Mrs. Park ko guzre 3 saal ka arsa ho chuka tha. Is bich buhat si chizo mai or Mr. Park ki zindagi mai tabdiliyaan ( changes ) aayi. Unhone apne aap se jo wada kiya tha wo kahi had tak pura kiya.
Mr. Park is waqt apne ghar k samne bane garden mai apne bachche k saath khel rahe the. Wo jab bhi us nanhne se bachche ki taraf dekhte unhe eun ki yaad shiddat se satati thi. Us ki aankhe, choti si khubsurat naak, chubby cheeks jise wo jab bhi pinch karte to unka beta unse naraz ho jata, sab kuch Eun ki yaad dilate the.
Ab yahi unki puri duniya thi. Ye suna sa ghar or eun ki nishani. Par usi bachche ki wajah se wo ghar ab suna nhi lagta tha. Us ki kilkariya, uski hasi jab wo apne papa k saath race lagata, uski totli si baate us ghar k chaaron aangan mai sunai deti , jisse unka akela pan or is ghar ka suna pan dur ho jata.
Or wo chahte bhi yahi the k kisi tarah se wo us baat ki taraf dhyaan na de jisse unka dil zakhmi ho jaye, or wo thi unki biwi ki yaade, jo is ghar k har kone mai basi hui thi.. Jo sapne un dono ne mil kar dekhe aaj wo us sapne ko wo akele hi ji rahe hai. Par bhulane se bhi apne kabhi bhule jate hai, unhone apne aap ko in kuch saalo mai buhat sambhala tha bus apne bachche ki khatir. Phir bhi kabhi tanhayi mai bhuli bhisri yaade dil k kone se nikal kar aankho k parde par chalne lagti Or aankho mai paani le aati. Or wo na chahte hue bhi ro padte. Isi tarah unki ye zindagi kat rahi hai. Wo jante the ab nhi to kabhi na kabhi wo is dard ko bardaasht karna sikh jayege. Or ab to unki zindagi ka ek hi maksad tha unke bachche ko dher saara pyaar dena jo eun nhi de payi. Isliye wo buhat hi laad or pyaar se uski parwarish kar rahe the. Ghar bhar mai buhat saare khilono ka dher laga diya tha. Ache se ache kapde, jute, har necessity ki chize jo bache k kaam aaye wo ghar mai maujood thi. Sirf us angel k liye jise wo apni jaan se zyada chahte the.
Ek angel sa pyara sa baby. Jiska unhone naam rakha.
"Jimin". 3 saal ka Jimin jo apne dolls k saath garden k ghaas par badi be niyazi se baitha khel raha tha, apne papa ki awaz sun kar jaldi se unki taraf bhaga. Mr. Park ye nhi samjh paye the k Jimin ko dolls kyu pasand hai,wo dusre ladko ki tarah guns ya gaadiyo k saath kyu nhi khelta hai par phir bhi wo jo khilona chahta use dila dete, kyuk abhi to wo ek chota sa baby hi to hai use jisse khelna hai khelega. Jimin ko sabse zyada plushy toys pasand the uska pura room tarah tarah k plushies se bhara hua tha. Wo unhi se pura din khelta rehta. Mr. Park kehte the k Jimin khud itna squashable hai isliye use plushies pasand hai.
Niche baithne se uske kapde kharab ho gaye the, par Mr. Park bina ek pal ko soche k unke bhi kapde kharab ho jayege, Jimin ko apni godi mai le kar khade ho gaye.
Mr. Park ne pyaar se Jimin ko dekhte hue use gudgudi ki to wo khilkhila kar has pada jis par uski aankhe bilkul naye chand ki shakal le li." Chalo ab tumhare nahane ka time ho gaya hai, dekhu kapde kitne kharab kar liye hai tumne". Unhone bade pyaar se dantte hue kaha.
Us par jimin ne sirf sir hilaya, wo use le kar andar aa gaye. Or aaya ( nany ) ko awaz dene lage" Rozy ise le jao or nehla do shaam se phele".
Rozy use le kar washroom ki or badh gayi. Jimin ne koi ana kani bhi nhi ki, wo rozy ko phechanne laga tha or apna manne laga tha. Wahi iski buhat saari zaruraton ka khayal rakhti. Mr. Park ne ye zaruri samjha k ek aaya ko rakh liya jaye kyuk wo khud starting mai akele nhi kar pate. Rozy or uska pariwar isi ghar k servant quarter mai rehta hai. Rozy k husband ko driver ki job de di or unke bachcho ka school ka kharcha bhi Mr. Park uthane lage. Jab kaam se thak kar ghar aate to Jimin unki nigrani mai rehta, kyuk pura din unhe uske pass rehne ka mauka nhi milta, or jab holidays hoti to baat hi alag hoti, us din wo khud pura dhyaan rakhte uska. Starting mai thodi diqat aayi unhe bachcha sambhalne ki k jab wo roye to kis tarah use chup karate hai, kaise nappy change karte hai, or kis tarah se formula wala doodh banate hai, kaise nahlaya jata hai. But waqt rehte unhone khushi se sikha taake wo jo time apne bache ko nhi de pate wo is tarah us kami ko pura kare.
आप पढ़ रहे हैं
Mohabbat Hai Tumse { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }
Fanfiction"Bete kuch kaam khud bhi kar lene chahiye. Jao dekho kaun aaya hai, chalo utho shabash, jaldi". Mr. Park ne thoda butter lagate hue kaha to wo bhi jane kis mood mai tha k jo uth kar darwaza khulne chala gaya. Bahari bharkam darwaza khulte hi jis pa...