Yn : Tum sach me yuvraaj ho???
Jay( teesri baar ulti krte huye) h-hn k-koi s-shak...
Yn in mind : Shak ni yaqeen ho raha hai zara si chdhai pr utliyaan krni shuru kr di.
Jay: Mujhe pahadi ilaqe me chakkar aate hai kamzor ni hu ( Phir ulti Aa gyi)
Yn : 🙂
Jay : 🤢
Yn : 🤦🏻♀️
Yn : Agar tumhe aese hi utliyaan aati rahi to hum pohoch gye tumhari bua ke ghar.
Jay: M-Maaf karna.
Yn use dekh kar afsos bhi karti hai ki kitni pareshani hone ke Baad bhi jay uff tak nahi kar raha apne bhai ko bachane ki har mumkin koshish kar raha hai chahe yn ko dhundh e ke liye pishachiniyo ke jungle me ghus jana yn ko manana aur ab pahadho par chakkar aur ultiya aane ke Baad bhi wapas Jane ka Naam tak nahi hai bas use kisi bhi tarah apne bhai ko theek karna hai uske liye chahe use koi bhi pareshani dekhi i padhe aur ab uski halat kaisi hai uske chehre se saaf pata chal raha hai jo chakkaro aur ultiyo ki wajah se peela padh gaya hai thaki hui aankhein saaf bata rahi hai ki use kitni pareshaani ho rahi tabhi chalte huye yn ek jhopdi dekhti hai jaha peeche aangan ki taraf se dhuan bhi Aa raha hota hai jo ye saaf zaahir krta hai ki waha koi rehta bhi hai sooraj bhi doobne wala bhi hota hai thodi der me andhera bhi ho jayega pahad par sardi bhi hone lagi hai aur jay ki halat bhi kuch theek nahi hoti isliye yn aaj waha rukne ka khayal karti hai aur jay aur apna ghodha pakad kar us jhopdi ki taraf chalne lagti hai jay jo chakkaro ke nashe me hota hai yn ko us taraf jate dekh kar uske peeche chalne lagta hai aur yn kehti hai.Yn : Aaj hum yahi ruk jate hai kal apna safar mukammal karenge.
Jay : L-Lekin-
Yn : Lekin kuch nahi agar hum kal subah uth kar jayenge to dopeher tak pohoch jayenge. Ab chalo!!!
Jay apne man me ( Yaar ye kitna gussa karti hai 🙂 jwalamukhi kahi ki 😒 bhaiiiiiiiiii thekkkk ho jaiye na aapke Jay ko aapki Yaad Aa rahi hai 😭 aapke alawa sab mujh par cheekte hai koi pyaar ni karta koi dhyan ni rakhta 🤧)
Yn : Dil me gaaliyaan dena band karo aur chalo ab!!!
Jay: Aayaaaaaa!!!!Ek aadmi kaale rang ki shall odhe aag jala raha hota hai aur uski biwi andr se Paani jug me lekr Aa rhi hoti hai jay aur yn ko dekh kar wo ruk jati hai aur wo aadmi bhi unki taraf uth kar Aa jata hai tabhi yn bolti hai.
Yn : Musafir hai ek raat ka aasra chahiye...
Biwi : khush aamdeed ( welcome)
Yn use ek choti muskan ke sath sar hilakr Haan kr deti hai aur Jay ki taraf dekhti hai jo ab neend me jhoom raha hota hai aur apne sar par hath maarti hai.Jay aur yn ko ek kamra de diya jata hai jisme beech me ek halka sa parda hota hai aur dono taraf unke bistar lage huye hote hai Jay to apne bistar pr padh kar hi so jata hai aur wahi yn ab bhi jaagi hui hoti hai aur soch rahi hoti hai ki kya hua? Kya hua hoga? Aur aage kya hoga? Lekin use ab bs Tahir ka khayal zehen me hai Pehle to wo ek chote bhai ki zid ki wajah se yaha aai thi jo apne bhai ko bachana chahta tha lekin ab to ye uske hi pyaar ki zindagi ka sawal hai jo ladhki dusro ki Jaan bachane ke liye apni Jaan khatre me daal deti hai wo apne pyaar ke liye Jaan de bhi de to koi chaukne ki Baat nahi hogi. Yn apne khayalo me khoi hui hoti hai lekin tab use ek aawaz aati hai...
Jay : b-bhai mat j-jao b-bhai...
