Yn : Tumhe Kaise pata?
Jay : W-Wo ek baar bhai ne bataya tha ki unko ek ladhki pasand thi aur uski tasveer unki diary me hai. Isliye mujhe laga bhai ne bua ko wo dikhai hogi jo wo tumhe pehchan gayi.
Yn : Achcha... Tumne mujhe us diary ke baare me bataya nahi ho sakta hai hame us diary se kuch pata chal jaye.Ye sun kr Jay chalti hui car beech me rok deta hai aur Phir kehta hai..
Jay : Ynie agar mujhe us diary ke baare me pata hota to me tumhe khud de deta lekin wo kaha hai iske baare me mujhe bhi nahi pata.
Jay ye sab yn ki aankho me dekh kar bolta hai lekin yn Sirf gardan hila kar saamne dekhne lagti hai.Yn aur Jay ghar Aa jate hai abhi 42 ghante hone me samay hai jay aur yn safar se bohot thak jate hai tabhi jay yn ko uska kamra dikhata hai.
Jay : Aap thoda aaram kar lijiye aur fresh ho jaye hum Phir Baat karte hai me bhi tab tak kuch kaam dekh lu kuch dino se yaha nahi tha aur bhai bhi....Dekhna to hoga ki karobaar me kya chal raha hai aap khane ke samay neeche Aa jaiyega hum tabhi Baat kr lenge aage kya kare.
Yn bs Haan me sar hila deti hai ek muskan ke sath.
Yn : Ab aetbaar nahi.
Yn man me : Jay jay jay kitna chupaoge aur kaise chupaoge aur kisse chupaoge (Smirk)
Author pov
Yn is samay Tahir ke kamre me Jane ki liye nikalti hai.
Wo dekhti hai kamre me sab uthal puthal padi hai jaise yaha se abhi koi toofan gya ho lekin yn ko ek cheez khtakti hai wo hai ek toota hua sheesha jabki yn ne khud Saare sheeshe bahar nikalwaye the to ye sheesha yaha kaise aaya aur yahi sheesha wajah thi jo wo rooh tahir ke jisme me Phir se kabza kar payi yn ka khoon ab kholne lagta hai aur uske zehen me bs ek hi Baat aati hai wo hai diary ab use jay par bhi shak hone lgta hai use ab aetbaar nhi rha isliye use ab sb kuch khud krna hoga in logo ke beech reh kr inke khilaaf jana padha to wo Jane me bilkul nhi hichkichayegi use waise bhi kisi ka khauf nahi hai aur yaha to tahir ki Baat Hai jise wo mohabbat karti hai yaha to uske dushmano ko usse khauf karna chahiye kyuki wo koi aam ladhki nahi tilasmi taakto ki muhafiz aur unse ladhne wali ek wahid takat bhi hai.
Yn tahir ke takye ke neeche dekhti hai use wo waha nahi milti lekin use Phir ek haulnaak aawaz sunai deti hai jisse wo samajh jati hai Waqt mukammal ho gya wo khidki ke bahar dekhti hai aur hn raat ho chuki mtlb Tahir Aa Gaya hai apne sath us buri aatma ko lekr aur uski aawaz itni khatarnak lagti hai ki yn ek pal ko bhool jati hai ki use Jay par shak hai blki uski hifazat ke Dr se wo neeche bhagti hai.Yn neeche aakr dekhti hai to use Tahir Mama ka gale pakde dikhta hai aur Jay bahar se bhaagte huye Aa raha hota hai yn is sab se thak chuki hai wo ab gussa ho jati hai aur gusse me Tahir ke Paas Aa jati hai lekin Paas aakr dekhti hai to uska dil sun ho jata hai wo dekhti hai tahir ne khud ko naakhoono se kharche Maar rkhi hai uska jism challi challi hua wa hai yn jaise hi aage badhti hai tahir yn ka gala pakad leta hai mama ka chodh kar Jay ye dekh kar aage aata hai lekin yn use apna hath dikha kr rok deti hai yn apni aankhe band kar leti hai aur tahir ke hath par apna hath rakh kar kuch padhne lagti hai. Tahir use dekh kr ruk jata hai aur chand lamho me Tahir aur yn dono hi behosh hokar zameen par gir jate hai.
Jay : Ynnnnnn!!!!!!
??? : Ek shor hai mujh me jo khamosh bohot hai, tumhari aazmaisho se zyada meri mohabbat bohot hai.
YOU ARE READING
{ MUNTAZIR }
FanfictionMuntazir means ( Intezaar, raah dekhna, waiting for someone ) hope you get it well... this gonna be a horror + thrilled + romantic fiction and what's the story actually.... i also don't know I just thought about the starting let's see ahead what it...