part 17 [ Khamoshiyan ]

305 39 158
                                    

Raat ke 2 bjh rahe the Ramsha kitchen mn thi aur uss waqt Zargham ko chai ki talab hwi toh woh kitchen mn chai banane gaya toh usne wahan Ramsha ko dkh aur khamoshi se khara hogya

"Ap sooye nhi abhi tak?" Ramsha peeche muri ussne Zargham ko dkha

"Han bas nend nhi aarahi thi toh socha chai hee peelon toh wahhi banane aya tha"

"Acha ap bethen mn bana deti hoon"

"Nhi nhi mn bana longa"

"Nhi ap bht gandi chai banate hain rehne dein" usne kaha toh Zargham samne rakhi chair pe beth gaya

"Ummm....Bro?"

"Hmm"

"Woh i am sorry....uss din mene-

"Sorry ki zarurat nhi hai mn bhi hota tumhri jaga mn bhi hota toh yhi karta

"Nhi phr bhi iss sb apki koi ghalti nhi thi saari ghalti meri thi mn hee uski dosti ko.......khair aik bar phr wahi hwa bs faraq sirf itna hai ke woh sb janti thi pr bhi apko akela kr gai aur woh kuch na jante hwe bhi mere dil se khel gaya"

"Bhool jao iss sb khud ko takleef mat do yh batain kr ke aur yh batao ke aaj ki tarikh mn chai miligi?"

"Han han aaj kia abhi miligi" Ramsha ne muskura ke jawab dia

                                 

"Naraz hoo?"

Agle din Dua jb hospital aayi toh ussne jese hee Azaan ko dkha usski taraf chal di

"Nhi" Azaan ne bina uski taraf dekhe kaha

"Acha na Sorry i didn't mean that woh sb toh bas ghalti mn muhn se nikal gaya tha"

"Hn janta hoon"

"Sorry Sorry Sorry maaf bhi krdo ab bachi ki jaan loge kia ainda pakka aisa kbhi nahi karongi na hee tumse batameezi krongi pakka promise "

"Dua mn tum pr khud se bhi zayda bharosa aur yaqeen krta hoon ainda ke kbhi bhool kr bhi yh mat sochna ke mn tum pr kisi kisam ka shq karon ga" Azaan ne uski ankhon mn dkh kr sanjeedgi se kaha

"Han kbhi nhi karongi ab yh batao ke tumne apne abbu ya phr apni ami se baat ki hmri shaadi ki?"

"Nhi abhi tk toh nhi par karlonga"

"Azaan kb karoge jldi karo isse phle ami meri shaadi kahin aur kar dein"

"Aise kese kahin aur kardein tumhri shaadi sirf mujh hee se hogi" Azaan ne kaha

"Hogi toh tb na jab tumhre ghar wale mera rishta le kr aaayen gy toh jitna jaldi ho sake unlogon se baat kro"

Azaan ghar gaya toh ussne Ramsha ko akele lawn mn betha dkh toh uske pass gaya

"Kia hwa ? Woh Ramsha ke pass akr betha

"Tum itna ajeeb behave kyun kr rahi?"

Ramsha ne uski kisi sawaal ka jawab nhi dia aur uth ke jane lagi toh Azaan ne uska hath pakra

"Azaan mera hath chooro"

"Phle batao ke kia hwa?"

Azaan ne uske khehne ke bawajood uska hath nhi choora toh Ramsha ne uske muhn pe thapar maar dia

"Kbhi kesi khamoshi ki cheekh o pukar suni hai ?"
"Nahi na...toh phr tum kia jano sabar ki haqiqat"

Usne kaha aur andar chali gai apne ankhon mn se girte woh aasu chupane
                                     

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Where stories live. Discover now