Aagaze Safar

214 17 3
                                    

Subah 5 baje

Mama ji : Beta mene saari zarurat ka saaman baggi me rakhwa diya hai aur ye lo ye naksha hai uske ghar tak jane ka pakka to nahi pata ye naksha sahi hai ya nahi lekin andaze se to sahi hona chahiye kyuki kooripura me use dekha to gaya hai lekin uska ghar kaha hai ye kisi ko nahi pata lekin mene apne khaas jasooso se pata karwaya hai wo kooripura ki pahadi ke peeche wale jungle me kisi nadi ke kinare ek veeran khandhar me reh rahi hai aur waha tak tumhe akele hi jana hoga kyuki baggi pahadi tak jaa skti hai jungle me nahi aur.....

Jay dhyan se sab sun raha tha lekin ab apne mama ko gor se dekh kr ishara karta hai ki wo aage bole

Mama ji : Aur zara sambhal kar sunne me aaya hai us jungle me kuch pishachiniya ( witch ) bhi hoti hai jo aadmiyo ko apne khoobsurti ke chalawe me fasa kar uska shikar karti hai ( ye keh kar wo chup ho jate hai lekin unki aankhein saaf bata rahi hoti hai ki wo jay ke jane se kitne pareshan hai kyuki unhone in dono bhaiyo ko hamesha apne beto ki tarah samjha hai aur kisi ka ek beta jab maut ke muh me fasa ho aur dusra bhi use bachane ke liye maut ka darwaza khat khatane jaa raha ho to dar to lagta hai aur mama ji ka ye dara aur Pareshan chehra Jay samajh jata hai aur dil na hone ke baad bhi mama ji ko ek choti si muskan deta hai aur unki aankhon me dekh kar bolta hai )
 
Jay : Sahil ke sukoon se kise inkaar hai lekin, toofan se ladhne me maza hi kuch aur hai aur jab baat bhai ki ho to toofan kya me is duniya ki saari taakato se ladhne ke liye tayyar hu chahe wo koi buri aatma ho ya koi pishachini.

Ye sun kar mama ji jay ko gale laga lete hai aur kehte hai

Mama ji: Apna dhyan rakhna aur laut kr jaldi aana kyuki hame nahi pata hamare paas samey kitna hai

Jay haan me gardan hilata hai aur apni baggi me beth jata hai kotwaal ghodhe ki lagam kheechta hai aur YAHA SE SAFAR KA AAGAZ HO JATA HAI .  ( AAGAZ = starting of something )

  ( AAGAZ = starting of something )

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jay pov

Nikla hu khoj me teri o ajnabi bas dua hai tujhse mil kar meri pareshani door ho jaye....

Nikla hu khoj me teri o ajnabi bas dua hai tujhse mil kar meri pareshani door ho jaye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
{ MUNTAZIR }Where stories live. Discover now