Chapter ~ 1 ( Safar )

883 35 10
                                    

1905 Seoula nagar ke paas ke jungle wali haweli

??? : KYA MATLAB UNHE HOSH NAHI AAYAA!!!!

Doctor : H-Hum  p-poori  K-koshish  k-kar  r-rahe  h-hai m-magar  s-samajh  n-nahi  a-aa r-raha  z-zakham  b-bharne  k-ke b-baad  b-bhi  u-unhe  h-hosh  k-kyu  n-nahi   a-aa   r-raha...

??? : TUM! KISI KAAM-

??? : Hosh aayega bhi kaise ( haste huye )

??? : ( Gusse me uska collar pakad kar ) APNI BAKWAAS BAND KRIYE !!!  BHAI KO HOSH AAYEGA  AANA HI HOGA AUR AGAR NAHI AAYA TO MEIN LAUGA SAMJHE!!!

??? : ( muskurate huye uski aankho me dekhte huye kehne laga ) Nahi tum nahi la sakte

( Ye sun kar jisne us aadmi ka collar pakda tha jo be sabri se apne bhai ke hosh mein aane ka intazaar kar raha hai uska khoon khoolne lgta hai kyuki duniya me sabhi log chahe apne bhai bhen se kitna bhi ladh jhagad le aakhir mein wo unki jaan hi hote hai unke ek din door jane se sb soona soona lagta hai unki kisi ek din bakwaas na suno to esa lagta hai ye poora jahan qabristan ki tarah shant ho gya hai aur jab aapke wahi bhai bhen aapke saamne hokr bhi aapko dekh nahi sakte jb wo aapke saamne hote huye bhi aapse bol nahi sakte aapse ladh nahi skte to us waqt insaan ko sukoon kaise mil sakta hai esa lagta hai jism mein jaan to hai lekin rooh ka sukoon koi apne sath le gya hai aur bina sukoon ki rooh or aadmi bohot khatarnaak hote hai wo apne uss sukoon ko paane ke liye kisi bhi had tak jaa skte hai aur is aadmi ka haal bhi kuch esa hai wo bhi apne bhai ko thik karne ke liye KUCH  BHI  KAR   SAKTA   HAI  ye aadmi gusse mein use dekh hi raha hota hai ki tabhi us dusre aadmi ki aage ki baat sunkr wo use uljhan ( confused ) hokr dekhta hai  )

??? : Tum nahi la sakte magar tum use la sakte ho jo tumhare bhai ko waapas la sakte hai...

??? : Aapke kehne ka kya matlab hai Mama ( Mama is mother's brother )

Mama : Mein sahi keh raha hu tum use waapas nahi laa skte...

( Ye sunkar Us ki uljhan aur badh jati hai kyunki pehle to uske bhai ko hosh nahi aa raha hai doctors ki dawaiyo aur koshisho ka bhi koi asar nahi ho raha hai uapar se uske mama esi baate karke uski uljhan aur pareshani ( confusion and tension ) dono badha rahe hai )

??? : Nahi...Mein lauga bhai ko waapas wo kahk gye thodi hai wo to bas so rahe hai mujhe bas unhe uthana hai.... Han mujhe bs uthana hai unhe

( ye kehkr wo apna sar hilate huye upar kamre ki taraf jaane lagta hai jaise wo khudh ko samjha raha ho ki uske bhai bas so rahe hai wo sidiyo par chadhne wala hi hota hai ki uske mama ke agle shabd uske kadamo ko rok dete hai aur wo apni jagah par ese ruk jata hai jaise jam gaya ho  )

Mama : UTHAOGE  TO  JAB  WO  SO  RAHA  HOGA  WO  SO NAHI  RAHA  JAY   WO  KED  HAI  WO  US  BURI   AATMA   KI   KED  MEIN  HAI!!!!

Jay : NAHI!!!  BHAI  KISI  BURI AATMA  KI  KED  ME  NAHI  HAI UNKE  SAR  PAR  CHOT  LAGI  THI  IS  WAJAH  SE  WO  UTH NAHI  RAHE  HAI  BS  WO  KISI AATMA  KI  KED  ME  NAHI  HAI MAMA JI!!!!

( Ye baat sunkar mama ji Jay ka hath pakadhte hai aur use uske bhai ke kamre ki taraf le jate hai aur jab wo kamre ka darvaza kholte hai to unhe kamre mein sannata milta hai lekin us sannate me ajeeb si khusfusahat ki aawaze aa rahi hoti hai jaise koi kuch keh raha hai Jay apne mama ki taraf dekhta hai aur uske mama uski taraf dekh kr bed ki taraf dekhte hai jaha Jay ka bhai leta hua tha magar ab uske poore shareer par chadar padi hui thi aur dekhne se esa lag raha tha jaise uske shareer sukda hua hai kyuki uski taange chadar ke kinaare tak nahi thi mama ji Jay ko ishara krte hai darwaze par rukne ki aur khudh aage jakr uske bhai ke bed ke paas khade ho jate hai aur dheere dheere uske shareer se chadar uthate hai aur jo aage wo dekhte hai woh dekh kar Jay ke pero ke neeche se zameen nikal jati hai uski saans do pal ke liye tham jati hai use esa lagta hai jaise wo koi bura sapna dekh raha hai kyuki wo bhai jisse wo dil-o-jaan  se pyaar karta hai uska jism ab neele rang ka hona shuru ho gaya hai aur uski gardan ke paas karoocho ke nishaan hai jaise kisi ne lambe naakoono se uski gardan pakdi ho aur sbse badi aur dil dehla dene wali baat uski bhai ki band aakhon se khoon ke aansu aa rahe hai jaise wo apne dil aur jism ke dard ko unke zariye batana chahata hai mama ji uske upar phir chadar dalkar Jay ka hath pakadkr darwaza band krke use kamre se bahar le aate hai aur wahi Jay ke dimag me apne bhai ki halat ka manzar chal raha hota hai mama ji use apne kamre me le aate hai aur kursi par bitha kar pani ka glass dete hai aur wahi Jay aankhen neechi krke soch hi raha hota hai lekin phir sar upar uthakr mama ji ki taraf dekh kr aansu bhari nigaho ke sath unse puchta hai )

{ MUNTAZIR }Where stories live. Discover now