3

30 6 0
                                    

( guys mai ek baat aap logo ko batana chahti hu k mai urdu medium se padhi hu isliye kuch alfaz (words) urdu mai likh deti hu or abhi is chapter ko likhte hue khayal aaya k us baat ko clear kar du. Isliye mai kabhi kabhi jab koi word urdu mai likhti hu to bracket mai uska meaning bhi likhti hu agar koi word nhi samjh mai aayega to zarur puchna. Or ha mai fir ko phir likhti hu bcoz urdu پھر aise likha jata hai or pa se shuru hota hai. Agar ye sahi nhi lagta to mujhe batana mai use change kar dugi and sorry meri bak bak padhne kiye)











 
"Hum unhe.... Bacha nhi sake"



















Mr Jeon ye sunte hi sakte (shock) mai aa gaye. Aise jaise k unke dimag ne function karna chod diya. Unke samne sachchai kadhi hai but wo us par yaqeen nahi karna chahte the. Unhe is baat par bharosa nhi ho raha tha jo unhone abhi abhi doctor se suna, wo kaise yaqeen kar lete, abhi kl hi ki baat hai unhone Jihyun se baat ki, wo bade khush lag rahe the. Or khush ho bhi kyu na unki murad jo puri hone wali thi. Eun se baat karwai. Eun ki awaz se bhi unhe sukoon mila k sab thik hai. Or aaj ye sab?..... Aisi anhoni ho gayi. Wo kabhi sapne mai aisa nhi soch sakte the k unke itne qaribi dost k saath aisa ho sakta hai.

    "Doctor..... Doctor ye aap kya k... Keh rahe hai?" Unhone ne attakte hue pucha. Shock ki wajah se unki awaz ne unka saath dene se inkaar kar diya.

  "Ji Mr Jeon. Aap ne sahi suna. I'm really sorry par Mrs Park ab nahi rahi. Aap ko isi liye bulwana pada kyuk Mr Park ye news sunte hi unconscious ho gaye. Or is waqt unki aisi haalat nhi hai k wo khud ko sambhal sake unhe kisi qaribi rishtedaar ya dost ki buhat zarurat hai. Aap ne sahi kiya jo aap yaha chale aaye. Plz Mr Jeon aap apne aap ko sambhaliye. Hum jante hai ye waqt aap logo par bhari hai. Kisi ko khona ka dard buhat zyada hota hai ,jab hum unhe itna chate hai. To ab sochiye k Mr Park k liye ye kitni mushkil ki ghadi hai jab unhone apni better half ko khoya hai. Isliye plz app kuch na sochte hue unke baare mai sochiye".doctor ne sidhe saadhe lafzo mai unhe samjhate hue kaha.

     Doctor ki saari baato ko sun kar Mr Jeon khud par control karne ki koshish karne lage. Wo doctor ki taraf na dekhte hue table ko dekhe jaa rahe the. Doctor ki kahi har ek baat ko wo soch rahe the k haa is waqt unhe Jihyun ko sahara dena hai to unhe kamzor nhi padhna. Par phir bhi , unke aankh se ek aanso gir kar unki shirt mai absorb ho gaya.

  Jo bhi kuch hua tha sab sudden tha, Or wo dono hi inke dil se qarib the to ye dukh kis tarah nhi mehsus karte. Wo apne aansuwo (tears) ko rok nhi paye.

"Mr. Jeon plz ye samay aap kamzor nhi ho sakte, apne dost ki khatir aapko strong banna hoga". Doctor phir se unhe samjhate hue kehne lage.

Kuch der tak unhone kuch nhi kaha bus aankho se anso ki jhadi lagi hui thi. Doctor ne us waqt kuch nhi kaha wo unhe time de rahe jitna unhe chahiye tha. Badi mushkil se Mr Jeon ne apne app par qabu paya or apne aanso puch liye. Doctor ki taraf dekh kar kuch kehne ki koshish ki par rone ki wajah se gaale mai ek gola ( lump ) ban gaya tha. Doctor ne fauran samjhte hue unki taraf paani ka glass badha diya. Mr Jeon ek hi saas mai paani pi gaye. Or halki awaz mai doctor ko thanks kaha.

