye, wo log office jaakar notice board pe lage paper ko dekhne lage jispar unke batches the, daani,nazir aur ashi 'A' batch may the, jabki zaahir, shadu aur iqra 'B' batch may the, usne dekha ke un logon ki pehli posting orthodontics hai.

Sab log lecture hall ki taraf badh gaye, unka lecture sukoon se khatm hua, wo log canteen ki taraf chaldiye apna samaan lekar, kyunki abhi postings shuru hone may 15 minute the.

Jab wo canteen pahunche, unhone dekha ki wahaan kuch ladke bhi the, unhe dekh kar ashi ka mood phir kharaab ho gaya, kyunki wahaan haroon bhi tha, aur wo usi ki taraf dekh raha tha, canteen may kahin aur bhi jagah khaali nahi thi, aur shadu aur zaahir bhi wahin the, usne jaakar shaadu se gaadi ki chabi li aur unke postings ke baare may unhe bataane lagi. 

Shadu ne kaha "aashi kya tumhe pata hai roon (haroon) ki posting kahaan hai?" jab usne jawaab nahi diya tab usne sharaarat se kaha "uski posting bhi tumhaare saath hai." Ye sunkar ashi jo paani pee rahi thi ek dam uchal gayi aur use zabardast thaska laga. Usne socha " ya allah ye aapne kaisi saza di mujhe". 

Aashi ko college ke pehle din se us ladke se chid thi, kyunki wo apne aap ko superior aur ladkiyon ko inferior samajhta tha, aur ashi ko aise logon se chid thi. Usne jaldi jaldi apna samaan uthaaya, aur daani aur nazir ko lagbhag kheenchti hui wahaan se nikal gayi aur department chali gayi.

Orthodontics department may unhe alag alag sizes ke stainless steel wire dete the jinse unhe kaam karna tha, dr.sharma jo ke lecturer the usi dept. ke unhon ne kaha " jinka bhi 3rd year ka kaam agar complete nai hua hai, un logon ko apna kaam khatam karne ke liye main 2 din ka time deta hoon, uske baad hi hum 4th yr ka kaam shuru karenge."

Aashi ko to koi pareshani nahi thi kyunki usne apna saara 3rd yr ka kaam 3rd yr may hi commplete kar liya tha. 

Par Daaniya ka thoda kaam reh gaya tha jo wo aur nazir usse karwaa rahin thi, haroon ki place bilkul aashi ke saamne thi aur wo apni place ka bharpoor faayda utha raha tha aur aashi ko take jaa raha tha, aur aashi ka khoon khaul raha tha, phir bhi wo chup baithi rahi. 

Thodi der baad wo uthi aur dr. sharma ke paas jaakar guzaarish ki aur apni seat change karwaali.

Lunch time se kuch der pehle hi daani ka kaam bhi complete ho gaya aur usne record may sign leli. 

Dopahar ka lecture thoda boring tha.Jab college khatm hua wo apne doston ko khuda hafiz keh kar, jab gaadi ki taraf aayi tab usne dekha ki haroon driving seat par baitha hua hai, usne bina kuch kahe gaadi ka pichla darwaaza khola aur apna samaan daal kar, fone nikaala aur bhaiyya ko call kiya, unhon ne kaha ke wo aa rahe hai.

Use kuch ajeeb lag raha tha yun haroon ke saath gaadi may baithna, to wo nikal kar bahar aayi, usne dekha ki saare college buses jaa chuke the aur lagbhag sabhi log jaa chuke the, thodi der baad shadu aur zaahir bhi aa gaye, par bhaiyya abhi tak nahi aaye, wo samajh gayi ke bhaiyya ko aane aur thoda time lagega.

Achaanak baarish shuru hui, use baarish bahut pasand thi, lekin isse pehle ki wo bahar nikalti zaahir ne kaha "aashi bahar nikalne se pehle soch lo ke, agar tum bhigi to tumhe peeche baithna hoga." Usne palat kar jawaab diya "gaadi bhaiyya ki hai, meri marzi main jahaan bhi baithoon." 




here goes 4th chapter

do give ur valuable feedback

jazakAllah khair

Tamzeen

Love You, Zindagi (COMPLETED)Where stories live. Discover now