part 13 [ Dusri Mulaqat ]

353 39 108
                                    

"Amaaaaaaalllllllllll" Minahil Amal ke kamre mn cheekhti hwi aai

"Aryyyy arryyy larki khariyat toh hoo kahin pagalpan ka dura toh nhi pargya?" Amal ussko itna khush dkh kr heran se hwi thi

"Mene jis jaga job ke liye apply kia tha wahn se call aai thi aur unhone mujhe kal se office join karne ka kaha hai" Minahil khushi se pagal hwe ja rahi thi

"Ary wah jaani congrats wah bhae ab toh ap bhi working women ban jaengi"

"Ayeee jaani mn bht zada excited hoon" usne Amal ke gal pyaar se keeche the

"Yh na kia karo (usne chir kr kaha) acha yh toh batao tumhara Boss ka kia naam hai kesa dkhta hai" Amal ne apni excitement barqrar rakhte hwe kaha

"Zargham naam hai isse zayda mn uske bare mn kuch nhi janti"

"Zargham! Naam se toh bht hee koi umer daraz aur kharoos lagta hai " Amal ne ajeeb si shakal bana kr kaha

"Han lagta toh hai dua kro jesa tum bol rahi hoo wesa na hoo"

"Han jaani ab jao jake soo jao 2 bjh rahe hain warna late hojao gi "

"Han sahi kheh rahi hoo" woh uske bed se uthne lagi thi

"Aik mint tumhe raat ke 2 bje call aai office se ?" Amal ne masoomana sawal kia

"Nhi bhae phle aai thi jb mn khala ke pass bethi thi uske bad mn bhool hee gai thi tumhe batna abhi yad aaya toh bata dia chawal insaan mujhe itni raat ko call kyun aayegi" Minahil ne hastwe kaha aur apne kamre ki taraf chal di.

Subha ka time tha 8:20 bje the alarm ki awaz se uski halki si ankhuli thi jo ke alarm band krne ke liye khuli thi aur phr woh dubra muhn pe chadar urh ke soo gai 15 mint bad dubra alarm bajne pe woh chok ke uthi usne side table se apna mobile utha ke time dkha toh 8:35 ho rahe the usse laga ke 8:05 ho rahe hain woh mobile rakh ke wapis letne lagi letne se phle khayaal aya ke aik bar dubra time dkhe aur iss bar usse 8:38 nazar aya usse apni ankhon pe yaqeen nhi araha ke abhi toh 8 bje the.

"Ya Allah yh mere sath hee kyun hota hai" Usne bed se Jump maari aur apne kapray utha ke bathroom ki taraf baghi

Woh tayaar hoke neeche aayai toh Amal uska intezar kar rahi thi

"Allah Allah larki job ke phle hee din itna late ja rahi hoo hadd hai wese" Amal lounge mn bethi thi

"Shit yaar phle din hee meri bezaati na hojae kahin" Minahil serioun se utartwe rooti hwi shakal bana ke boli

"Ayee meri jaan fikr mat kr tera aur bezaati ka bht hee purna aur gehra Taluq hai InShaAllah aj phle din hee teri achi khasi bezaati hogi meri duayen tere sath hain"

"Kbhi na apne muhn se koi achi baat na niklna"

"Nashta toh karlo " Minahil jane lagi toh Amal ne rokk kr kaha

"Khud hee tusso" Minahil ka mood late hone ki waja se phle hee kharab tha aur Amal ke batain sun kr toh bs uska bas nhi chal raha tha ke apne samne wale har shks ka sar phar de.

"Apko mene kaha tha ke kisi zimedar insaan ko appoint karye ga jo ke punctual hoo jis ko waqt ki ahmeyat ka pata hoo aur apne pata nahi kis ko appoint kra hai jisko time ka koi khayaal hee nhi" Zargham apne samne khare apne aik employee shafeeq pe barass raha tha

Minahil hawa ki speed se office pouchi woh andar bhaagi aur reception pe ja ke Boss ke room kia pata samne se shafeeq jisne Minahil ko as a assistant appoint kia tha Zargham ke liye woh aya.

"Miss Minahil apka aj phla din hai iss office mn aur ap itni jaldi aarahi hain ab chlye mere sath Boss phle hee ap ke lateaane ki waja se ap par bht gussa hain" Shafeeq ne Minahil ke aate usska istqbal kia tha phr woh usse usske room legya usne andar jane se phle usne dil mn dua "Ya Allah meri jon bacha lena yh na phle dun hee farig hojaon mn " woh darwaze khole ke andar gai aur BAMM!!

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Donde viven las historias. Descúbrelo ahora