.
.
.
5
.
.
.
4
.
.
.
3
.
.
.
2
.
.
.
1Okay so let's begin 😂
Woh sheeshe ke samne khari khud ko dkh rahi thi aj usske khud ke andar aik bht bari jang chal rahi thi Dil aur Dimag ki jang aik baat toh saaf thi ke iss jang ke akhir mn uska khud ka hee nuksan hona hai chahye woh apne Dil ki sune ya Dimag ki "Minahil jab Mohabbat ki hai toh nibhani toh paregi" usne khudse bola sheeshe ke samne aur ankh se niklta woh aasu jo shayad ab uski yaad mn niklte rahne wala hai usko saaf kia aur dagmate hwe qadmo se ussne apna bed pe rakha resignation letter uthya jo usse usski akhiri mulaqat ka bahana tha aur woh uss jaga jane ke liye nikal gayi jo ke ab uski pasandida jaga thi uska office jahn woh uski aik jhalak dkhne ke liye beqarar rehti thi.
Usske cabin ke samne khari thi jitni himat karke woh ghar se nikli woh saari himat uske cabin ke samne khare hoke toot chuki thi usne aik kadam peche ki taraf liya "Ya Allah yeh mai kia kar rahi hoon bas mujhe usse itna hee toh khehna hai ke mai Lahore ja rahi hoon issmn itna darne wali konsi baat hai" usne dubra himat ki aur andar gai woh uske samne bethe kisi file ko dekhne mn masroof tha Minahil ne uske khamoshi se resignation letter uski table pe rakh dia.
Zargham ne apni nazrein utha ke usse dkha aur usse letter ko khola "Yeh kiya hai?" Zargham ne usse poucha
"Umm resignation letter hai" Minahil ne muskurate hwe jawaab dia
"Woh mujhe nazar arha hai" usne usse dkha kr kaha
"Ary wah tumhe nazar bhi aata Dhko na finally tumhari jaan mujhse chot rahi hai"
"Minahil please kabhi toh sedhi tarhan se jawaab de diya kro"
"Hayee Allah tumhe pata hai tum phle bande hoo jiske muhn se apna naam sunke na aik feel si aajati hai aur sach kahon na...toh mai jane se phle tumhare muhn se apna naam sunna chahti thi" usne aski ankhon mn dkhte hwe kaha
"Kahan ja rahi hoo tum?"
"Aik naye safar ki talash mai issliye tumse apna woh be maine taluq torne aayi hoon.....Tumhee pata hai tumne sahi kaha tha ke tum mujhse kabhi mohabbat nahi krste mujhe iss baat ka andaza hone mn thora time laga magar.......mujhe smjh agya....Tum meri Qismat mai hoo kr bhi nahi hoo ab dekho na uss din mai....mai tumhri dulhan bane bethi thi...bas aik Qubool hai khehne ki dair thi ke tum mere hojate...phr sali duniya ki koi taqat tumhe mujhse nahi cheen sakti thi......magar mujh jesi koi Minahil aakr Mirha se uska Zargham nahi cheen sakti.........bas aik cheez khehna chahongi tumse ussko jakr apne dil ki baat khehdo aur aik nayi shurvat kro maazi siwye takleef ke kuch nahi deta....." usne apna dil ki har baat ab uske samne khool ke rakh de di woh ab bs usse bina palak japkaye usse dkh raha tha.
"Mai chalti hoon ab isse phle ke mera Dimag mere Dil ke samne haar jaye.........Future ke liye Best of luck Partner.....Zindagi rahi toh dubra mulaqat hogi kisi sarak ke kinare par iss....par iss baar mai....Mai Tumahri gaari thokongi....aur khabardar jo tumne mujhe Gadhi kaha toh....." uski ankho se aasu gir rahe the woh aasu jo ke shayd uske kafi waqt se woh rokke bethi thi
Zargham ke pass koi alfaz hee nahi ke usse kuch smjh nahi arha tha ke woh Minahil se kia kahe aur kia nahi.
Minahil janti thi Zargham usse kuch nahi khehne wala ussne aik akhiri baar usko nazrein utha ke usse dkha aur chali gai usne aik baar bhi palat ke nahi dkha woh jo usse khehne aayi usse kuch zyda hee kheh gai thi woh agar palat ke dkhti toh shyd kabhi ja hee na pati woh uski zindagi mai aayi aik tufaan ban ke thi aur aik hawa ke jhonke ki tarhan se chali bhi gai.
CZYTASZ
𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)
DuchoweHighest rankings:- [#17 in brokenheart ] [#6 in spirituality ] [#3 in romanurdu ] [#30 in ishq ] ●●●●●□●●●●●□●●●●● "Intezaar toh mn bhi kar raha hoon kbse" "Kis cheez ka?" "Tumhara!" "Mera Intezaar?" "Hn na dkho ghalib aur baki saare shayr bhi toh a...