In the evening
At Y/N's houseY/N apne ghar pohochke jaldi jaldi apne room mein chali jati hai. Hoping ki uske nana ji usko na dekh le. Lekin use kya pata tha ki uske nana ji ne use dekh liya tha. Aur unhe shak bhi ho gaya tha Y/N pe.
Y/N apne room mein jake change karke apne ghar ke kapde pehenti hai.
Y/N's dress
Thodi der baad use uski mummy living room mein bulati hai. Vo darte hue living room mein jati hai aur dekhti hai ki uski puri family living room mein baithi hui hai.
Selina : Aaj tu kaha gayi thi?
Y/N : Maine bataya toh tha ki hospital ke director ne bula liya tha.
Nani : Teri baaton pe bharosa nahi hai hume. Tu zarur kisi ladke se milne gayi thi.
Y/N ke ghar wale hamesha uspe aise hi shak karte rehte hai. This was nothing new. Lekin iss baar use dar lag raha hai kyuki iss baar vo actually ek ladke se milne gayi thi. Y/N apne family ko samjhane ki bohot koshish karti hai. Lekin vo log samajhte hi nahi aur Y/N ko bhala bura bohot kuch sunate hai.
Meanwhile,
Javin Y/N ke ghar ke bahar khada hua tha. Use Y/N ki bohot fikar ho rahi thi isliye vo uspe nazar rakhne aa gaya.
Javin carefully gate ke andar ghuske pipe se chadhke pehle chad pe jata hai. Phir vo chad ke dawaze se ghar ke andar jata hai. Living room ke paas jate hi use Y/N ki family ki baatein sunai deti hai. Vo log Y/N ko bohot buri tareeke se dat rahe hai. Javin ko bohot ghussa aa gaya.
Vo chupne ke liye ek room mein ghus jata hai. Use pata nahi ki room kiska hai.
Javin bed ke niche chup jata hai. Thodi der baad Y/N room mein aati hai. Vo darwaza lock karti hai aur zameen pe baithke rone lagti hai.
Y/N : Ya Allah! Kya gunah kiya tha maine?! Jiski saza aap mujhe de rahe ho? Mujhse aur sehen nahi hota! Aap mere liye koi farishta bhej do, please!
....?? : Samajh lo Allah ne tumhari sun li.
Y/N gets surprised.
Y/N : Huh? Kaun ho tum?
....?? : Farishta. Tum hi ne toh bola tha, mere liye koi farishta bhej do. Toh Allah ne mujhe yaha bhej diya.
Y/N : Allah ne meri sun li?! Lekin aap ho kaha aur aapki awaaz itni jani pehchani kyu lag rahi hai?
Javin bed ke niche se bahar nikalta hai. Y/N use dekhke shock ho jati hai aur chillane wali hoti hai. Lekin Javin ne apne hath se uska muh bandh kar diya. He whisper yells at her.
Javin : Chillao mat! Apne uss khadoos nana ko bata dena hai kya ki main yaha hoon?!
Y/N shant ho jati hai aur Javin apna hath uske muh se hatata hai.
Y/N : Javin, aap yaha kya kar rahe ho! Pagal ho kya?! Agar unhe pata chala toh hum dono ko zinda kabar deke humare kabar ke upar vo sab milke nachenge!!
Javin : Mujhe tumhare liye bohot tension ho raha tha. Maine suna vo log tumse kya keh rahe the.
Y/N apna sar jhukati hai.
Y/N : Javin, aapko jana chahiye. Koi aa jayega.
Javin : Itna tension kya le rahi ho? Main hoon na. Aur mere aane se tum khush nahi ho?
Y/N : Nahi, Javin. Aisi baat nahi hai. Main-
Javin Y/N ko hug karta hai. Y/N apni jagah mein jam jati hai. Use ajeeb feelings aati hai. You know, butterflies in the stomach. But at the same time it was wrong. Y/N hug todne ki koshish karti hai. Lekin Javin use nahi chodta.
Y/N : J-Javin, a-aap kya kar rahe hai?
Javin : Y/N, I love you.
Y/N : Hain?!?!
Y/N Javin se dur hat jati hai.
Y/N : Javin, aap aise mazak mere sath mat kijhiye. Mujhe yeh sab pasand nahi.
Javin : Main mazak nahi kar raha. I'm serious. I love you.
Y/N ke muh se kuch nahi nikalta.
Y/N : M-m-main... Uhm...
Javin : Mujhe immediately ek answer ki zarurat nahi hai. Tumhe jitna time chahiye lelo.
Tabhi unhe darwaze pe ek knock sunai deta hai. Aur vo dono panic ho jate hai.
YOU ARE READING
Ek Hasina Thi, Ek Deewana Tha || Completed
FanfictionJungkook, the famous Hindu bad boy, falls for an innocent Muslim girl who helps him. But he doesn't know her identity. Her past holds a lot of pain. His world is full of hatred. Will two broken souls be able to fix each other? This ff is in Hindi...