part 2 [ Mazzi ]

1.2K 82 33
                                    

Hmra haal hmre maazi se kch mukhtalif nhi hota kyun ke jo aj hm kar rahe hain apne sath acha ya bura woh kch arse ke bad hmre samne maazi ki shakal mn khara hoga ab yeh hmare upar hai ke ke hm usse batareen maazi ki yad bante hain yh usko aik shandar yad bankr apni zindagi purskoon tarike se guzaarte hain kyun ke hmre mashre mn log kbhi bhi hme hmare maazi ko bholne nhi dete khas tor par agar usmn koi daag laga ho tou hmara aj hmre kal pe depend krta hai agar hm aj apni zindagi ko sudhar lengy aur Allah ke raste pe chal paren gy tou beshak hmara rab hme kbhi ruswa nhi hone dega aur hmri akhrat bhi swar jaygi.

Tou kch aisi maazi ki yd Haseeb khan ki bhi hai jo ke aj tk unki zindagi par asar andaaz hai unki aik ghalti ne unse unka bhai Zaheem khan aur unki begum samrah dono ko unse cheen liye tha aur woh aj tk iss ehsas e jurm ki kafiyat se bhar na asake yh us waqt ki bat hai jb Haseeb khan ke pas kamai ka koi zariya nhi tha.

"Tmhe sharam nhi ati meri maa aur bhai ko mery khilaf bharkate hwe." Haseeb khan itehai gusse mn the aur unki awaaz pure kamre mn ghoonj rahi thi.

"Yeh ap kesi batain kar rahen hain mn kyun kisi ko bhi apke khalif karongi yh bharkongi ap shohar hain mery." Samrah ne aram se bola tha kyun ke woh janti thi ke Haseeb se apna gussa bilkul bhi bardast nhi hota tha.

"Jhoot mat bolo mujhse tm khud kam ho mujhe be rozgari ke tane dene ke liye jo tm mery chote bhai ko mujhe hee smjheny ko kheti ho ke mn uske carkhne mn ja kr mazdoori karon kyun ke meri biwi ko apne shohar se zyda apne aish o aram ki fikr hai."

"Mera Allah gwah hai Haseeb mne zaheem se kch bhi nhi kaha hai aur mn apko be rozgari ke tane nhi deti balke apko smjhati hon ke ab iss tarhan tou nhi chal sakta na ap ko aik na aik din tou apne peron pe khara hona pare ga na kb tk hm mangy ki zindagi guzarte rahen gy meri khtir nhi tou bachon ki khatir hee sahi ap Zaheem ki bat manlen uske carkhane mn ja kr tou dkhen wese bhi woh apka bhai hai kam as kam apka ehsas karke woh apko bar bar bula tou raha haina ab aisa na ho ke woh bhi hmara ehsas karna choor de." samrah ne aik bar phr Haseeb ko smjhne ki koshish ki thi.

"Mujhe na uski zaroorat hai aur na hee tmhari mn apne paon par khud khara ho kar dkhon ga aur apne bachon ko aik behtareen insaan banon ga aur woh bhi TUMHARE BAGHIR ab apna saman uthao aur nikal jao mery ghar se mn ab tmhe aur bardast nhi kar sakta jao bibi laut jao apne ghar mujhe ab tmhari koi zarurat nhi aur khuda ka vasta hai tmhe apni shakl ghum krlo mery samne se."

"Nhi Haseeb mn khain nhi jaongi yehi mera ghar hai aur mn apko aur bachon ko kese choor ke ja skti hoon." Samrah ki ankhon mn ab asun aachuke the.

"Ooo bibi yeh dkho mery jury hwe hath apny bhai ke ghr ja kr sukoon se zindagi guzaro aur mujhe bhi sukoon ka sas lene do aur ab jao yhn se ya mn tmhe khud choor kr aaon." Haseeb ka yh jumla sun kr samrah jese whin par jam si gai uske smjh nhi aarha tha ke woh ab woh kia kare kia bole Haseeb se jo usse apni zindagi se nikal dena chahta tha.

Haseeb Samrah ka hath pakr kr usko uske bhai ke ghar choor aya tha aur bachon ko usse mil bhi nhi dia tha.

"Haseeb khin pagala tou nhi gya biwi ko uske ghr choor aya na bachon ko usse milne de raha hai aur na hee apne bhai se sedhe mouh bat kr raha hai." Bi jaan ne haseeb se kaha tha.

"Yhahi smjhlen ap mujhe un logon ki zarurat nhi jo yeh smjhte hain ke mn kch nhi karskta."

"Kam as kam yehi soch le ke teri in baton ka tery bachon pe kia asar parega."

"Woh mery bache hain meri tarhan mazboot hain jld hee halat ke hissab se khud ko dhal lengy."

"Aur jo yeh tu bhai ka dushman bana betha hai uske bare mn kia kheyga?"

"Mn usko kch banke dhkna chahta hoon take phr woh mujhe haqarat ki nazar se na dkh sake."

"Ya Allah issko hadiyat de pata nhi kia auth patang soche chle ja raha hai." Bi jaan bebas hoke bolin.

Ab yeh mamla Haseeb khan ki anaa ka ban chuka tha woh na tou Zaheem khan se bat karta tha aur na hee uski mojodgi mn ghar aata tha aisy hee waqt guzrta gya aur Samrah ne bhi ab usse khula ka notice bejhwa dia tha phla notice aate hee Haseeb usko talq dene par razi ho chuka tha aur usne samrah ko kch bhi bina soche smjhe hee talq bhi de di thi Zaheem khan bhi ab akele sb kuch smbhalte smbhalte kai bimariya laga chuke the aur aik din aachank se Zaheem ki tbiyat kharb hona shuru hogai Jayesha ne pareshan hokr Haseeb ko phone milaya tha pr haseeb ne uska aik phone na uthya phr Jayesha khud hee himat krke Zaheem ko hospital le kr gai par jb tk bohot dair ho chuki thi Zaheem khan inteqal kr chuke the aur yeh kabar jb Haseeb khan ko pata chli tou woh ehsas e nadamat ke mare kisi se nazar nhi mila sak rahe the tou iss kafiyat se niklne ke liye unhone apne bhai ki biwi bachon ki zimedari apne sar le li thi aur ab tk us zimedari ko pura kar rahe hain magr iss nadamat se ab tk chutkra nhi pa sake.

"ندامت کے چراغوں سے بدل جاتی ہیں تقدیریں
اندھیرے رات کے آنسو خدا سے بات کرتے ہیں"

Assalam o alikum guys i am back with a great chapter i hope you like it and don't forget to vote and comment 😊😉

We'll meet in the chap till then ALLAH HAFIZ 😇😊

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Where stories live. Discover now