( Recommended songs while reading this chapter - Apna mujhe lga ( 1920)
Jaavedaan hai (1920) Khud ko tere (1920)
Apna mujhe (1920)Author pov
Ghar laut te huye khamoshi ki ek chadar ne Yn or Jay ke darmiyan fasla kar diya tha, ek aesa fasla jo itna lamba ho chuka hai ki usme yn ka bharosa yn ki shafqat Jay ke liye khatam ho kar ek nafrat ki chingari ne janam lena shuru ho hi Rahi thi ki kahi na kahi yn ka dil se aawaz aa rahi usse sab kuch Jane Bina koi faisla nahi karna chahiye. Yn ke chehre pr sawalo ki shikan Jay ko bhi saaf dikh rahi thi jisse dekh kar uska dum ghut Raha tha lekin usse bhi ummeed thi ki yn shayad usse apni safayi pesh krne ka mauka de or wahi Tahir jiske jism par na jane kitni chote hain jiska jism neela sa padh chuka tha uspar wapas noor-e-zindagi aane lga tha . Gaadhi rukte hi Jay yn ki madad karta hai Tahir ko kamre me le jane ke liye.
Kuch ghanto ke baad jab yn tahir ke saare zakhmo par marham lga chuki hoti hai uske mele kapdhe naukri se keh kar badalwa deti hai or ek lambi sukoon ki saas leti hai ki aakhir uske Tahir ji theek hain uske samne hain. Sukoon ki neend so rahe hain . Tahir ko bukhaar bhi hota hai jiski wajah se wo shayad thodi der or so yn apni jagah se uth kar kamre se bahar aati hai jahan na jane yn ne kitne sipahi tahir ki rakhwali ke liye khadhe kiye hote hain or har ek sipahi ko dhamkaya gya hai ki agar unke yuvraaj ko kuch bhi hua to unka sar alg kar diya jayega or wahi saare sipahi pehle se hi apne yuvraaj ke liye jaan dene ko tayyar hain aakhir na jane kitne arse ke baad unke raajye ke hone wale Raja theek hokar Ghar laute hain. Yn ek baar sbko fir dhyaan rakhne ko bolkar apne kamre ki taraf Jane lagti hai yn ko tahir ke aane ki jitni Khushi hai usse utne hi Jay ki is harkat par sawal hai....
Sawaal hai agar usne Tahir or rooh ki kadhi apna khoon dekar jodhi to wo yn ke paas kyu aaya tahir ko bachane ke liye ?
Sawaal ye hai ki Tahir ki yaad me Jay ke galat hone ka kyu naam-o-nishaan nahi tha?
Sawaal ye hai kyu Jay apni jaan par khel kar Yn ki madad kar raha tha Tahir ki jab ki uska maksad Tahir ko marne ka tha ?
Or usse badha sawal ki ye sab samne aane ke baad Jay kyu nahi bhaaga jab ki usse pata hai Tahir ke hosh me aate hi usse Saza-e-maut ho sakti hai kyuki Tahir is raajye ka hone wala Raja hai or Raja ke khilaf sazish sirf maut hi hai aakhir kyu wo us khidhki ke samne khada hokar yn ke neeche aane ka intezar kyu kar kar raha hai ?
YOU ARE READING
{ MUNTAZIR }
FanficMuntazir means ( Intezaar, raah dekhna, waiting for someone ) hope you get it well... this gonna be a horror + thrilled + romantic fiction and what's the story actually.... i also don't know I just thought about the starting let's see ahead what it...