SHORT 11.4 - ANUSEENA KI KAHANI

340 31 23
                                    

KAI - BINA KISI BAKEITI KE .. PART PE SIDHA ATE HAIN 

RAY  - HAAN PADHTE HAIN AAYIYE 


aage toh kayi din nikal gaye .. pushpaji aur humaari pyaari santosh ji ek saath unki madat karne lage .. shehzaade ki daal jo galani thi 

ek aur suhaana din .. aur shehzaade ko pata chala ki unhe delhi jaana hain kisi karya se... aur humaari pyaari overacting ki tsunami aur masoomiyat ki dukaan me bola ki woh shehzaadi ko yeh batayengi ki shehzaada humesha humesha ke liye sheher chod ke jaa raha tha 

NO OFFENCE TO PUSHPAJI AND SANTOSH FANS 

Shehzaadi ko pata chali yeh baat aur woh daudte daudte pahunchi airport .. jahan unhe dikhe unke shehzaade .. 

dono ne apna dil kholke baatein ki 

Hm: sir

haaye kitne pyaar se unhone awaaz lagayi 


 As: are haseena ji aap .. yaha kya kar rahi hai
 Hm: hum .. aa .. aap jaa rahe hai sir
As: aa .. ha woh kal head quarters report karni hai
Hm: jaane se pehle aapne ek baar batana zaroori nahi samjha

As: bata kar kya hota haseena ji .. waise accha hua aap yaha aa gayi .. aapse kuch kehna tha .. aur agar kahe bina yaha se chale jaate .. ajeevan bhar is baat ka afsos rehta .. aapko shaayari bahut acchi lagti haina .. toh hum apni baat ek sher se hi shuru karte hai "agar hume chodkar who khush hai Toh shikayat kaisi Ab hum unhe Khushi bhi na de Toh mahobaat kaisi"

Agar aapko yahi theek lagta hai toh yahi sahi haseena ji .. hume bhulakar agar aap khush hai toh hum aapki Khushi kaise chin sakte hai .. hum aapke Jeevan se jaa rahe hai humesha ke liye .. aasaan toh nahi hai lekin praayas zaroor karenge ki jis tarah aapne hume bhula diya usi tarah hum bhi aapko bhula de .. kehte hai ki hum jise bhula nahi paate unhe aazad bhi nahi kar paate .. lekin hum poori koshish karenge ki hum aapko bhulakar is bandhan se aapko aazad bhi kar denge .. taaki dubara agar aapke jeevan mein koi dastak de uske liye aapke dil ke darwaaze khule mile .. taki phirse aap nayi zindagi shuru kar sake .. phir se kisi par bharosa kar sake .. phir se kisise pyaar kar sake aur humari chinta mat kijiye hum .. hum apne aap ko sambhal lenge aur ha ab hum koi video upload karne ki bewakoofi bilkul nahi karenge .. wada karte hai .. khayal rakhiyega apna .. chalte hai

are itni emotional baatein bol di humaare shehzaade ne .. kya hi bolun ab main .. ek toh itna lamba bola ek saaath .. dusra itna emotional 

Hm: yeh bahut accha hai sir saare faisle aap khud hi le lijiye .. zindagi mein aane ka faisla aapka zindagi se chale jaane ka faisle bhi aapka .. pyaar karne ka faisla aapka aur ab bhoola dene ka faisla bhi aap hi ka .. saare faisle aap hi le lenge toh hum kya karenge sir .. nahi ab aap chup chap khade rahiye aur humari baat dhyan se suniye .. suniye ki kyu hum aajtak khamosh khade rahe kyu humne apne dil ki baat aapse kabhi nahi ki .. woh isliye Anubhav sir .. kyuki humare liye aapse zyada pyaara humara swabhimaan hai .. jise aapke is dhoke ne todne ki oh bahut koshish ki lekin humne kabhi tutne nahi diya .. who insaan jisne humare pyaar ko tod – madodkar kat – kutkar apne matlab ke hisab ka formula ban aliya .. use hum kaise kahe ki hum ab bhi usse itna pyaar karte hai .. kaise usse kehde ki hum .. hum .. hum nahi bhoola paa rahe use aur shayad zibdagi bhar nahi bhula payenge .. bahut shiddat se chaha tha sir humne aapko .. dil ke gehraiyo se ..

yeh nikla shehzaadi ka itne dino se andar daba hua gussa .. pyaar  tha jo gusse ke form mein nikla .. ya gussa tha joh pyaar ke form mein nikla .. .bahut confusion hain re baba 

isliye shayad hum doobara aap par kabhi bharosa kar hi nahi paye kyuki hamesha ek dar laga rehta hai ki kab aap humse phir se koi naya jhoot kehde hume dokha dede .. humari self respect ki dhajiya uda de kab hum aapko phirse kho na baithe .. par ab nahi sir accha hai ki aap humesha ke liye jaa rahe hai toh jaate jaate yeh bhi sunte jaiye "badi be hisaab hoti hai mahobbat Par itna sa hisaab apne wajood ka bhi rehne de Ki jab kabhi dekhu aaine mein khudko Main main hi rahu aur tu tu hi rahe" Apna dhyaan rakhiyega sir

ANUSEENA SHORTSजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें