Yn : Jay!!!!!!!!!!!!!!!!
Talha : Hello brother.... (smirk)
Jay : B-Bhai-
Talha khidki ke bahar khada hua apni khoon se bhi zyada surkh nigahon se Jay ko ek shaitaani muskurahat ke Saath dekh raha ho aur Jay ka shareer use dekh kar jam gaya uska dimag aur jism sun ho gaya hai use kya ho raha ha kyu ho raha hai kuch samajh ni Aa raha ho use kuch samajh nahi Aa raha bs use ye pata hai uske saamne uska badha bhai khada hai jo is Waqt koi aur nahi ek shaitaan hai lekin us shaitan ki nigah uske jism se uski tamaam takat kheech raha hai Jay ko khadhe khadhe sab dhundala dikhai dene lagta hai ki sab andhera hai uski palken band hi hone wali hoti hai tabhi woh dekhta hai ki Talha khidki se aar paar ho jata hai aur usse bs ek hath ke faasle par kadha ho jata hai uski aankhon ka rang surkh se bhi zyada surkh ho jata hai jo Jay ki rooh ko hi ghoor rahi hai achanak Jay mehsoos karta hai ki koi uske jism se kuch kheech raha ho jaise koi use cheer raha ho uska dil daba raha ho aur usse itna Dard mehsoos hota hai ki wo zameen par girne lagta hai Talha use girte dekh kar hasna shuru kar deta hai ek aesi haulnaak hasi jise sunkr koi bhi rone lage aesi aawaz jo agar koi sun le to saalo tak dar se so na paye aesi shaitaani aawaz jo har Insaan ki rooh ko kaapne par majboor kar de lekin.........................Jaise hi Jay zameen par girta hai tabhi peeche se ek bhagti hui Yn Talha par dum kiya hua paani fek deti jiski wajah se Talha ka jism jalne lagta hai aur Kala dhua nikalne lagta hai aesa lagta hai jaise uske jism me aag lag gayi ho wo karra jata hai yn ki taraf badhne ki koshish karta hai yn us par dobara Paani fekti hai lekin is baar aadhi bottle se zyada fek deti hai jo Talha ko bilkul hila deta hai aur wo bhi dusri taraf gir jata hai yn jay ke Paas beth ti hai aur dekhti hai jay ki aankhe band ho rahi hoti hai tabhi use ek aawaz dimag me sunai deti hai.
Ustad : Betu Talha ne Jay ki rooh nikalne ki koshish ki hai Jay ki rooh uska shareer chodh sakti hai samjho uske shareer aur jism me Sirf dhage si patli dor hai jo kabhi bhi toot sakti hai.
Yn ye Baat sunkar tham jati hai use aesa lagta hai jaise uski duniya ruk gayi use pata hai esi shaitaani roohe maasoom logo ki rooho ko khakr apna pet bharti hai aur taakate bhi badhati hai khud ko aur shaitaani banati hai aese cases usne kaafi handle kiye hai aur bachaya bhi hai lekin ye Pehli martaba hai ki koi apna uski aesi halat me hai....
Yn mn me : Apna....? Wo jay ki taraf dekh sochti hai
Tum apne kab ho gaye jay ye soch kar uski aankh se aasu aata hai jo jay apni band hoti nigah se dekhta hai aur apna hath uske chehre par le Jane ki koshish karta hai yn uska hath pakad leti hai aur ab use ehsaas ho jata hai ab wo akeli nahi hai is duniya me uske bhi apne hai jinke liye uske dil me mohabbat, hamdardi hai. Use ehsaas ho jata hai Jay ab koi chota bhai nahi hai jo Sirf apne badhe bhai ko bachane ke liye uske Paas aaya tha wo Sirf ek ajeeb yuvraj nahi hai jise pahado par ultiyaa aati hai wo Sirf wo yuvraj nahi hai jise badi se haweli ek chota sa gareeb khana lagta hai ye Sirf wo ladhka nahi hai jo use pishachiniyo ke jungle me mila tha jisne uske per to check kiye the ulte hai ya seedhe lekin us hiran ke per nahi dekhe the aur jab dekhe to bullet train se bhi tez bhaaga tha ye wo nahi hai lekin........................................... Phir Kon hai?Dost....
Ek masoom, Pagal, gussel, ziddi lekin apne apno ko bepanah mohabbat karne wala ladhka hai jo bas apne bhai ke sahare jee raha hai uski mohabbat ke sahare jee raha hai jo ab Jane anjane me in dino me uska dost ban chuka hai jo ab uski zindagi ka hissa ban chuka hai jisne Pehli martaba yn ko saalo ke Baad dhundta jiski wajah se yn uski mohabbat se dobara mil payi jiski wajah se aaj yn saalo Baad hasi.......
YOU ARE READING
{ MUNTAZIR }
ФанфикMuntazir means ( Intezaar, raah dekhna, waiting for someone ) hope you get it well... this gonna be a horror + thrilled + romantic fiction and what's the story actually.... i also don't know I just thought about the starting let's see ahead what it...