Jab wo log college pahunchne ke kuch hi kareeb the tab unhon ne aage college bus aur rtc bus ka accident dekha.
Aashi ne gaadi roki aur jald hi wahaan pahunch gayi, phir usne jaldi daadu ko fone kiya aur kaha ki jaldhi 3 ambulances rawaana karen, aur usne zaahir, shaadu, roon aur bhaiyya ki madad se kai logon ko bus se nikaala, usne dekha ki daaniya bahut buri tarah zakhmi thi, use dekh kar shaadu bahut pareshaan ho gaya, aashi wahaan pahunchi aur badi ehtiyaat se usne daaniya ko bus ke malbe se baahar nikaala, usne dekha ke uske sar se bahut khoon beh raha tha, usne uske sar par haath rakh diya aur shaadu se kaha ki gaadi se hanky le kar aaye, isse pehle ke shaadu laata, roon ne apni dasti dedi, aashi ne jaldhi use leliya aur daaniya ke sar par baandhne lagi par use baandhne nahi aaraha tha, tab roon uski madad karne laga, aur roon ki madad se aashi daaniya ke sar se khoon ka bahaav kaafi had tak rok chuki thi, aur roon ki madad se usne daaniya ko apni gaadi may lita diya.
Kuch hi der may ambulances pahunch gaye, usne daaniya ko usme shift karwaadiya. Aur baaki ke sab zakhmiyon ko bhi shift karwaaya gaya.
Aashi ko accidents se bahut darr lagta tha aur wo jab kisi apne ko zakhmi dekhti to uski tabiyat kharab hone lagti, aur jabse usne daaniya ko zakhmi haalat may dekha to uski tabiyat bhi bigadne lagi, use chakkar aane lage, isse pehle ki wo girti roon ne use sambhaal liya, bhaiyya, shaadu aur zaahir masroof the, to roon hi usko hosh may laane ki koshish kar raha tha, use samajh may nahi aa raha tha ke achanak aashi ko kya ho gaya, tabhi shaadu wahaan aaya aur usne kaha "are aashi ko kya hua?" roon ne kaha "pata nahi, jaise hi daaniya ko ambulance may lekar gaye, ye behosh ho gayi." Usne bhaiyya ko bulwaaya aur aashi ke baare may bataaya, bhaiyya ne shaadu aur roon ki madad se use gaadi may litaaya, aur hosh may laane ki koshish karne lage, kuch hi der baad aashi ko hosh aa gaya, hosh may aane ke baad aashi bhaiyya se lipat kar rone lagi, bhaiyya ne use samjhaaya ke daaniya theek hai, tumhaari aur roon ki wajah se uski tabiyat bigad ne se bach gayi. Roon ko ye sab kaafi ajeeb lag raha tha.
Us din college ki chutti thi, wapasi par aashi seedhe hospital jaane ki zid kar rahi thi. Par daadu ne use mana kardiya aur agle roz bina kisiko ko bataaye wo hospital pahuch gayi aur shaariq uncle ki madad se wo daaniya ke room may pahunch gayi, wahaan daaniya ke ghar wale the par usne kisi ki bhi parwa kiye bagair seedha daaniya ke paas chali gayi, kisi nurse ne use nahi roka, use daaniya ko dekh kar kuch sukoon hua, jab daaniya baat karne lagi to use chain aaya, daaniya ne apne bhaiyya se milne ki khwahish zaahir ki, wo ICU may thi, aur wahaan kisiko aane ki permission nahi thi, par aashi ne bahar aakar poocha ke unme se daaniya ka bhai kaun hai, tabhi ek smart sa ladka aaya aur kaha, "main daani ka bhai hoon, wo kaisi hai ab? Kya hum andar jaa sakte hai?" aashi ne kaha " alhamdulillah daaniya ab theek hai, aur wo aap se milna chaahti hai, please mere saath andar aayiye."
Is haadse ko guzre 3 mahine ho chuke the, aur ab to faraaz bhaiyya aur benazir ki shaadi hone wali thi 1 mahine may. Use nazir aur bhaiyya donon ki shopping ki zimmedaari de di gayi thi. ani ka kaam bhi complete ho gay aur usne record may sign leli.
ul raha tha, phir bhi wo chup baithi
Shaadi ki tayyari bade zor o shor se chal rahi thi, usne faraaz aur nazir ke kapdon ki designing ke liye gulchi ko chuna, aur apne kapde to wo hameshaa se hi gulchi se design karwaati thi.
Haldi ki rasam ho gayi thi, ab sab log mehendi ke intezaar may the, who jaante the ki benazir ki koi behen nahi, wo sochh rahe the ki mehendi lekar kaun aayega. Jab unhone aashi ko mehendi lekar aate dekha to shaadu ne kaha "tum mehendi lekar kaise aa sakti ho, tum to dulhe waalon ki side se hoi". Tab aashi ne kaha "main to filhaal nazir ke side se aayi hoon".
Mehendi ki rasam ke waqt aashi ne faraaz se sirf ek vaada maanga ki wo uski dost ko har gham har dukh se bachayega aur use saari khushiyaan dega. Ye baat sun kar sab logon ne aashi ko bahut saraaha. Mrs. Haaniya ko ye ladki bahut pasand aayi apne bete haroon ke liye. Unhon ne socha ya saare functions khatm hone ke baad wo rishte ki baat chalaaengi.
Shaadi ke din ghar may bahut hungama ho raha tha. Sab log tayyari may the, koi bhi kam nahi lagna chahta tha, aashi to kabse tayyar ho kar hall may baith kar t.v dekh rahi thi, gulchi bhi tayyaar hokar aagayin, dheere dheere sab aa gaye, lekin shaadu aur zaahir abhi tak nahi aaye the, daadu ne aashi se kaha ki wo un logon ko lekar aaye, wo jald hi unko lekar neeche aagayi. Sab log function hall pahunch gaye.
Wahaan pahunch kar aashi to seedhe nazir ki taraf chali gayi. Nazir ne brick red colour ka bhaari sa khada dupatta pehna hua tha, wo bahut khoobsurat dikh rahi thi, aashi ne uski taareef ki, tab nazir ne kah "tum to aaj kuch alag hi lag rahi ho"
Aashi ne purple aur kanjaali rang ke combination waala sharaara pehna tha, gale may ek nafees sa humrang necklace aur kaanon may lambe se baaliyaan the, ye sab use gulchi ne diya tha pehenne ke liye, aur uske haaton may chudiyaa bhi the, aashi ko choodiyaan pehenna pasand nahi tha par gulchi ke kehne par usne pehen liye.
Wo sab logon se milne lagi, tabhi nikaah ka shor hua aur thodi der baad faraaz aur benazir shaadi ke atoot bandhan may bandh gaye, aashi jaakar nazir se mili, ab wo faraaz se milna chahti thi par us taraf nahi jaa sakti thi, isliye usne shaadu ke cell par call kiye, jaise hi fone uthaaya, usne bina use mauka diye kaha "jaldi se zanaana side pe aao, urgent kaam hai, aur haan koi bahaana mat karna." Ye keh kar usne fone rakh diya.
here's the next chapter
please vote, like and comment.
JazakAllah khair
Tamzeen
YOU ARE READING
Love You, Zindagi (COMPLETED)
Short StoryThis is one of the first stories I had conceptualized in my computer. It has been almost 9 years since I have read or edited this story, so I"m presenting it to you all the way I had written it. please don't judge it, it was written in my early teen...