"Kia masla hai tumhare sath kyun ghoore ja rahe hoo mujhe?" Minahil apni seat se uthi aur apne samne bethe aik 25 saala larke ki taraf barhi jo ke usko musalsal ghoor raha tha
"Umm mn?" Us larke ne anjaan bane ki koshish ki
"Nhi nhi tum nhi tumhare farishte aur aik baat batao aj se phle tumne kia kbhi larki nhi dkhi kia ya phr tumhare ghar mn maa bhen nhi hain?" Minahil usske samne ja kr khari ho gai
"Tameez se baat karen-
"Tumhri tameez toh mn abhi niklti hoon-" Minahil ne uski baat kati thi
"Yh sab kiya hoo raha hai?" Zargham ne peeche se aakr Minahil ki baat kati thi"Sir yh mujhe se batameezi kiye ja rahi hain kbse" woh larka bola
"Ap dono mere room mn aayen foran" Minahil kuch bolti usse phle Zargham ne bol dia aur woh dono Zargham ke room gye uske peeche chltewe
"Han toh ab Hassan batain kia baat hai" Woh apni seat pr ja kr betha woh dono usske smne khare the
"Sir yh mohtarma mujhe pr gande gande ilzamat laga rahi hain aur pata nhi kia kia bakwas kiye ja rahi hain"
"Mn bakwas kr rahi hoon.. iss office mn mujhe nhi lagta ke koi aisi larki hogi jisko yh shaks ghoorta na hoo"
"Ya dkha sir apne inhone phrse mujhe ilzam lagya–
"Ary chlo chlo bht dkhe hain mene tum jese–
"Chup kr jaen yar ap dono" Zargham ne apni awaaz unchi ki toh woh dono chup hogye
"Shafeeq Hassan Sahab ka Account clear karo aur inhe farig karen " Zargham apni seat se khara ho kr bola Minahil uski shakal dkh rahi thi ke ussne jo suna woh thk tha ya nhi
"Pr Sir Ap meri baat toh sunen–
"Mujhe kuch nhi suna mene jo khehna tha woh kheh dia ab ap ja skte hain" usne kaha aur dubr beth gaya
Woh larke jate hwe bhi Minahil ko ghoor raha tha pr iss bar usski ankhon mn gussa nazar arha tha usse
Minahil ne apni nazrein idhar udhr duraein Zargham apne kaam mn masroof hogya tha toh woh bhi chup chap uske room se nikal aayi
Ramsha chat par khari thi akle aur asmaan ki taraf dkh rahi thi Zargham pure ghar mn usko dhondta phr raha tha jab woh usse nazar aayi toh khamoshi se uske barabar mn aake khara hogya
"Yahn kia kr rahi hoo mn tumhe pure ghar mn dhoond raha tha"
Ramsha ne uski baat ka koi jawab nhi diya tha
"Kiya hwa?"
"Ap sab jante the na" usne Zargham ki taraf dkhtwe kaha
"Kiya janta tha mn"
"Yahi ke woh kisi aur ko pasand krta hai"
Dono ke darmiyan kuch dair ki khamoshi hogi thi
"Ramsha mn–
"Ab koi jhoot bolne ki zarurat nhi hai apko...mn janti hoon ke sab jante the.....tabhi apne us din mujhe usko sb batne ka kaha tha......Behn khete haina ap mujhe aur......Ap sb aik jese hain Sb ke sb" woh phli baar kisi ke samne kamzor par ke roi thi
"Ramsha meri baat–
Woh apni ankhon mn aasu liye neeche chli gai thi aur Zargham ko ajeeb kashmaksh mn dal gai thi aik taraf uska bhai tha aur dusri taraf sbse achi dost uski ladli behn thi
"Ammmmallllll" Minahil uske kamre chilati hwi aayi thi
"Khuda ka vasta hai Minahil kbhi toh tameez aajya kro hamesha chilati hwi aati ke bande ko heart attack hee ajye"
"Jo mn tumhe batne wali hoona uske bad toh heart attack hee ayega"
"Acha batao jldi se"
"Usne mere liye aj aik bande ko farig krdia"
"Hain? banda? Farig?"
