part 14 [ Ghalat Fehmi ]

329 44 87
                                    

Woh kamre mn bethi thi Ramsha kenumber pr call kr rahi thi uska number hee band aarha tha toh usne ghar ke number pr call ki

"Hello Assalam o alikum"

Zargham wahin lounge mn betha tha toh usne phone attend kia uski awaz sun kr Mirha sas halq mn agai thi uski himat na hwi ke woh kuch bol sake

"Hello?"

Aik dam Armaan kamre mn aya Mirha ne phone neeche krliya tha foran

"Kis se baat krahi hoo?" Armaan ne poucha

"Woh...Ramsha ko call kr rahi thi usne uthai hee nhi"

Call abhi bhi lagi hwi thi aur Zargham sun chuka tha ke Mirha ki awaz pr woh ab yh soch raha tha ke Mirha ne jhoot kyun bola Armaan se

Armaan khamoshi se uth ke kamre se chala gaya

"Armaan?" Woh lawn mn betha tha usne Mirha ki baat ka koi jawab nhi diya

"Naraz hain?" Woh usske barabar mn aake bethi thi

"Tumhe lagta hai tumne kuch aisa kia hai jis mn tumse naraz hoon" usne Mirha ki taraf dkhtwe kaha

Usne Armaan ki taraf dkha

"Armaan......mn.....ap ko pata hee ke hmri shaadi kese hwi thi sb kuch aachnk hota gaya mene kbhi nhi socha tha ke mn apki biwi banongi par ab... mujhe bas iss rishte ko smjhne mn thora time zaroor lage ga mgr.....ab ap hee mera sb kuch hain aur mn puri koshish karongi ke apko mujhse koi shikyat na hoo"

"Mirha mn tumhe bas aik cheez khehna chta hoon mn tum pr khudse bhi zada bharosa krta hoon tum par bs mere bharose ko kbhi mat torna" usne Mirha ke hath par hath rakha

Mirha ne haan sar hila aur woh dono asmaan ki taraf dkhne lage

"Agar Armaan ko Zargham ke bare mn pata chal gaya toh.....Ya Allah mn Armaan ka bharosa nhi torna chahti mere iss raz ko raz hee rehne dena"

                                            

"Allah Allah larke itna tayaar ho kr kaha ja rahe hoo" Ramsha Azaan ke kamre mn gai thi

Hoppla! Dieses Bild entspricht nicht unseren inhaltlichen Richtlinien. Um mit dem Veröffentlichen fortfahren zu können, entferne es bitte oder lade ein anderes Bild hoch.

"Allah Allah larke itna tayaar ho kr kaha ja rahe hoo" Ramsha Azaan ke kamre mn gai thi

"Date pe" usne hastwe kaha

"Rehn do shakal dekhi hai tumne apni"

"Han dkhi hai abhi bhi dkh hee raha hoon" usne apne baal set krtewe kaha

"Koi anpar jahil hee hogi jo tumhare sath date pr jayegi" usne muhn bantewe kaha usko laga ke woh mazak kr raha hai

"Tumse zayda parhi likhi hai woh tumhri tarhan nahi ke Graduation karke smjhe ke PhD krli hai Doctor hai "

Ramsha ko side table pe aik box nazar aya ussne usse uthya toh uske andar aik ring mojood thi

"Yh bhi ussi ke liye li hai?" Usne ring dkhtewe kaha

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt