part 12 [ Uljhan ]

337 50 58
                                    

Azaan apne kamre mn betha kisi soch mn ghoom tha zargham usske pas aaya tha

"Khairyat toh hai tu aj kal bari sochon mn rehta hai" zargham uske barabar mn aakr betha

"Mujhe choor yh bata woh larki kon thi jese tu apne sath lekr aaya tha?" Azaan Minahil ke bare mn pouch raha tha

"Aaahhh tu abhi tak uspe hee atka wa hai" zargham ne chirr kr kaha

"Mere pyaare se bhai mn toh sirf iss waja se pouch raha hoon ke agar tera koi plan hoo usse meri bhabhi banane ka toh mn usmn teri help krsakta hoon" Azaan ne zargham ke gal bare pyaar se keeche the jispe zargham zehreli nazron se dkha

"Tujhe bara experience hai inn bataon ka kahin tune aik do set toh nhi kiwin" Uski baat pe Azaan zor se hass tha

"Nhi bhai mere liye aik hee kafi hai" zargham Azaan ki shakal dkh raha tha ke usske dimag mn sb se phle Ramsha aai pr ussne confirm krna zaroori smjha

"Aur kon hai woh aik?"

"Hai koi jo mujhe mujhse zyda pyaar krta hai"

"Zyda over acting na kar chal ab naam bata uska"

"Dua" Azaan ne aik bht bari muskrahat ke sath kaha

"Dua!!" Zargham ne heraini mn kaha

"Hn kyun kia hwa?" Azaan ne uski heerni dkh kr poucha

"Mujhe laga ke tu Ram-" woh bolte bolte rukka usse ramsha ki baat yd aagai thi

"Kiya Ramsha?"

"Kk..kuch nhi mn pouch raha tha kia Ramsha ko iss bare mn maloom hai?"

"Tu kia chahta hai mn apni aashqui ke kisse sare ghar ko sunta phirun?"

"yh hai kon ?"

"Mere hospital mn mere sath Doctor hai......Tujhe kia hwa?" Usne Zargham ki Uljhan dkh kr kaha

"Ahhhh nhi kuch nhi woh mn aik kaam yad aagya mn chlta hoon" woh Azaan ko Ramsha ke bare mn batna chahta tha mgr woh kuch bhi bina soche smjhe nhi karna chahta tha

Zargham apne kamre mn gya aur iss soch mn lag gya ke ab kia hoga Ramsha ko iss ke bare mn pata chala toh kia hoga mgr woh usse kisi dhoke mn bhi nhi rakhna chahta tha woh nhi chahta tha ke jo usske sath hwa wahi Ramsha ke sath bhi hoo jo zakham Mirha ne usse diye unka bharna toh na mumkin tha aur wahi kuch Ramsha ke sath bhi hone ja raha tha

Minahil lounge mn bethi thi apne mobile use kar rahi thi

"Minahil bibi woh jo larka apke sath kal aya tha ussne apne driver ke sath apki gaari bejhwa di hai" Yh Alam sahab the jo ke Minahil ke ghar mn security guard the

"Ussne apko uss larke ka naam batya" Minahil ne socha ke kam as kam usse uska naam hee pata chal jaye aur woh kis tarhn uska shukriya ada kr sake

"Nhi ussne gaari khari ki aur chala gya" Alam sahab ne jawab diya

"Chln thk hai ap jaen" Minahil uthi aur khala ke kamre ki taraf chal di

"Khala ki tabiyat kesi hai?" Fiza hospital se discharge hochuki thin aur ab ghar mn Amal aur Minahil hee unka khayaal rakh rahe the

"Thk hai filhal toh soo rahi hain" Amal ne mukhtasir sa jawab dia

"Chlo acha jitna aram karengi utha hee jldi thk hojaengi"

"Tumhe pata hai n bht darr gai thi mujhe laga ke mene ab ami ko khoo hee dia hai agar tum na hoti toh mera kia hota" Amal ki ankhon mn aasu the

"Ary pagali roo kyun rahi hoo mn hamesha tmhre sath thi , hoon , aur rahongi bhi aur yh roona band tumhe pata hai mujhe rooti dhoti larkiyan bilkul nhi pasand" usne hamesha Amal ko apni bhen ki tarhan se hee smjha tha aur usko hamesha support bhi kia hai har kaam mn

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora