4. The Court trial

179 14 10
                                    

(Mini and Neil are ready for the court trial.)

Preet- Dekh Mini, aur kuch lena hai?

Mini- Nahi yaar Preet. Thanks. (She hugged her)

Bobby- Bye Mini. Jeet ke aana. Best of luck Neil bhai.

Neil- Thanks Bro.

Dadu-(from the front home) A re jeetega kyun nahi? Humari Mini haina uske saath.

Naeem- Dekho tum dono. Wahan court mein sau tarah ki baatein hongi. Mini, tu apna aapa mat khona. Sabr se aur samajhdaari se kaam lena. Nahi toh jeetne wala case har jaoge. Samjhe?

Neil- Ji Naeem Bi.

Dadu- Neil, tu dhyan rakhna Mini ka.

Mini- Haan Dadu. Hume kuch nahi hoga. Aap bas kissie de do ek.

Dadu- A re mera mann kare toh har waqt bas kissieyan deta rahun tujhe. Ab ja. Jeet ke aana. (Kissed her head) Mera Sher baccha.

Court
Judge- Karwaji shuru ki jaye.

Mr.Sharma- Mr.Neil Oberoi, aur Mrs.Isha Oberoi 4 saalon secalag reh rahe hain. Unki beti Kiya ke paida hone ke thode hi din baad, usse apni patni aur beti ko uss ghar mein chod kar chale gaye. Aur ab Mr.Neil apni beti se milne ke liye visiting rights chahte hain. Aisa kyun? Mr. Neil Oberoi, kya aap yahan par aa sakte hain?

(Neil was called to the witness box)

Mr.Sharma- So Mr.Neil, aap itne saalon se apni beti se door the, tab aapko uski yaad bilkul nahi aayi, aur ab Isha ji se divorce ke baad, aap usse apne paas chahte hain. Kyun?

Neil- Main Kiya ke paida hone ke 8 maheenon baad uss ghar se nikla. Aur aisa nhi hai, ki mujhe uski yaad nhi aayi. Main har 2-3 maheenon mein ghar zaroor jata tha.

Devki- Aur har baar Kiya ko kisi na kisi bahane se bahar le jaya jata tha, Judge sahiba. Taki woh apne pita se kabhi mil hi na sake.

Mr Sharma- Uske peeche ek reason hai, your Honour. Mr. Neil par yeh ilzaam hai, ki woh violent hain. Woh gusse mein aa kar apne hi ghar ke cheezon ki tod phod karte hain. And iss baat ki witness hai unke ghar ki naukrani, Saraswati.

(Neil was shocked. Saraswati had come to witness for Neil, but Sharma used her very tactfully. He called her to the witness box.)

Mr Sharma- Toh batao Saraswati, kya Neil Oberoi apne ghar mein cheezon ki tod phod karte the? (Saraswati stared at Neil) Unhe nahi, Judge sahiba ki or dekhkar bataiye. Kya yeh sach hai?

Saraswati- H-Han. Waise toh Neil sahab ka dimag humesha thanda rehta hai, woh zyada kisise se ladte jhagadte b nhi, par, un dino, woh thoda, gusse me rhte the.

Mr Sharma- Court ne aapse jo poocha sirf usi ka jawab chahiye, Saraswati ji. Unhone tod phod ki?

Sarswati-Han. Ki, thodi bahut tod phod.

Mr. Sharma- Aur bahut chillate the,?

(She nods sorrowful)

Mr.Sharma- Point to be noted, my lord. Mr Neil, Isha ji par chilla kar, aur cheezon ki tod phod kar k unhe darate the, unhe torture karte the, Kyunki unhone ek beti ko jana. And ab inhe usi beti se milna hai. Woh bhi Isha ji k saath divorce k baad. Akele.

(Neil is outraged. He was about to speak when he saw Mini's eyes urging him to control himself.)

Mr.Sharma- Kyun? Aisa kya karna chahte hain aap uske saath jo ki uski maa ki haziri mein nhi ho sakta?-

Devki- I object, your honour. Pehli baat, Mrs Saraswati ne, abhi khud kaha ki Mr. Neil ek bahut hi thande dimag wale aadmi hain. Aur agar Mr. Neil ko apni wife ko torture karna hota, to woh unhe aur unki betiko ghar se nikaal sakte the, but unhe aisa nhi kiya. Apna mehal jaisa ghar aur Delhi ki acchi khasi naukri chod kar 3 saalon se woh dar dar ki thokar khate phir rhe hain.

We Are In It TogetherWhere stories live. Discover now