Wo kuch sochte hue, andar aaye, tab unhon ne dekha ki gul chachi kisi baat par benazir khul kar hasi thi, jiski wajah se uske aankhon ke kone bheeg gaye the, aur tab wo faraz ko bahut khoobsurat lagi, aur unke dil may kuch hua. Tabhi unhe peeche se aashi ke gungunaane ki awaaz aayi "kya karun haaye kuch kuch hota hai...." Wo palat kar use ghoorne ki koshish karne lage, par use dekhte hi muskuraane lage.
Usne kaha"kya hua bhaiyya??? Kuch hua" unhon ne kaha "kis baare may" aur wahaan se nikal kar apne room may chale gaye, wo apni haalat par confuse ho rahe the.
Phir jitne din bhi benazir unke ghar rahi, wo chup chup kar use dekhte rehte, kitaab kholte to uska chehra dikhaayi deta, sote to uske khawb aate. Wo samajh nahi paa rahe the apni kaifiyat ko. Phir jab benazir ke abbu discharge ho gaye aur wo waapis chali gayi, tab unhe ehsaas hua ke wo usse mohabbat karte hain.
Ek din wo library may baithe, book khole gaana gaa rahe the
"mastaana mausam hai,
rangeen nazaara,
aaj se jaaneman dil hai tumhaara...."
Unke peeche aqila chachi khadi thi jo wahaan koi book lene aayin thi, unhe hairat hui faraz ke muh se aisa gaana sunkar. Wo faraz ke paas gayin aur usse poocha, ke kaun hai wo??? Tab faraz ne bina hichkichaaye unhe benazir ke baare may sab bata diya. Wo bahut khush huin aur unhon ne kaha "kya tum benazir se shaadi karna chaahte ho?" faraz na kaha "haan chachi main use khona nahi chahta"
Tab unhon ne kaha "main aaj hi abba jaan se baat karungi, aur inshallah tumhe jald hi khushkhabri sunaaongi"
Ye sunkar faraz khush ho gaye aur padhaai par concentrate karne lage. Wo M.D.S ke second year may the aur unke exams ki date aa chuki thi.
Aqila ne abba se baat ki, aur saari maalumaat karne baad, benazir ke abbu se mile aur unse faraz ke liye benazir ka haath maanga, wo bahut khush huey, aur unhon kuch waqt maanga benazir se uski marzi malum karne ke liye. Aur do din baad unhon ne razamandi de di.
Daadu ne mangni ke bajaaye shaadi ke baare may faisla kia, jo unke exams ke baad hone ke liye tay paaya gaya tha.
Jab ye baat sab bachchon ko pata chali, tab aashi faraz se bahut naraaz ho gayi. Faraz ne bahut maafi maangi, tab kahin jaa kar wo maani.
Aur tabse sab milkar unhe ched rahe the.
Agle din Sunday tha, aur har Sunday ki tarah ashi subah fajar ki namaz ke baad jogging ke liye paas waale park may gayi, jab aadhe ghante baad wo waapis aayi, to usne dekha ki, unke ghar ke baazu may jo bangla tha, uske saamne ek truck saamaan se bhara hua tha. Wo poochne ke liye aage badhi, kyunki wo ghar pichle 2 saal se khaali tha, wahaan par ek aurat thi jo burqa pehne huey thi, jo bahut bawaqar lag rahi thi, aur umar may uske taayi jaisi lagin, usne paas jaakar daryaaft kiya "Assalamualaikum, kya aap yahaan par shift ho rahe hain."
Tab unhon ne muskuraakar jawaab dia "Walekumussalaam, haan beta hum ne ghar kharid liya hai, aur idhar shift ho gaye, tumhaara naam kya hai beta?" isse pehle ki wo jawaab deti armaan bhaagta hua aaya aur kenhe laga " didi aapko mamma bulaa rahi hain, aur wo bahut gusse may hain, aap jaldi aaiye." Ye sunte hi usne unse excuse kiya aur ghar ki taraf daud laga di.
Ghar jaakar use pata chala ki mamma use nahi shadu ko dhoond rahi thi. Usne kitchen ki raah li aur wahaan par badi ammi aur gulchi se baarten karte hue naashta kiya aur nahaane apne room ki taraf chaldi. Jab wo naha kar bahar aayi, tab usne apni balcony may rakhe couch par baith kar, apne baal couch ke peech daal diye, jahaan dhoop aa rahi thi, aur apna laptop khol; kar mails check karne lagi. Phuphu ke bade bete Talal ko online dekh kar unse chat karne lagi.
"Haroon kahaan ho beta?" mummy ki aawaaz sunkar wo unse milne kitchen ki taraf gaya, wahaan jaane par unhon ne bataaya ke uska kamra upar walle hisse may hai, aur uske room ke saath balcony bhi hai.
Wo apna room dekhne upar pahuncha, use apna room bahut pasand aaya, jab wo balcony may pahuncha, usne aas paas dekha, wahaan par kuch hi ghar the, uske balcony ke saamne ek aur balcony thi, usne dekha to use kisike lambe baal dikhaayi diye, usne dekha ki wo jo koi bhi thi khadi hui, jab wo khadi hui to uske baal kaafi lambe dikhaayi diya, wo shayad uske ghutnon se bhi neeche the. Wo chahta tha ke us ladki ki shakal dekhe par usse pehle is us ladki ne jaldi jaldi apne baalon ka jooda banaaya aur sweatshirt ki cap se use cover kar liya, aur andar ki taraf chali gayi.
Wo mayus ho kar andar laut aaya, aur apni ma ki help karne laga, wo log aaj hi shift huey the. Baaton baaton may usne poocha "mummy ye baazu waale bangle may kaun rehta hai?"
Unhon ne kaha "pata nai beta, par jab main aayi thi tab main ne ek ladki ko dekha jo mujhse is ghar ke baare pooch rahi thi, maine jab uska naam poocha to wo bataane hi lagi thi ke koi bachcha use bulaane aa gay, pata nai kaun thi par bahut pyaari thi dekhne may, chalo ab tum jaa kar aaram karo, kal college bhi to jaana hai, ab to tum final year may ho."
with best wishes
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
NouvellesThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...