At Choudhary mansion
Raghu's bedroomAll the boys are in Raghu's bedroom. Jatin is standing by the window. Jitendra is sitting by the window infront of Jatin. Raghu, Javin and Samar are on the bed. And Hemant and Tahir are on the sofa.
Jatin : Y/N Jahangir ki poti hai... Javin tujhe Y/N se milna bandh karna hoga. Aur hum sabki bhalai ke liye usse dur reh.
Javin : Lekin kyu?
Tahir : Matlab kya kyu? Vo Jahangir ki poti hai! Humari dushman! Jahangir ussko use karke hume nuksan pohocha sakta hai!
Javin : Y/N bilkul bhi Jahangir jaisi nahi hai. Uss din Jahangir ne mujhpe hamla karvaya tha. Lekin Y/N ne meri jaan bachai! Aur hum usse baat kiye bina kaise pata lagayenge ki vo acchi hai ya buri?
Raghu : Javin ki baat mein dam toh hai. Jahangir bura hai isliye zaruri nahi ki Y/N bhi buri ho.
Javin : Aap sab mujhpe bharosa karo. Y/N bohot hi acchi ladki hai.
Hemant : Thik hai. Tu keh raha hai toh hum maan rahe hai. Lekin tu sambhal ke rehna. Jahangir ka koi bharosa nahi.
Javin : Thik hai.
Jitendra : Lekin hume yeh baat papa ko batana chahiye ki nahi?
Raghu : Papa se main baat kar lunga. Vo zarur samjhenge.
The next morning
National hospitalJavin Y/N se milne hospital jata hai. Vo uske chamber mein jata hai. Lekin vo vaha pe nahi thi. Phir vo uske bare mein ward boys aur nurse se puchne laga.
Ek nurse ne use bataya ki Y/N ward mein patients ko check kar rahi hai. Javin immediately bhagke uss ward mein gaya.
Y/N vaha patients check kar rahi thi.
Y/N's dress
Javin : Y/N!
Y/N Javin ki taraf dekhti hai. Aur apne patient pe wapas focus karti hai. Javin Y/N ke paas jata hai.
Javin : Y/N!
Y/N use koi bhau nahi deti aur use completely ignore karti hai. Phir Y/N ward se nikal jati hai. Javin bhi uske piche piche jata hai uska naam pukarte hue. Lekin Y/N koi jawab nahi deti. Javin grabs her wrist and stops her. Toh Y/N ko Javin ki taraf dekhna hi pada.
Javin : Y/N, tum mujhse dur kyu bhag rahi ho?!
Y/N : Aapke papa Baldev Choudhary hai?
Javin : Haan. Lekin maine tumhe bataya toh tha tumhare nana ji ne mere papa ke sath kya kiya tha!
Y/N : Mujhe pata hai! Lekin hum nahi mil sakte!
Javin : Kyu?!
Y/N : Aap unhe jante nahi hai, Javin! Vo kuch bhi kar sakte hai! Agar unhe pata chala ki main aapke sath baat kar rahi hoon toh vo hum dono ko mar denge! Isliye aap mujhse dur rahiye.
Y/N apne chamber mein chali jati hai. Javin bhi uske chamber mein ghusta hai. And he pins her against the wall.
Javin : Main kisi se nahi darta. Mere rehte hue vo tumhe kuch nahi kar payega. Please tum mujhe apne aap se dur mat karo.
Javin ke aankhon mein aansu aa jate hai. Lekin vo unhe rokne ki koshish karta hai. Y/N ke bhi aankhon mein aansu aa jate hai.
Y/N : Javin, aap jaiye. Varna main security ko bula dungi.
Javin piche hat jata hai aur rote hue chamber se nikal jata hai. Javin ke jane ke baad Y/N bhi rone lagti hai. Uska balance bigad jata hai. Vo sahare ke liye table ko pakad leti hai aur rone lagti hai.
YOU ARE READING
Ek Hasina Thi, Ek Deewana Tha || Completed
FanficJungkook, the famous Hindu bad boy, falls for an innocent Muslim girl who helps him. But he doesn't know her identity. Her past holds a lot of pain. His world is full of hatred. Will two broken souls be able to fix each other? This ff is in Hindi...