Raat

32 8 11
                                    

Shaam jala Rahi hai phir se apna deep
Khayal Sulagh rahe hain agarbatti ki tarah
Gadhi ki tik-tik hai ki thamti hi nahi
Dekho wo raat aa gayi hai
Ban kar sooraj par aaseb ( Musibat )

Har ek qadam ke sath yn ke pero ke nishaan peeche chhootte Jaa rhe the lekin khauf zada hone ki baat ye thi ki har nishaan surkh khoon ke rang m chapa dikhayi maloom pdh rha tha jisse chokhat par khadha Jay dekh kr ghabra Raha tha or wahi yn ke chehre par ek alag si khamoshi dikhayi de rahi thi Jahan uske chehre pr ek ummeed dikhni chahiye thi ki aakhir ab wo is shaitaani rooh ko khatam krne Jaa rhi is shaitaani khel ko uske anjaam Tak pohchane Jaa rhi hain balki uski jagah uski mathe pr shikan thi jo ye saaf jata rahi thi ki wo kisi gehre khayal me khoyi hui hain.

Jay - Y-Yn khoon....
Yn palat kar dekhti hai or ek choti si muskurahat deti hai .
Yn - Kuch nhi hai ye bs chhalawa hai tum darro nahi .
Yn ka dhyaan Jay ki halat pr jata hai wo dekhti hai khoon me tar-ba-tar khadha hone ke bawajood zara se khoon ke qadmo ko dekh kr sehem Gaya hai uska dost, lekin ye waqt sochne ka nahi tha Yn ko jald se jald kaam karna tha waqt guzar Jaa rha tha yn us taboot ki taraf aane lgti thi or unki nigah kamre me pdhti hain jahan usse kuch laashe dikhti hain

Yn pov
Ae khuda tu har jagah maujood hai koi choti si choti cheez tujhse chupi Hui nahi hai tu apne bando ko maa se bhi zyada pyaar karne wala hai fir is shaitaan ko kese ijazat de rha hai ye sab karne ki aakhir kya masliyat hai teri is me!
Kyu tu sath hokar bhi koi jawab nahi deta jab ke tu sab sunta hai! Kyu galat hote huye bhi to hone deta hai jab ki teri rehmat me har kisi ko panah mil jati hai.....
Kya tu mujhse khafa hai....?
Kya tune mujhse muh mod lia hai...?
Agar ye baat hai to me tere aage hath felakar fir dua karti hu mere gunaho ko maaf kar de lekin mujhse naraz na ho mujhse khud ki nazar se gumshuda na kar dekh meri taraf apni rehem ki nigah se or kr de madad meri is baar kyuki tere alawa ye jung jeetna ab mere bas ki nahi rahi . Mene suna hai jab hum koi kaam tere hawale karte hain to tu ussi ko zariya bna deta hai jo hamare kaam me dikkat paida kar raha hota hai.

"Ussi ko zariya bna deta hai jo kaam me dikkat paida kar raha hota hai...."

Yn Jay ki taraf mudhti hai or kehti hai

Yn - Jay! Yaha kahi sheesha hai jisme me poori dikh saku !????

Jay hichkichata hai or kehta hai

Jay - Kyu kya karna hai ab jala nahi rahi tum isse ?

Yn - Jalaungi zaroor Jalaungi lekin mujhe pehle kuch karna hai uske liye ek bdhe aayene ki zarurat hai!!!

Jay- Dekho yn 2:55 wese hi ho rahe hain 3 bje Tak tumne khud kaha tha ki tahir Bhai ki taakate badh jayengi or wo andar bhi aa sakte hain fir bhi tumhe aayena chahiye to wo dekho us almari ke andar laga hua hai

Yn kamre ke us kone ki taraf dekhti hai jahan Jay ishara kar raha hota hai or usse ek badhi si Almari Rakhi hui dikhayi deti hai. Yn almari kholti hi hai ki usse peeche se ajeeb si aawaz sunayi deti hai wo palat kar dekhti hai to Jay taboot par tel chidhakna shuru kr deta hai yn usse aesa karte dekh chauk jati hai or usse aawaz deti hai

Yn - JAY!!!! Ye kya kar rahe ho mene kaha na hum isse aese nahi jala sakta mujhe lagta hai-

Jay - LGTA HAI KI KUCH GADBAD HAI KOI KADHI BHAI OR US ROOH KE BEECH ME HAI JO TUM BHAI KI YAADON ME BHI NAHI DEKH PAYI HO!!!

Yn ka jism sun pdh jata hai uske liye duniya ruk si jati hai aesa lagta hai ki Zinda ne aesa jhatka diya hai jis par yaqeen karna bhi chahe to nahi kar sakti or aesa mehsoos wo kare bhi kyu na ?

Ek ladhka jo apni jaan par khel kar usse yaha tak laya sirf apne bhai ko bachane ke liye
Ek ldhka jo jabse mila hai ek hi guzarish karta hai usse ki uske bhai ko theek kar do wo ladhka usse dhoka dega, wo ladhka jisse wo dost Maan ne lagi thi lekin kyu...?
Dhoka hi to hai ye ki jab usse pata hai ki koi kadhi beech me hai to usne ab tak kyu nahi bataya ya Jay ko bhi vash me kr lia Gaya hai
Yn ke zehen me hazaro sawal chal rahe hote hain uske sar me dard hone lagta hai hath per aesa thande ho jate hain jese jism me khoon jam Gaya ho lekin Jay se kuch kehne se pehle yn aakhein band karti hai or man me kuch padhti hai aankhein kholti hai to usse samne Jay uski taraf badhta dikhta hai

{ MUNTAZIR }Where stories live. Discover now