Yn parda hata kar dekhti hai to jay ki band aankho se aansu aate dekhti hai jo uske dil me ek ajeeb si bechaini paida kar dete hai wo samjh ni pati ki kya kare jay ko uthaye ya aese hi Rehne de lekin Jay ki aankho Se aansu rukte nahi aur ye tay karti hai ki wo use ab utha degi wo use uthane ke liye apna hath aage karti hai aur use hilati hai lekin jay uska hath pakad leta hai aur uske hath ko gale laga leta hai jiski wajah se yn ko uske Paas hona padhta hai wo apna hath kheechti bhi hai lekin jay uska hath nahi chodhta lekin ab wo sukoon se so raha hota hai uski aansu bhi ruk chuke hote hai jise dekh kar yn chain ki Saans leti hai aur uske maathe par bikhre balo ko peeche krti hai aur uska masoom chehra dekh kar muskurate huye sochti hai...
Yn : ab ho gya ab ho gya mujhe yaqeen tum yuvraaj nahi ho tum to... Tum to ek chote bachche ho jo bs apne bhai ke sahare jee rahe ho jiske aage peeche itne log hone ke Baad bhi tum bas ek hi Insaan ko talash karte ho apne bhai ka...😊Jay sote huye muskurata jaise usne yn ki mn ki aawaz sun li ho aur yn ye dekh kar hasne lagti hai aur usi ke Paas bethe bethe so jati hai..
Jay pov
Ye kaisi aawaz hai...? Jay apni aankhe dheere dheere kholta hai aur yn ko apne daahine taraf betha sote huye dekhta hai Pehle to wo confuse ho jata hai lekin Baad me use ehsaas ho jata hai ki usne kisi ka hath pakda hua hai aur wo hath kisi aur ka nahi yn ka hota hai lekin kyu aur kaise? Baad me use ehsaas hota hai uski palken bheegi hui hai aur aankho me chubhan bhi ho rahi hai jiska matlb wo ro raha tha jiske Matlab ye use yn be neend me rote huye dekh Lia ye soch kar use Sharam aati hai lekin yn ne use uthaya nhi balki usi halat me so gayi ye soch kar uske chehre par ek muskurahat uske Jane bina Aa jati hai
Lekin tabhi use ek aawaz Phir aati hai Jay ka dhyan ab poora us aawaz ki taraf hota hai aur wo aawaz us kamre ke bahar Se Aa rahi hoti hai aur wo us aawaz ka peecha karte huye kamre se bahar Aa jata hai...Yn ka khwab :
Yn : Ustad aap? Aap yaha kya kar rahi hai?
Ustad : Betu aap jaha hai waha se foran nikal jaiye aur wo jagah surakshit nahi hai!!!!
AUR USKE LIYE TO BILKUL Nahi!!!!
Yn : m-Matlab!? Aur kiske liye surakshit nahi hai aap kya Keh rahi hai aur hame kisse khatra ho sakta ha-
Ustad : TAAHIR SE!!!!
Yn : K-Kya!?
Ustad : Ji betu Tahir se unke andr jo aatma hai wo koi aam aatma nahi hai wo saalo Se intezaar me thi aapko sab pata chal jayega lekin aap Pehle Jay ki hifazat kro uski Jaan has sakti hai wo aatma dono yuvrajo ko maare bina nahi jayegi!!!
Yn : k-kya????
Ustad : hn betu isliye ab aap jaldi jao aur lo ye sheeshi isme dam kia Paani hai ye us aatma ko Maar ni skta lekin chand lamhon ke liye tum logo se peecha chuda dega.
Yn wo sheeshi le leti hai
Ustad : BETU JAO WO JAY KE QAREEB HAI BOHOT Qareeb!!!?Yn ki aankh khulti hai aur wo Jay ko apne Paas nhi paati ek pal ke liye uski dhadkan ruk jati hai aur use aawaz lgati hai
Yn : Jay!!!!!!!!!!!!Jay jo kamre se thodi door hota hai yn ki aawaz snukar palat ta hai lekin -
Hello brother....
To be continue ~
YOU ARE READING
{ MUNTAZIR }
FanficMuntazir means ( Intezaar, raah dekhna, waiting for someone ) hope you get it well... this gonna be a horror + thrilled + romantic fiction and what's the story actually.... i also don't know I just thought about the starting let's see ahead what it...