Manzil door hai

190 12 17
                                    

Seoula nagar

Seoula nagar

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jay : Aaiye ye hai hamari aur bhai ki choti si haweli mein to yaha bachpan se raha hu kyuki mehel me rehna mujhe pasand nahi tha lekin bhai pita ji ko akela nahi chodh sakte the isliye din me wo pita ji ke paas aur raat me yaha mere paas aa jaya k...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Jay : Aaiye ye hai hamari aur bhai ki choti si haweli mein to yaha bachpan se raha hu kyuki mehel me rehna mujhe pasand nahi tha lekin bhai pita ji ko akela nahi chodh sakte the isliye din me wo pita ji ke paas aur raat me yaha mere paas aa jaya karte the ( Jay apni yaadon ko baante huye ek choti se muskan ke sath Yn ko bata raha hota hai Yn uski aankho ko dekh kar saaf bata sakti hai ki ye sab batate huye use sukoon aur bechaini dono ho rahi hai sukoon apne bhi ki wajah se becheni...ki agar uske bhai wapas us ke paas aakar use akela nahi chodhenge )

Yn pov

Fikar mat karo Jay mein apni poori koshish krungi tumhare bhai ko tumhare paas lane ki

Author pov
Yn aur Jay apne apne khayalo me khoye huye haweli ke darwaze ki seedhiyo par chadh hi rahe hote hai tabhi ek haulnaak cheekh sunai deti hai jo haweli ke andar se aati hai Jay aur Yn ek pal ko apni jagah par ruk jate hai aur ek dusre ki taraf dekhte hai isse pehle wo kuch kehte tabhi unhe ek aur cheekh sunai deti hai lekin is baar ek aurat ki aur ye cheekh sunkar

Jay : SHAMBO KHALA!!!

Jay haweli ke andar dhaudta hai Yn bhi uske peeche aati hai Jay darwaza dhakke se khol kar andar aata hai Yn bhi andar aane wali hoti hai lekin wo darwaze ki chaukhat par ruk jati hai jab Jay peeche mud kar dekhta hai aur ishare se puchta hai kya hua Yn use ishara karti hai ki wo aage jaye wo aa rahi hai Jay ek pal ko hichkichata hai lekin use is baar uske Mama ke cheekhne ki aawaz aati hai to wo rukta nahi hai aur seedhe upar apne bhai ke kamre ki taraf dhaudhta hai.

Yn pov

Ye wo nahi jo hum samajh rahe hai shayad isi wajah ne ustaad ne mujhe yaha bheja hai....

Author pov

Jay bhaagta hua apne bhai ke kamre ki taraf jaa raha hota hai lekin seedhiyo tak jate jate uske kadam tham jate hai aisa lagta hai jaise uske pairo ke neeche se zameen nikal gayi ho aisa lagta hai jaise uski duniya hi palat gayi ho aisa lagta hai jaise wo koi khwab dekh raha hai....Ek bura khwab...
















Talha seedhiyo pe raing raha hai apne hath aur pairo ki madad se jaise ek chipkali chalti hai aur wo Jay ke pero ko dekh kar ruk jata hai lekin jab wo apni shakal Jay ki taraf karta hai to jaise Jay ke dil par kisi ne khanjar se waar kiya ho Jay d...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Talha seedhiyo pe raing raha hai apne hath aur pairo ki madad se jaise ek chipkali chalti hai aur wo Jay ke pero ko dekh kar ruk jata hai lekin jab wo apni shakal Jay ki taraf karta hai to jaise Jay ke dil par kisi ne khanjar se waar kiya ho Jay dekhta hai ki uske khudh ke bhai ke chehre par kharocho ke nishaan hote hai jin me se ab khoon nikal raha hai aankhe poori tarah laal hai jaise saare jism ka khoon un mein hi jam gaya hai lekin Talha use dekh kar ek haulnaak muskurahat deta hai aur kehta hai

Talha : AAAA GAAYAA MEERAA BHAAAI HIHIHIHIHI. AAJAA MEEREE GAALEE LAAAG JAAA

( Ye kehkar Talha us par chalang laga deta hai aur Jay ab bhi is sadme ki wajah se apni jagah par hi khadha rehta hai Talha uske upar girne hi wala hota hai tabhi Jay ka hath pakad kar koi peeche kheech leta hai aur sath me wo bhi gir jati hai Jay ko hosh aata hai ki kya ho raha hai aur dekhta hai ki Yn ne use kheecha hai Yn aur Jay talha ki taraf dekhte hai jo khudh bhi zameen pr girta hai lekin wo unhe mudh kar dekhta hai aur phir ek bhayanak aawaz mein hasna shuru kar deta yn aur Jay zameen se uthte hai tabhi)

Talha : AAACHAAA  TO ABB YEE. BACHAYEGI.  YUVRAAJ.   TALHAA KOO. HAHAHAHAHAAHA

Yn uski taraf dekhti hai aur muskurati hai ek aisi muskaan jo shayad koi agle kadam ka aagaz tha wo Talha ki taraf se mudh jati hai aur Jay jo peeche ki taraf khadha hota hai uski taraf jane lagti hai Jay , mama ji, shambo khala, kotwaal, aur ghar ke do teen aur naukar jo upar se dekh rahe hote hai wo yn ko confusion me dekhte hai ki wo ye kar kya rahi yaha tak Talha bhi waha ek kursi par beth jata hai Jay ke bilkul saamne thi Yn Jay ke paas aa to jati hai lekin.......use dhakka maar kar uske peeche jo parda hota hai use khol deti hai jisse dhoop ki roshni bilkul saamne jaha Talha betha hota hai wahi padhti hai aur jiske padhte hi Talha ke andar ki aatma dard me karra padhti hai cheekhna shuru kar deti waha se bhaagne lagti hai tabhi Yn apno kamare ki belt me se ek khanjar nikal kar seedha uski tang par fekti hai wo phir bhi bhaagne ki koshish karta hai Yn doosra khanjar bhi fekti hai ab uski dono taange zakhmi ho jati hai ye dekh kar Jay ki aankhon mein aansu aa jate hai lekin wo kar bhi kya skta hai siwaye Yn jo karna chahti hai wo krne se...

Wo aatma rengne ki koshish karti hai lekin is baar Yn hath me thoda sa dam kiya paani chidak kar aur padi hui tabeeh bandh kar Talha ka per pakadh kar use dhoop me kheechna shuru karti hai Talha ki cheekhe poori haweli me ghoonj rahi hoti hai lekin koi bhi Yn ko rokne ke liye kuch nahi karta kyuki sb ko pata hai ki ye kyu aur kis liye ho raha hai dhoop ki roshni me aate hi Talha ke jism se ek kaale rang ka dhua nikalne lagta hai aur dard me karrana shuru kar deta hai wo phir bhagne ki koshish karta hai lekin iss baar Yn uska sar pakadhti hai aur kuch padhna shuru kar deti hai Talha Yn par hamla krne wala hota hai lekin Jay tabhi uske hath pakadh leta hai aur unhe peeche kas ke rakhta hai Yn tabhi apna dusra hath Talha ke dil par rakhti hai aur usi samey ek aakhiri haulnaak cheekh ke baad Talha behosh ho jata hai... Jay use girne se pehle pakadh leta hai lekin Jay ki aankhein ab bhi nam hoti hai apne bhai ki ye halat dekh kar aur kotwaal aur naukar us badi khidhki ko khol dete hai aur uske aage ek bada sa sofa bhicha dete hai Talha ko wahi lita diya jata hai

Aur Yn wo ab bhi apni jagah par khadhi hoti hai aur ab wo dheere se apni aankhein kholti hai jinme aansu hote hai Jay use dekh kar confuse ho jata hai lekin uske agle alfaz Jay ko ek aur naya jhatka de dete hai.....





















Yn : Tahir ji....














To be continue ~




{ MUNTAZIR }Where stories live. Discover now