SHORT 11.1 - ANUSEENA KI KAHANI

709 35 37
                                    

KAI - SO DOSTON BAHUT DINO BAAD YEH STORY UPLOAD KI HAIN MAINE ... LAGA NAHI THA KI AAJ BHI KARUNGA ... BUT KAR DIYA

RAY - HAAN ... MAINE ISSE KITNA SAMJHAAYA TAB JAAKE YEH MAANA HAIN

KAI - TU MERA DIMAG KHARAAB MAT KAR .. SHAANTI SE LIKHNE DE ... TOH AAJ KA PART THODA DIFFERENT HAIN ... SABSE DIFFERENT MERE KHYAAL SE .. TOH DEKHO KAISA LAGTA HAIN AAPKO ... ANUSEENA DAY KE UPLAKSH MEIN LIKHA HAIN

Kai - please poora padh Lena... bahut mehnat lagi hain likhne mein

yeh us din ki baat hai jis din ek shehzaada apni shehzaadi se mila tha ...( ep 128 )

log kehte hain ki ek khubsurat kahani ki shuruwaat humesha ek acche mulakaat se hi hoti hain .. toh inki mulakaat bhi kuch aisi hi KHASS thi

Shehzaada toh maze se golgappe ke thele pe golgappe khaa raha tha .. par usse kya pata tha ki uska golgappa gir ke bikharne waala hain ... but us golgappe ke girne se kuch aur jud sa gaya ...

us shehzaade ko itna dukh takraane se nahi hua jitna uske golgappe ke girne se hua tha ... bechaare ka muh udaas ho gaya ... par phir jab usne apni aankhe utha kar upar dekha toh usse pata chala ... ki duniya ki sabse khubsurat shehzaadi uske saamne khadi hain

Shehzaadi ke SARKAARI WAHAN NE USKE SAATH VISHWAAS GHAATH JO KIYA THA .... bechaari ko toh ek crime spot pe bhi jo jaana tha ... par kya karein waahan ka kuch nahi ho sakta

Ab shehzaada toh uski aankho mein hi kho gaya tha ... koi usse duniya mein wapis bulaao yaar ...

Shehzaade ko kisi ladki ke ghoorne ki wajah banne ke liye kuch bolne ki zaroorat hi nahi thi .. uska chehra aur uski aankhe hi kaafi thi kisi ladki ke dub jaane ke liye ... aur waise hi hua ... humaari shehzaadi bhi wahin dub gayi thi ...

Shehzaadi bh kuch kam thodi thi ... uski khubsurati hi kaafi thi ladko ko ghayal karne ke liye ...

Shehzaadi toh sapno se bahar aakar apne crime spot pe jaane waali thi ... tab hi ek choti si nok jhok hui .. ussi shehzaade ke saath

rishte bina nok jhok ke rishte thodi lagte hain bas ek formality lagte hain ...har rishte mein nok jhok chote hi sahi but zaroori hote hain 

Shehzaadi ne usse lift maangi .. taaki woh ITNE BADE CRIME KE SPOT pe usse pahuncha sake

Shehzaade ne bhi haan kar di ... par baad mein usse yaad aaya ki uske paas toh gaadi hi nahi thi ...

Shehzaadi thodi si chidchidi ho gayi ... ab kaise na ho .. sheher ki itni badi police adhikaari jo thi

Shehzaadi - " toh aap humein kaise lift denge .. apne kandhe pe bitha ke "

shehzaade ke kandhe kitne mazboot the yeh toh aap bhi jaante hain .. par phir bhi unke muh se ek baat nikli

Shehzaada - " are kya baat kar rahi hain aap maddam ... humaare kandhe itne mazboot kahan "

yeh toh saaf saaf jhooth hi tha kyunki koi bhi unhe dekh ke bol de ki UNKE KANDHE KITNE MAJBOOT THE 

ab jab shehzaade ne waada kiya hain ki apni shehzaadi ko chod ke aayega ... toh woh waada kaise tod de .. toh unhone kuch kaand kar daala

Ab aap sab toh jaante hi hain ki humaara shehzaada kitna bada chakri aadmi hain .... kuch bhi kar sakta hain

toh woh chala gaya ek dulhe se ghodi maange ...

ab humaari shehzaadi bhi usse pagal samajhne lagi ki koi apne shaadi ke din thodi kisi ko apni ghodi dega .. par yeh toh hain HUMAARE SHEHZAADE ... kuch na kuch karenge hi

Unhone dulhe ko pata nahi kya aisa bol diya ki bechaara dulha apne hi Shaadi ke din apni ghodi dekar Chala Gaya

( yeh toh aaj tak ek raaz hain ki unhone dulhe ko kya kahan ... intezaar hain ki iska jawab bhi humein mil hi jayega )

ANUSEENA SHORTSजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें