Agle din valima tha, gulchi na time dekha, 11 baj rahe the aur aashi ka kuch bhi pata nahi tha, kyunki aashi ghar may sabse pehle naashta karti thi, unhe fikar hone lagi, tabhi unhone roon aur shadu ko kahin se aate huey dekha, aur boli "arre shadu beta jaakar dekhna to, aashi abhi tak nahi uthi", shaadu ne roon se kaha dekhne ko, kyunki use already bahut kaam tha, roon ne gul chachi ki taraf dekha, gul chachi ne kaha"haan beta zara pls ek baar aashi ko dekh lo na, aur mujhe bata dena, kisi aur se kuch mat kehna, sab pareshaan ho jaayenge"
Roon ko dil may bahut khushi ho rahi thi aashi se milne ki, wo aashi ke room may pahuncha aur dekha ki who mast si duniya se bekhabar so rahi thi, wo use disturb nahi karna chahta tha, par use uthaana bhi tha, aur who dheere se use pukaarne laga, aashi uski aawaaz apne room may sun kar uchal padi, uske zulf bikhre huey the, aur kapde kuchle huey the, who hairaan ho gayi aur roon se poocha "tum mere room may kya kar rahe ho?"
Tab roon ne socha ki apne dil ki baat use keh de, aur woh uske bed ke khareeb niche ghutnon ke bal baith gaya aur kehne laga "ayesha khan, urf aashi, pata hai mujhe tum 1st year ke 1st day se achchi lagi thi, tum baaki ki ladkiyun jaisi nahi ho, sshhh... mujhe kehne do (aashi uski baat beech may hi kaat rahi thi), par main tumhe maghroor samajhta tha, par jabse hum yahaan shift huey hain, tab se maine tumhe proper tareekhe se jaana hai, aur apne aap ko tumse mohabbat karne se nahi rok saka, haan aashi main tumhe tahe dil se mohabbat karta hoon, aur tumhe sada khush rakhne ka vaada karta hoon, kya tum mera saath dogi...."
Aashi hairaan si uska chehra dekh rahi thi aur phir bistar par late gayi, aur kahne lagi "ye koi sapna hai.."
Par roon ne uska haath pakda aur kahne laga "aashi ye sapna nahi hai, aur main tumhaare jawaab ka intezaar karunga.." aur who chala gaya.
Aashi ko sambhalne thoda time laga, who jhat fresh ho kar neeche aayi aur gulchi ke room may ghus gayi, aur unse jo kuch roon ne kaha tha keh diya, unhon se uski baat suni aur kaha" ab tum kya chahti ho?"
Aashi ne kaha "agar mujhe pata hota toh aapke paas aati, aap meri help kijiye, mujhe samajh nahi aa raha hai."
Tab unhon ne kaha "roon ki mummy ne already tumhaare liye proposal bhej diya hai, hum sabko roon bahut pasand hai, achcha ladka hai, tumhe khush rakhe ga, aur tumse bahut mohabbat bhi karta hai, mere khayal se tumhe haan keh deni chahiye, main abbaji se kahoongi ke ye proposal accept karlen." Aur unhon ne uska maatha choom liya aur chaldi.
Aashi apne room may waapas aayi aur balcony may rakhe jhoole par baith gayi, use samajh nahi aaraha tha, ke ye sab achanak kab ho gaya, who soch hi rahi thi,tabhi uske mobile pe msg aaya
"kuch khaas hai kuch paas hai,
kuch ajnabi ehsaas hai,
kuch dooriyaan nazdeekiyaan,
kuch haspadi tanhaaiyaan,
kya ye khumaar hai,
kya aitbaar hai,
shayad ye pyaar hai,
pyaar hai shaayad....."
Msg padh kar uske dil ko kuch hua, ek anjaana sa ehsaas, pata nahi, woh use bayaan nahi kar sakti thi. Tabhi ek aur msg aaya "mere saamne waali khidki may,
ek chaand ka tukda rehta hai,
afsos ye hai ke who humse ukhda ukhda rehta hai..."
Usne ek dum sir uthakar aage dekha, roon apni balcony may khada use hi dekh raha tha, pata nahi kyun use roon se jhijak ho rahi thi, who uth kar jaane lagi, tabhi ek aur msg aaya
"aankhon hi aakhon may ishaara ho gaya..."
Use apne is tarah se uth kar aane par gusaa aaya, par wo kuch nahi kar paayi.
here's the next chapter
please vote, like and comment.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...