Highest rankings:-
[#17 in brokenheart ]
[#6 in spirituality ]
[#3 in romanurdu ]
[#30 in ishq ]
●●●●●□●●●●●□●●●●●
"Intezaar toh mn bhi kar raha hoon kbse"
"Kis cheez ka?"
"Tumhara!"
"Mera Intezaar?"
"Hn na dkho ghalib aur baki saare shayr bhi toh a...
Mirha ne kaprey change kiye aur sone ke liye lait gyi usske dimag mn uss waqt bht kuch chal raha tha ke iss sb mn isski nazar armaan par pari woh uske barabar mn soo raha tha uska chehra behad pur sukoon tha woh usse aik chote bache ki tarhan lag raha tha jo ke duniya ki sb pareshaanion se dur hota hai apni khawbon ki duniya mn ghoom hai usne apni ankhen band ki aur soo gai apne dimag ki saari baaton ko side mn karke phr jb thorii dair bad uski ankh khuli toh ussne dkha ke armaan namaz parh raha tha woh uth ke bethi aur usko bare ghor se dkhne lagi ke
"Ya Allah tera lakh lakh shukar tune mujhe meri zindagi ka sbse haseen tohfa uski shakal mn diya ab bs mujhe itna hosla aata farma ke mn uski zimedari utha sakon uski har khwaish ko pura kar sakon uske uska sahara ban sakon" armaan ki dua mn uska zikr aur Allah ka shukr tha
"Ary tum uth gai mn tmhe uthne hee laga tha namaz ke liye" usne mirha ko kaha toh mirha uske asar mn se bhar aai
Uss waqt armaan ne mirha par aik asar taari krdia tha uss waqt mirha ko yh bat smjh mn aai thi ke yh sach hai ke agar kisi mard ki khoobsurti ko dkhna hai toh usse namaz parhte dkho kyunke jb mard Allah ke samne jukta hai toh woh usske andar ki khoobsurti uske chehre pe nazar aati hai air mirha armaan ki khoobsurti mn khoo gai thi
Mirha uth ke bathroom gai wazu karne toh usne bhair aake dkha ke armaan Qur'an ki tilawat mn mashroof tha
Surah Rehman (Ayat 78): Translation:- ●woh sirapa rehm hai iss ne Qur'an ka ilam diya iss ne insaan ko banya isse wazhe karna sikhya suraj aur chand hissab mn hain aur sitare aur darkhat sajdha krahe hain aur asmaan ko issne buland kiya aur tarzu rakh diya takke tum tarzu ki huduh se nikal na sako aur wazn ko insaaf par qaym kro aur tarzu mn kami na karo aur zameen ko iss ne makhlooq ke liye banya iss mn phal aur ghalfon wali kajoorein aur bhoosi wala anaj aur khushbudar phool_ phr tum apne Rab ki kin nematon ko jhutlao gy? Iss ne insaan ko tekhri ki kisam ki mitti se banya hai aur jino ko aag ke shole se banya_ phr tum apne Rab ki kin nematon ko jhutlao gy? Woh do mashriqon ka Rab hai aur do magribon ka Rab hai_ phr tum apne Rab ki kin nematon ko jhutlo gy? Issne do samdaron ko apas mn mila rakha hai inn ke darmiyan aik aar hai jisse woh guzar nhi sakte●
Mirha ko aj yh bat mehsos hwi thi ke woh Allah se kitna dur ja chuki thi woh iss duniya mn sukoon talash krne ki koshish krahi thi Allah se dur jake jb ke sukoon toh sirf Allah ki bargha mn meysar hai yh duniya toh sirf hmra imtehan jismn sukoon sirf sajde mn milta hai.
Subha ke 7 bje the mirha tayaar horahi thi kyunke undono ne nashte ke liye jana zinia bulne aayi thi unko mirha ne socha ke phle woh armaan ko utha de phr tayaar hona shuru hojae
"Armaan?"
"Hmmmm"
"Uth jaein zinia nashte ke liye bulne aayi thi"
"Hmm uth gya bs" usne ankhen kholin toh mirha ne taayar hona shuru kia
Woh dressing table ke samne khare hoke tayaar horahi thi aur armaan usse peeche se tayaar hota dkh raha pr woh utha aur mirha ke sath akr khara hogya aur usne mirha ke hath mn aik box rakh mirha ne aik nazr armaan ko dkha aur phr us box ko
"Yh kia?"
"Tumhri muhn dkhai hai tmhe yh dena bhool gya tha sorry thori late hogai ab issko khol ke toh dkho"
¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.