Doctor ne sar hila kar k jawab diya. Jab Mr Jeon kuch bolne ki halat mai aa paye tab unhone kehna start kiya. " Eun ki body? ". Wo keh kar chup ho gaye.

Doctor unki baat samjhte hue batane lage k unki body ko mortuary le jane wale the. Par unhone rok diya.

  "Ahh Mr Jeon, in sab baaton k rehte mai aap se ye nhi keh paya k Mr and Mrs Park ko ladka hua hai. Mrs Park us bachche ko deliver kar ke kuch der tak saas leti rahi. Phir unhone dum tod di.... ".

" Kya kaha aapne lad...... ladka hua hai. jihyun ko ladka paida hua hai. Kaha hai wo? Kaisa hai? Use to kuch nhi hua na doctor?"... Mr Jeon ne phele khushi ka izhar kiya phir wo panic mode mai chale gaye.

"Ji wo thik hai. Aap pareshan mat hoye. Humne bache ka observation kar liya hai. Bacha healthy hai. Aap chahe to dekh sakte hai use". Doctor ne choti si smile k saath kaha. Itne ghanto mai ye pheli baar tha jab doctor muskuraye the.

Ye dekh kar Mr Jeon k chehre par bhi halki se muskaan aa gayi. " Ji mai zarur dekhna chahuga use bhi jihyun ko, Or........ Eun ko bhi".aakhir mai kehte kehte wo phir se upset ho gaye. Wo soch rahe the k ye kaisi ghadi hai jo unke samne aayi, jaha khushi or dukh dono saath saath mai aaye the.

Par wo jante hai qismat ka likha koi badal nhi sakta use accept kark aage badhne mai hi sabki bhalayi hai, zahir hai ye asan nhi buhat mushkil hai or buhat koshish karni hogi is sab se aage badhne k liye, specially jihyun ko, par wo jante the waqt saare ghao( wounds ) bhar dega. Der se hi sahi.......

Doctor ne unke chehre ( face ) k aage hath hila kar unhe reality mai lana padha warna wo apni socho mai hi gum rehte.

" Doctor thanks aapne jo bhi kuch kiya.mai janta hu maut or zindagi upar wale k haath mai hai.and I really appreciate your words you really give me strength now. Thanks doctor". Mr Jeon ne shukar guzar hote hue kaha.

Doctor ne sar hilate hue mana kiya "nhi iski zarurat nhi hai ye mera farz hai or agar aapko koi bhi problem ho to be jijhak zarur batayega ,mujhe aapke kaam aa kar khushi hogi". Doctor soft si smile karte hue kehne lage.

"Ji zarur mai ek call karke aap se milta hu.aap free to hai na? Kahi mai aapke schedule ko disturb na kardu". Mr Jeon ne pucha.

" Nhi abhi meri koi duty nhi hai, bus 1  hour k baad ghar jaoga".doctor ne jawab diya.

"Thik hai". Mr Jeon ye keh kar bahar aa gaye.

Or ek chair par baith kar khud ko compose karne lage. Aaj is raat mai buhat kuch ho gaya or buhat kuch badal gaya. Unhe to jihyun ki badi fikar ho rahi thi k jab wo hosh mai aayege to kya reaction hoga. Kya wo sachchayi ko jaldi accept kar payege? Kya wo apni life k saath move on kar payege? Us baby ka ab kya hoga? Wo bacha bin maa k kaise reh payega? Aise hi kahi sawalat unke dimag mai chal rahe the par ek ka bhi jawab unhe nhi mil raha tha. Unhone decide kiya k jo is samay zaruri hai wo kiya jaye. waqt k chalte sab sawalo k jawab unhe mil jayege.

Kyuki zindagi kisi k liye rukti nhi....... Harsh facts.

Mohabbat Hai Tumse { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें