Woh lawn mn betha tha saardi ki raat thi raat ke 2 bje the aur woh kisi ke khayalon mn ghum tha
"I am soooo sorry.... mene apko dkha nahi"
Mirha ko dkh kr toh jese woh bolna hee bhool gya hoo usski un jheel si ankhon mn kahin bheh sa gya tha
"Armaan?"
"Uhhh han apko lagi toh nahi?"
"Nahi woh mn apko hee dhoond rahi thi phupho bula rahi hain""Ooh acha mn phr jata hoon ami ke pass"
Karachi se aaye hwe kafi waqt ho chuka tha mgar armaan abhi tak apni mirha ke sth uss ajeeb si mulaqat ke bare mn soch ke muskura krta tha pata nahi uss mulaqat mn aisa kia tha jis ne armaan ke upar aik sehr tari kr deya tha ghar mn shaadi ki taayariyan bare zooro shoor se jari thi
"Kia hal hain janab ky?" Azaan dua ke office mn dakhil hwa tha
"Tumhari himat kese hwi mere samne aane ki?" Dua azaan ke upar gussa thi kyun ke usne usko lahore ki trip ke baare mn jo nahi batya tha
"Ary tum hee toh meri zindagi ki pheli aur akhari dua ho tmhare samne nahi aaonga toh phr keske samne aaonga" Azaan apni mohabbat ka izhar karne mb bikul bhi nahi darta tha woh bat alag hai ke inko ke taluq ke bare mn ghar mn ab tk kisi ko kuch nahi pata tha
"Hogya tmhara toh ab jao yhn se mujhe tumse koi bat nahi karni"
"Bs bhi karo na yar mn wada krta hoon ke ab hm apni shaadi pe bhi lahore nahi jaengy "
"Batt lahore jane ki nahi hai Azaan bat aehmiyat ki hai jo tmhri zindagi mn meri bikul bhi nahi hai tum kal lahore ja rahe ho yh bat mere ilwa saari duniya ko malum hai sewye mere"
"Meri toh puri duniya hee tum ho mujhe kisi aur se koi farq nhi parta"
"Han bs hamesha yhi batain krke tum mujhe behlayte ho"
"Dua kia hogya hai yar janti hoo kal ja raha hoon phr bhi aj larae ja rahi tum mujhse"
"Acha sorry"
"It's okay yeh batao tmhare liye Lahore se kia laon?"
"Kuch nahi tum bas sath khariyat ke wapis aajao mere liye yahi kafi hai"
"Yar tmhri yhi batain hain jo mujhe pasand hain"
"Acha chlo makhan kam lagao aur yeh batao wapis kb aaogy"
"10 ya 15 sal toh lag jaengy"
"Azzaaaan"
"Mtlb yh ke 10 ya 15 din toh lagengy na"
"10 15 din mera kia hoga tmhare baghir?"
"Mera intezaar"
"Han han zaroor "
VOCÊ ESTÁ LENDO
𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)
EspiritualHighest rankings:- [#17 in brokenheart ] [#6 in spirituality ] [#3 in romanurdu ] [#30 in ishq ] ●●●●●□●●●●●□●●●●● "Intezaar toh mn bhi kar raha hoon kbse" "Kis cheez ka?" "Tumhara!" "Mera Intezaar?" "Hn na dkho ghalib aur baki saare shayr bhi toh a...