16. NO MORE INTERFERENCE ?

379 29 5
                                    

'Purvi mai bahut achchhi tarah se jaanta hu ki sach kya hai.. Mujhe saaf saaf dikh raha hai ki kis ke dil mei kya hai.. Purvi, hosh mei aao aur dekho ki sachchhai kya hai..' Aditya said being a bit angry.

'Sach mujhe saaf saaf dikh raha hai.. Kisi ko mujhe batane ki zaroorat nahi hai ki kya sach hai aur kya jhoot hai..' Purvi said.

'Sach aur jhoot, sahi aur galat batana tho apnon ha hak hai..' Aditya said.

'Hai lekin kisi ke aapas ke maamlon mei padne ka koi hak nahi hai.. Aur specially ek DOST ko tho kabhi bhi nahi hai..' Purvi said.

'DOST..??!!! Seriously..? Thik hai tho AAJ SE BALKI ABHI SE MAI TUMHARE LIFE MEI KABHI INTERFERE NAHI KARUNGA..' Aditya said and left from there angrily.

Purvi looked at him and within 5 minutes, she went to her desk and called someone on the phone continuously. But she was frustrated as the caller wasn't lifting her calls.

'Aadi phone uthao.. Tum dost nahi balki... Hello Aadi...' Purvi said finally and left outside.

I sat on my desk and pretended to work. Dushyant came near me.

'I know ki tum hurt ho..' He said.

'Mai kyun hurt honga..? Mujhe ab usse koi lena dena nahi hai..' I told Dushyant and started working on my laptop.

'Kavin, tum jhoot bol sakte ho lekin apni aankhon se sach nahi chupa paaoge..' Dushyant said and left to his desk.

'Ha mujhe yeh baat bilkul achchha nahi lagta ki Purvi mere alawa kisi aur ke close jaaye.. Jab vo apni saari baatein kisi aur se share kare tho mujhe bilkul achchha nahi lagta..' I thought.

Simmy came to the bureau. She came near my desk and I saw that everyone was focusing on us. I knew that everyone wanted to know that why I married Simmy all of a sudden.

'Kavin vo.. Kya aaj hum mandir chale..?' Simmy asked me.

'Mujhe bureau mei thoda kaam hai tho aap akele chale jaaiye..' I said working on my computer.

'Kavin I know ki aap ko mujhe apnane mei thoda waqt lagega kyunki aap PURVI SE PYAAR KARTE HAI..' Simmy said.

'Aisi koi baat nahi hai.. Mujhe bureau mei sach mei kaam hai..' I said still working on my PC.

'Agar aisi baat hai tho phir yeh baat aap meri aor dekh ke bhi tho keh sakte the..' Simmy said.

'Simmy, I'm trying ki kaam jaldi khatam ho aur mai tumhare saath mandir chalu..' I said looking at her this time. She smiled listening to what I said.

'Mai nahi chahta hu ki mere dil mei jo dard hai vo kisi ko bhi pata chale..' I thought.

Simmy sat in a corner and waited for me. After sometime, Purvi came to the bureau. She halted at her place when she saw Simmy sitting on her desk. She went near her desk.

'Yeh meri jagah hai yaha se utho..' Purvi said in a raucous tone.

'Tum seat ki baat kar rahi ho..? Maine tho Kavin ki dil mei tumhari jagah le liya hai tho tum seat pe atki hui ho..?' Simmy said with a smirk.

Purvi just pushed Simmy slightly and sat on her desk. She switched on her computer and then she was working.

'Kavin ji agar aapka kaam ho gaya ho tho kya hum date pe chale..?' Simmy asked looking at Purvi.

'Ha chalo..' I said as I wanted Purvi to feel jealous and in her jealousy, she stops me. Simmy and I left from there.

'Purvi mujhe rokti kyun nahi ho tum..? Kya sach mei ab tumhare dil mei mere liye kuch bhi nahi bacha hai..?' I thought.

I went along with Simmy but my mind was continuously thinking of Purvi. I couldn't help but to think about her.

'Mai apne is dil ko kaise samjhau..? Kaise is dil ko roku uske baare mei soch band karne ke liye..' I thought.

I just walked along with Simmy while she was busy with selecting her dresses.

'Purvi ko sach mei koi fark nahi padta ki mai kisi aur ladki ke saath ghumu..?' I thought not able to digest the fact.

I was so angry that I just left to the bureau again leaving Simmy alone in the shopping mall. This continued for an year, everytime I used to do something thinking that she might feel jealous right now but everytime she just stayed calm as if nothing happened.

One day, I reached bureau earlier because I had some important work. I saw a man dragging Purvi towards the terrace.

'Yeh aadmi kaun hai aur yeh is tarah Purvi ko kaha le jaa raha hai..?' I thought.

I followed both of them and then I came to terrace and hid myself behind a pillar. I saw the man's face now. I thought he was Aditya but I was wrong.

RISHTA : EK DORWhere stories live. Discover now