میں ﭼﺎﮨﻨﮯ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﮐﻮ ﻣﺨﺎﻃﺐ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ
ﺍﻭﺭ ﺗﺮﮎِ ﺗﻌﻠﻖ ﮐﯽ ﻣﯿﮟ ﻭﺿﺎﺣﺖ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ
میں ﺍﭘﻨﯽ ﺟﻔﺎﻭﮞ ﭘﮧ ﻧﺎﺩﻡ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ
ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﻭﻓﺎﻭﮞ ﮐﯽ ﺗﺠﺎﺭﺕ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ
ﺧﻮﺷﺒﻮ ﮐﺴﯽ ﺗﺸﮩﯿﺮ ﮐﯽ ﻣﺤﺘﺎﺝ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺳﭽﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﭘﻨﯽ ﻭﮐﺎﻟﺖ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ
ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮐﯽ ﺳﻮﻟﯽ ﭘﮧ ﻟﭩﮏ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﮐﺜﺮ
ﻣﯿﮟ ﺟﺒﺮِ ﻣﺴﻠﺴﻞ ﮐﯽ ﺷﮑﺎﯾﺖ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ
ﻣﯿﮟ ﻋﻈﻤﺖِ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﮐﺎ ﻗﺎﺋﻞ ﺗﻮ ﮨﻮﮞ ﻣﺤﺴﻦ
ﻟﯿﮑﻦ ﮐﺒﮭﯽ ﺑﻨﺪﻭﮞ ﮐﯽ ﻋﺒﺎﺩﺕ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ
- محسن نقوی -
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Main chahne walon ko mukhatib nahi krta
Aur tark e taaluq ki main wazahat nahi krta
Main apni jafa'on pe naadim nahi hota
Main apni wafa'on ki tijarat nahi krta
Khushbu kisi tash'heer ki mohtaj nahi hoti
Sacha magar apni wakalat nahi krta
Ehsaas ki suli pe latak jata hoon aksar
Main jabr e musalsal ki shikayat nahi krta
Main azmat e insaan ka qayal tou hoon Mohsin
Lekin kabhi bandon ki ibadat nahi krta
- Mohsin Naqvi -