Minahil ne Amal ko saari baat tafseel mn batai aj jo kuch bhi office mn hwa tha
"Ayeeeeee kitnaa Achaaa hai yaarrr wohh kash tumhri jaga mai uski Assistant hoti har waqt uske pass bhi hoti aur ab tak toh usse Shaadi ke liye mana bhi chuki hoti" Amal ne apne dil pe hath rakha aur bed pe beth gai
"Han bas har jaga na apna chance lagne par tuli raha kro "
"Oohoo toh ab log jealous ho rahe hain bhae kia baat hai" Amal ne kaha
"Han toh jealous hona banta bhi hai "
"Are you in love with him?"
"I don't know shyd han"
"Oh My God!! Minahil Safar is in love jin ko aj tk pyaar Mohabbat sb fuzool lagta tha aj woh khud hee apna dil kisi pe har bethi hain " Amal ne Minahil ke hath pakra tha aur khushi mn uske gale lag gai thi
"Pagali ahista bolo Ami barbar wale kamre mn hee hain sunli na toh mn gai kaam se"
"Tum mujhse dur jati hoo toh meri zindagi be rang hoo jati hai"
"Aww Ali Yh baat tum aj tak kitni larkiyon ko kheh chuke hoo"
Ali Dua ko hospital drop karne ja raha tha
"Kasam sey tum phli hoo yar"
"Acha bas kro sb janti hoon mn Austria mn pata nhi kitni larkiyon ko date kr chuke hogye tum"
"Astagfirullah kese nazeba alfaz istemal kr rahi hoo tum"
"Chup kro Dramebaz aur agey dkh ke gaari chalo yh na hoo hm dono hee Allah tala ko pyaare hojaen" Ali ki nazrein abhi bhi Dua ki taraf hee thi
"Ap ke sath jeena nhi toh na sahi kam as kam mout hee naseeb hojae gi iss tarhn"
Dua ne uski taraf hastwe dkha woh dono hospital pouch gye the Azaan samne hee khara tha Dua gaari se uthar kr bhair aayi toh Azaan aur Dua sath hee hospital ke andar gye
"Yh tumhe choorne kyun aya tha?" Azaan ne Dua se poucha
"Bore ho raha ussne mujhse pouche ke woh choorde mene kaha han choor do"
"Iss admi ke pass koi kaam nhi hai kiya har waqt toh yh BORE hota rehta hai bara hee faig insaan hai aur kiya tumhee milti hoo isko apni boriyat mitne ke liye ?" Azaan ko hamesha hee se Ali bikul nhi pasand tha aur usko Dua ke sath dkh kr toh Azaan ko shadeed gussa arha tha
"Kiya hogya hai Azaan aise kyun baat kr rahe hoo tum mujhse?"
"Are you for real Dua matlb tum aik shks ke sath hasti muskrti gaari se utrti hoo aur mujhse yh expect krti hoo ke mn tumhra hal chal pouchon ga" wahn khare saare log un dono ki taraf dkh rahe the
"Azaan sb dkh rahe hain apni awaz ahista kro"
"Mujhe kisi se koi faraq nhi parta dkh rahe hain toh dkhte rahen"
"Tumhe faraq nhi parta par mujhe faraq parta hai aur ab tum mere pass ussi waqt ana jb tumhe iss baat ka ehsas hojae ke tumhe mujhse iss lehje mn baat nhi karni hai" usne kaha aur wahn se chli gai
"موت آئی نہ ہی
نہ ہی فلک سے قیامت اتری
دل یونہی ترک تعلق
سے ڈرا کرتا تھا–!❤"
Assalam o alikum beautiful people 🙌🏻 Look who's Back 🙈😂
So how are ya'll ? And how was the chap? Hope you like it Do Vote and Comment your thoughts 😊We'll meet in the next chapter till then Allah Hafiz 👋🏼
CZYTASZ
𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)
DuchoweHighest rankings:- [#17 in brokenheart ] [#6 in spirituality ] [#3 in romanurdu ] [#30 in ishq ] ●●●●●□●●●●●□●●●●● "Intezaar toh mn bhi kar raha hoon kbse" "Kis cheez ka?" "Tumhara!" "Mera Intezaar?" "Hn na dkho ghalib aur baki saare shayr bhi toh a...