Ek hafte k darmiyaan mai Mr. Park ne jaisa kaha tha waisa kiya, apni behan k liye or unke dono bachcho k liye do room ready karwa liye. apne servants ko dono room saaf karne ka order diya. Or har zarurat ki chiz us room mai rakh di gayi taake un logo k aane k baad unhe koi pareshani na ho.
Namjoon or Taehyung dono bhi Jimin se kuch saal bade the. Phir bhi jab bhi kabhi video call par baat hoti aisa lagta jaise wo ek dusre k hum umar hai kyuk wo dono bhi Jimin se baat karte waqt bilkul bachche ban jate. Unke koi cousin nhi tha nanhniyal mai. Or itne saal baad jimin hua to wo log buhat khush hue. Dono ab tak Jimin se personally nhi mil paye the par phir bhi use le kar buhat proctective rehte din mai kahi baar khud video call karte maa se chup kar taake Jimin se baat kar sake,kyuk dono ko zyada phone use karne ki permission nhi thi. Jimin ne jabse aankh kholi thi tab se wo logo ko dekhte aa raha tha.samne na sahi par mobile k through usse humesha contact mai rahe isliye Jimin unhe bakhubi phechanta tha or har waqt unhe aane ka kehta k use unke saath kehlna hai. Wo dono bhi bade besabre se ho gaye the isliye aaye din maa ki naak mai dum kiye rakhte k Jimin k pass chalo. Mrs. Kim ko bhi apne bhai or bhatije ki yaad satati thi par zindagi k jhanjato mai uljh gayi thi or baccho ki padhai bhi thi. Par unhone is baar bachcho ka dil rakha Or plan bana hi liya.
Jimin bhi buhat excited tha, din mai kahi baar puchta k, bua or uske dono cousins kab aane wale hai. Mr. Park har waqt bade aaram se use phir wahi jawab dete k jald hi aayege. Jihyun , Jimin ki khushi dekh kar bubat khush the. 3 saalon baad aisa koi mauka aaya tha jaha wo apno k saath rehne wale the. Ek sukoon sa unke dil mai utar raha tha. Unke dil mai ye khalish humesha rehti k, Jimin ko maa ka pyar nhi mil pata hai, wo apni taraf se puri koshish karte, k use maa ki kami mehsus nhi ho. Par kya kare maa ,maa hoti hai. Isliye wo is baat se zyada khush the k, kam se kam unki behan k roop mai Jimin ko ek maa ka saaya nasib hoga bhale hi chand dino k liye hi sahi. Par is par shukar karte the.
Rozy bhi uska ek maa ki tarah hi khayal rakhti thi. Par wo maa nhi thi or is baat ko koi jhutla nhi sakta tha. Mr. Park ne kabhi dusri shaadi k baare mai socha bhi nhi, sab jante the k kyu. Unka Eun k liye pyar bada gehra tha balke ab bhi waisa hi tha. Isliye chand ek roz unke dosto ne force kiya dusri shaadi k liye phir thak haar kar chup ho gaye k Mr. Park is baat par razi nhi hoge. Jihyun samjh sakte the k unke dost unki or Jimin ki fikar mai aisa sab kar rahe the, or us kathin waqt mai Jimin ko maa ki behad zarurat bhi thi . Par Mr park is par apna dil bada nhi kar sake, wo kisi or k baare mai soch bhi nhi sakte the. Par agar jimin k liye unhe ye qurbaani deni padhti tab bhi unhe ye dar satata k aane wali ache se jimin ka khayal rakh sakegi ya use sotelapan dikhayegi.yahi sab soch kar unhone har waqt inkaar hi kiya.
Mr park humesha sochte, k jimin to abhi to chota hai or ye nhi jaan paaya hai k maa kya hoti hai par jab jaise jaise badha hoga wo samjh payega, or usi wajah se kahi use maa ki kami mesus na ho , us waqt se wo darte the, kyuk wo jimin k zindagi mai koi khaali pan nhi dekhna chahte the.
Halake Jimin abhi buhat chota tha, phir usne jab rozy ko uske pariwar k saath dekha, tab uske dil mai kahi sawal uthne lage. Bachcha zarur chota hota hai par apne aas paas ki har chiz jaane k liye utsuk hota hai. Par Jimin chota hone ki wajah se wo un sawal ko sahi dhang se nhi puch pata tha.
Phir jab rozy k bachche use maa, Or uske husband ko papa khete jaise Jimin apne papa ko kheta hai, to uske man mai sawal aaya k bella or jack ki mummy ki jaisi uske paas mummy kyu nhi hai. Rozy uska buhat ache se khayal rakhti thi, bilkul apne bache ki tarah, bhale ye uski job thi, par pyar wo Jimin se apni aulaad ki tarah hi karti thi. Isliye Jimin ne use apni maa samjh liya.abhi kuch hafto phele hi ki baat hai jab rozy k liye uske munh se mummy lafz nikal gaya.
Flash back
"Bete tumne rozy aunty ko mummy kyu kaha". Mr. Park ne Jimin ko apne lap par baitha kar dheemi awaz mai pucha ,unhe Jimin ka is tarah se rozy ko mummy kehna shock kar gaya tha. Balke rozy bhi apne jagah freeze ho gayi. Jihyun ko is baat ka dukh bhi hua k Jimin apni mummy k alawa kisi or ko mummy keh raha hai. Wo jante the k is mai jimin ki or na kisi or ki galti hai, wo kabhi na kabhi to maa ki kami mehsus karega Or unse sawal karega, par wo apne dil ka kya kare. Jimin to eun or jihyun ki aulaad hai, Or unhe ye gawara nhi tha k unka beta apni maa k alawa kisi or ko maa kahe, isiliye unhone shaadi bhi nhi ki thi. Unka pyar eun k liye bada hi shiddat pasand tha.
"Papa, Jat ( Jack kuch words wo abhi bhi clearly nhi bol pata tha) or Bella bhi unhe mummy kehte hai" Jimin ne unhe jaise samjhate hue kaha. Mr. Park ko samjh nhi aa raha tha k Jimin ko kaise samjhaye. Or rozy ko dar k maare chup hi khadi reh gayi. Mr. Park reham dil zarur the, or na kabhi unhone kisi se unchi awaz mai baat ki thi, par wo janti thi ye baat unhe kitni buri lagi hai. Isliye chup rehne mai hi apni bhalai jaani.
"Ha beta par wo Jack or bella ki mummy hai, tumhari nhi". Unhone use aaram se samjhane ki koshish ki. Is par Jimin ne narazgi se unhe dekha or kehne laga.
"To phir meri mummy kaha hai, Jat ki mummy hai, bella ki mummy hai, garden jate hai waha buhat saare bachche apni mummy k saath aate hai, to meri mummy kyu nhi hai" Ye keh kar Jimin rone lag gaya, wo bacha tha use har chiz ki samjh nhi thi or har baat ko bachche jaldi dil par le lete hai. Yahi uske saath hua. Mr. Park jaldi se badh kar use gale se lagaya or rozy ko waha se jane ka ishara kiya. Rozy chali gayi. Par unhone fauran kuch nhi kaha. Jimin ko rone diya, wo nhi jante the k ye saari baate kab se Jimin k dil wa dimag mai chal rahi hai, isliye unhone use apna dil khol kar rone diya taake uska dil halka ho jaye. Or unki baat sahi se samjh sake.
Jab Jimin ki siskiya kam hui or wo thoda sambhal gaya tab Mr. Park ne kehna shuru kiya."Beta tumhari mummy ab.... ".wo such batate batate ruk gaye. Dar rahe the k Jimin ka kaisa reaction hoga. Wo kaise kadwi sachchayi ko accept karega.jihyun ne apne aap par qabu paya or himmat karke kehne lage. " Beta tumhari mummy ab....., ab humare saath..... nahi rehti". Ye kehte hi unki aankh se ek aansoo nikla or Jimin k baalo mai jazab ( absorb ) ho gaya.
"Mummy kaha hai, unhe le kar aao na papa, mujhe unse milna hai, wo hamare saath kyu nhi rehti, mai unko buhat pyar karuga to wo hume chod kar nhi jayegi".Jimin ne unke sine se sar utha kar unki aanko mai dekhte hue itni masumiyat se kaha k wo apne aansoo par control nhi kar sake.
Unhone use gale se laga liya or zor zor se rone lage. Jimin ko kuch samjh mai nhi aaya. Bus itna samjh mai aaya use k ho sakta hai uska ye topic nikalne se uske papa udas ho kar ro rahe hai, or use ye baat pasand nhi aayi k uske papa uski wajah ya kisi bhi wajah se roye to usne apne aap ko alag karte hue jihyun k aansoo apne nanhne haatho se saaf kiye. Is par jihyun, jimin ko pyar se dekhne lage.
" Mat roye papa,mujhe mummy nhi chahiye, mai aapko buhat pyar karta hu, hum dono akele rahege, mai mummy ko laane ki zid nhi karuga. Hum aise hi humesha rahege,hai na papa ? ab itmile ( smile )kar do".Jimin bilkul usi tarah samjha raha tha jaise kabhi wo use samjhate the, or aakhir mai smile karne kehte the.
Is par unhe or rona to aaya par apne bachche ki khatir wo chup ho gaye, or uske pure chehre par kiss ki baarish kar di. Is par Jimin khilkhila kar hasne laga. Unhone use gudgadi karna start ki taake uski ye mithi si awaz wo or sun sake. Kuch der baad jab mahul ka udaspan hath gaya to unhone use ice cream parlour le jane ka offer kiya or wo khushi khushi tayyar ho gaya.
Servants ko kuch order kar k or tayyar ho kar wo Jimin ko rozy k pass lene gaye, usne hi Jimin ko bahar jane k liye ready kiya tha.
"Sahab mujhe maaf karde, mujhe nhi pata tha.... ". Wo apni safai pesh kar rahi thi k tabhi unhone uski baat kaat di.
" Rozy ismai tumhari koi galti nhi hai, or na kisi or ki, mai samjhta hu wo tumse buhat hil mil gaya hai, or chota bachcha hai isliye wo tumhe maa samjh baitha. Balke mai tumhara buhat abhari hu k tumne use maa jaisa pyar diya or uski dekh rekh kar rahi hu, mujhe tumse koi shikayat nhi hai". Jihyun ye keh kar muskura kar dekha or Jimin ko le kar bahar car ki taraf aa gaye.
Unka mood nhi tha drive karne isliye driver ko car chalane k liye kaha or pichhli seat par Jimin ko gaud mai le kar baith gaye. Jimin kuch der pehli ki baate bhul gaya tha. Or windows se nazaare dekh kar excited ho raha tha.
Mr. Park uske khushi se bhare chehre ko dekh kar mutmaeen ho gaye. Par sochne lage kab tak, wo kab tak is baat ko chupa sakege. Ya phir kab tak Jimin is baat ko nhi puchega dobara. Or jab use ye baat pata chalegi to uska kya reaction hoga,kahi uska dil na tut na jaye.
Tab tak k liye koi na koi jawab dhundna hoga. Filhal wo Jimin k saath is pal ko khushi se jeena chate the.
I know boring chapter. Sorry once again😭😭😭😭

आप पढ़ रहे हैं
Mohabbat Hai Tumse { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }
Фанфіки"Bete kuch kaam khud bhi kar lene chahiye. Jao dekho kaun aaya hai, chalo utho shabash, jaldi". Mr. Park ne thoda butter lagate hue kaha to wo bhi jane kis mood mai tha k jo uth kar darwaza khulne chala gaya. Bahari bharkam darwaza khulte hi jis pa...