part 22 [ Saathi ]

409 41 276
                                    

Zargham Ramsha ke kamre ke bahir khara uske darwaza ke taraf dkh raha usko aisa lag raha tha ke Ramsha abhi apne Kamre se bahir aayegi aur usse koi farmaish karegi magr woh janta tha ke aisa nhi hoga na umeedi ke sath woh lawn ki taraf chal diya wahn ussne Mirha ko bethe dkha toh na chate hwe bhi woh Mirha ke pas chala gaya

"Ehmm" woh Mirha ke peeche khara hogya

Mirha ne peeche mur ke dkha

"Umm woh mn tumse maafi mangna chahta tha meri waja se–" Mirha ne uski bat kati thi

"Apko maafi mangne ki zaroorat nhi hai iss sb mn apka koi qusor nhi hai kesi ka bhi nhi hai hum mn se koi bhi yh baat nhi janta tha ke itna sab kuch hojaega" usne aik gehra sans liya

"Toh tumhee sach mn yh nhi lagya ke yh sb meri waja se hwa?"

"Nhi aur wese bhi iss sb ka koi faida nhi hai jo hona tha woh hoo chuka" uski nazrein neechen thin aur Zargham ki nazrein uss hee pr jami hwi thi aur woh na chahte hwe bhi usse dkhne se khud ko nhi rokk pa raha tha itne mn uska phone baja usne phone uthaya toh Safdar sahab ki call thi uss ne call uthyi

"Assalam o alikum uncle" Zargham ne phone kan pe laga kr kaha

"Walikum Assalam kese hoo beta ghar mn khairyat toh haina?" Safdar sahab ne poucha

"Thk hoon uncle ghar mn sb thk hai "

"Acha mujhe tumse kuch baat krni thi kia tum aj ghar aaskte hoo?" Safdar sahab ne kaha

"G uncle mn aajonga"

"Thk hai phr mn shaam mn tumhara intezaar kronga"

"G Khuda Hafiz"

"Allah Hafiz"

Usne phone cut kiya toh dkha ke Mirha wahn se ja chuki thi toh woh bhi andar aagya

"Minahil tumhe kia lagta hai kia Zargham sach mn kesi ko pasand krta hai aur woh larki jo kuch bhi kheh rahi thi woh sach hai?" Amal Minahil ke bed pe bethi thi

"Tumhee yh sab kisne batya?" Minahil ne uski taraf dkhte hwe kaha

"Mene khala aur khalu ki baatain suni thin"

"Allah Amal tumne toh apni adat bana li hai dusron ki baatain sunna" unse apni chai uthate hwe kaha

"Don't change the topic tumhri jb se usse shaadi ki baat shuru hwi hai tum tab se bht ajeeb behave kr rahi hoo" Amal ne ghoorte hwe kaha

"Acha aur kuch?" Usne bezaar hoo kr kaha

"Han aur yh ke mujhe bht strong feeling arahi hai ke aj khalu Zargham ko issi bare mn baat karne ke liye bula rahe hain"

"Kia Zargham yahn aaraha hai?" Usne herani mn aakr kaha

"Haan wese tumhee kia lagta hai khala khalu kia faisla karengy?" Amal ne poucha

"Mai nhi janti" usne kaha aur wahn se uth ke bahir chali gai

Woh chat pe khari thi aur yh soch rahi thi ke uss ki zindagi ne ab usko kis more pe la kr khara krdia hai woh aik aise shks se mohabbat kr bethi thi jo phle hee khud ko kesi aur ke naam kr chuka tha woh apne khayaalon se bahir aayi jab ussne Zargham ko uski gaari se urate dkh uska dil ghabra raha tha ke kahin kuch ghalat na hojaye magr woh apne dil ko iss jumle se tasali de rahi thi ke uske sath isse zayda kia bura ho skta hai ke woh jis se mohabbat krti hai woh toh uska hai hee nhi

Woh neeche aayi toh usne Zargham ko safdar sahab ke sath drawing room mn bethe dkha toh peeche ho kr khari hogai

"Aao beta betho" Safdar sahab ne Zargham ko kaha

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang