9

18 4 1
                                    


After sometime Rozy ne dinner k liye dono ko niche bulaya. Dono ko dinner karaya, or bedtime hote hi dono ko rooms ki taraf le gayi , jungkook ko jimin k saath wala guest room mai le gayi.

Room acha khaasa bada tha, jungkook k hisab se kafi bada tha.

" Beta aap yyaha aaram se so jao, aapke liye maine paani wagera rakh diya hai, or blanket bhi. Agar aap ko or kuch bhi chahiye to ye number par call kar dena. Mai aa jaongi ya koi bhi servent aa jayega, aap bata dena ok. Abhi aap yaha so jao, good night".

Jungkook bade dhyaan se sunta raha phir room ki taraf dekhte hue thoda jhijakne laga, to rozy ne notice kiya.

"Kya hua jungkook beta, kya aap ko room pasand nhi aaya? " Rozy ne mazak karte hue kaha.

Jungkook ne jaldi se sar nahi mai hilaya. " Nhi rozy aunty, aisi koi baat nhi hai , wo.... actually,... aa".jungkook bolte bolte hichkichane laga.

"Kya hua be jhijak kaho". Rozy ne use hausla diya.

"Wo... Aunty... Mai.... " Wo phir chup ho kar unhe dekhne laga.

" Are beta befikar kaho, bilkul bhi ghabrao mat". Rozy ne phir se use khe ne par zor diya.

"Wo aunty mai ye kehna chahta tha,. Nhi mera matlab hai mai ye puchna chahta tha k kya mai jimin k room mai so sakta hu. Agar aap permission de to" Jungkook ne akhir kar jhijakte hue keh hi diya. Pata nhi uske man mai kya aaya use bus jimin se alag nhi hona tha.

Rozy phele to use dekhte hi rahi.... Rozy k chuchup hone par jungkook ek dum sharminda ho gaya. Or fauran se khe ne laga.

"It's ok aunty mai yahi so jata hu". Jungkook ne zabardasti smile karte hue kaha.

Rozy muskura di . "Aisi koi baat nhi hai beta, bus mai confuse thi k kyu". Usne muskurate hue pucha.

"Wo mai akela nhi rehna chahta is badese room mai or jimin bhi to akela hai wo kaise soyega". Jungkook ne khud ki pareshaani batate hue jimin ko bhi us mai shaamil kar liya. Jimin apna naam sunkar uski taraf dekh smile karne laga.

"Beta jimin jab tak sota nhi uske paas koi na koi rehta hai chahe phir wo uske daddy ho ya mai, or wo zyada tar to uske daddy k saath hi sota hai, par jab Mr. Park nhi hote ghar par jaise k aaj nhi hai, jimin apne room mai sota hai. Waise ismai koi harz nhi hai k tum uske saath room share kar lo. Mai samjh sakti hu tum ek ajnabi ghar mai ho pheli baar aaye ho to thoda ajib to lagega. Agar tum jimin k saath comfortable ho to mai tumhare liye jimin k room mai hi arrangements kar deti hu. Ok".

Ye keh kar rozy ne jungkook k sar par hath rak kar uske baalo ko ruffle kar diya. To jungkook bhi muskurane laga. "Thank you rozy aunty, thank you so much, actually mai akele nhi rehna chahta or jimin ki company mujhe achi lagi, ye chota sa hai par buhat hi pyara hai iske saath waqt kab guzar gaya pata hi nhi chala. Thank you once again". Jungkook ne politely kaha.

"Koi baat nhi chalo ab jimin ki room ki taraf ise dekho iski aankhe nind se bojhal ho rahi hai ye to yahi so jayega". Dono jimin ki taraf dekhne lage. To wo bhi unhe sleepy smile dene laga or zor se yawn lene laga. Us par dono has diye or jimin ki room ki taraf badh gaye. Waha phonch kar rozy ne jimin ki night routine k baad night suit phena diya or use bistar par leta diya, jimin ne aankhe band kar li. Wo buhat nind mai tha, bistar par phonchte hi nind ki wadiyo mai chala gaya. Usi waqt jungkook bhi washroom se nikla or bed k karib aa gaya.

"Chalo ab tum bhi so jao, koi bhi baat ho to call kar dena. Ok good nnight"

"Good night aunty , thank you". Jungkook ne kaha.

Rozy waha se nikal gayi or room ka door band kar diya. Jungkook ne jimin ki tarf nazar daali to dekha wo sukoon se so raha hai. Smile karte hue jungkook khud bhi bed k dusre sire par let gaya or jimin ko dekhte dekhte hue aankhe band kar liya.

Aaj kahi dino baad jungkook k chehre par sukoon bhari muskaan thi, aaj use koi taklif daa baate yaad nhi rahi Or wo ye chahta tha k aaj k jaisa har ek din ho or wo jimin k phelu mai isi tarah saari raat guzare.

Mohabbat Hai Tumse { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें