Chapter 8

840 62 39
                                    

That night
At Choudhary mansion

Javin ke gharwale uska intezaar kar rahe hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Javin ke gharwale uska intezaar kar rahe hai. Bohot raat ho chuki hai. Lekin Javin ka koi ata pata nahi. Sab ko tension ho raha hai ki kahi Javin ko phir kuch toh nahi ho gaya.

Baldev : Aaj bhi Javin ko itni der kyu ho rahi hai?

Samar : Mujhe toh bohot ghabrahat ho rahi hai. Raghu, Jeetu, tum dono jake use dhundo na.

Raghu and Jitendra : Thik hai.

Vo dono nikalne hi wale hote hai, tabhi Javin ghar mein aaya. Vo thik se chal bhi nahi paa raha tha. Aur uski aankhein laal laal ho chuke the. Uske family members uski taraf daudke gaye.

Baldev : Yeh tune kya halat bana rakha hai beta?!

Javin Baldev ke upar jake girta hai aur Baldev use pakadke uski khade hone mein help karta hai.

Baldev : Javin!

Javin rone lag jata hai. Uske muh se bohot buri smell aa rahi thi.

Raghu : Javin, tune sharab pi hai?!

Javin : Papa, main uske bina nahi reh sakta! I really love her!

Baldev : Kaun?!

Javin : Y/N.

Hemant : Tu Y/N se pyaar karta hai?!

Javin : Haan, main usse bohot pyaar karta hoon.

Baldev : Yeh sab tu kya keh raha hai, Javin?! Vo ladki musalman hai!

Samar : Aur usse bhi badi baat, vo Jahangir ki poti hai!

Baldev : Tune usse dosti ki, yeh maine maan liya lekin yeh... Nahi, yeh galat hai.

Javin : Pyaar kabhi galat nahi hota, papa. Pyaar ka koi dharam ya mazhab nahi hota. Maine jab usse pyaar kiya tha tabh maine uske dharam ke bare mein bilkul nahi socha.

Javin ki baatein sunke sab ka dil pighal jata hai.

Baldev : Tu sahi keh raha hai, beta. Tune toh meri aankhein hi khol di. Mujhe garv hai ki tu mera beta hai.

Tahir : Main tere pyaar ko pane mein teri madad karunga.

Jitendra : Hum sab bhi.

Sab Javin ko shant karne ki koshish karte hai. Lekin vo bilkul shant nahi hota. Vo sab Javin ko uske kamre mein le jate hai aur vo rote rote hi so jata hai.

The next day
National hospital

The next dayNational hospital

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N's dress

Y/N's dress

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N apne chamber mein baithke akele kaam kar rahi hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N apne chamber mein baithke akele kaam kar rahi hai. Lekin uska kaam mein man nahi lag raha. Kal usne Javin se jo kaha uske liye vo bohot guilty feel kar rahi hai. Uske aankhon ke samne baar baar Javin ka rota hua chehra aa raha tha. Lekin vo kar bhi kya sakti hai? Uske ghar walo ko pata chala toh Javin aur vo, dono mare jayenge.

At night

Y/N ko aaj kaafi late ho gaya hai. Agar time pe nahi pohochi toh ghar wale gaaliyan denge. Aur use koi rickshaw bhi nahi mil raha. Ghar jaldi pohochne ke liye usne ek short cut liya. Vo raasta bohot sunsan hai.

Y/N ko foot path pe ek aadmi baitha hua dikha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N ko foot path pe ek aadmi baitha hua dikha. Y/N ko vo jana pehchana sa laga isliye vo uske paas gayi. Paas jake usne dekha ki vo koi aur nahi Javin hai. Uske hath me daru ki bottle thi. Aur vo ro raha tha.

Y/N : Javin?!

Vo Javin ke paas baithti hai.

Y/N : Javin, aapne sharab pi hai?!

Javin Y/N ko dekhke bohot khush ho jata hai.

Javin : Y/N, tum aa gayi!

Javin kuch nahi bolta hai aur achanak use zor se hug karke rone lagta hai.

Javin : Y/N! Please mere sath raho. Mujhe chodke mat jao.

Y/N hug todke bolti hai.

Y/N : Javin, aapne bohot zyada pi rakhi hai. Aapko ghar jana chahiye. Aapka address batao mujhe. Main aapko ghar chod deti hoon.

Javin bacche ki tarah bolta hai.

Javin : Nahi. Main nahi bataunga. Agar maine tumhe bataya toh tum chali jaogi.

Y/N : Javin, aap aise zid mat kijhiye. Aapko ghar jana hoga. Aur mujhe bhi.

Javin : Nahi! Main tumhe tumhare ghar nahi jane dunga! Uss shaitan buddhe ke ghar mein nahi jane dunga!

Y/N hasti hai.

Y/N : Toh phir main kaha rahungi? Aapke ghar mein? Aap mujhe apna address dedo. Hum vaha chalte hai.

Javin : Nahi! Kahi jane ki zarurat nahi hai. Hum dono yahi rahenge. Iss road pe.

Y/N : *chuckle* Javin, aap pagal ho.

Javin smile karta hai.

Javin : Y/N, tum haste hue angel jaisi lagti ho.

Y/N sharma jati hai. Use compliments ki aadat nahi hai na. Javin use hug karta hai aur sar Y/N ke shoulder pe rakhta hai. Y/N use dur nahi hatati. Use bohot ajeeb ajeeb feeling aane lage. Jo use pehle kabhi kisi ke liye nahi aaye.

Thodi der baad, Javin hilna aur baat karna bandh kar deta hai. Y/N apne shoulder pe dekhti hai. Aur use dikhta hai ki Javin uske upar bacche ki tarah so gaya hai. Y/N use dekhke smile karti hai.

Ek Hasina Thi, Ek Deewana Tha || CompletedWhere stories live. Discover now