At night after dinner everybody went to their rooms..... Anirudh was in study reading a book...... saudamini came.....she was very furious.....
Sau : Anirudh....!
Ani : aree aao na mini betho
Sau : main bethne ke liye nahi aayi hu mujhe baat karni hai tumse
Ani : haa bolo
Sau : ab toh tumhara case bhi khatam ho gaya ab toh tum humare baare mein ghar pe sabko bata sakte ho na
Ani : phir wohi baat mini maine kaha na sabar rakho thoda
Sau : kab tak Anirudh aakhir meri bhi toh feelings hai
Ani : main samajhta hu mini dekho abhi jakar so jao hum baad mein baat karte hai tum iss waqt pareshan lag rahi ho
Sau : tumne hi pareshan kar rakha hai anirudh ek simple si baat hai usse kyu itna uljhana hai keh do na sab se
Ani : tum kyu nahi samajhti yeh sab itna asan nahi hai
Sau : kyu asan nahi hai anirudh yaa phir tum baat karna hi nahi chahte
Ani : kya matlab hai tumhara
Sau : matlab yeh ki tum bhi unn baaki mardo ki tarah ho jisse dono kashtiyoh mein sawar rehna hai apne pariwar ke saamne ya samaj ke saamne accha bana rehna aur unki peeth pichhe affairs chalana
Ani : saudamini ( loudly ) tum jao yaha se iss waqt dimaag thikane par nahi hai tumhara
Sau : kyu itni jaldi mujhe bhej ne ki taki kamre mein jaakar apni patni ke saath maze kar sako
Now Anirudh was hell furious....
Before he can do anything shubra slapped her hard..... Anirudh looked at her....Shubra : mere hi ghar mein khade hokar mere hi bete aur bahu ke rishte par sawal uthane wali hoti kon ho tum....
Sau : aapke bete ka pyaar ; kyu anirudh bataya nahi apne pariwar ko
Shubra : sab pata hai mujhe lekin ek baat jaan lo humare liye iss ghar ki bahu aur aur anirudh ki patni sirf aur sirf bondita thi bondita hai aur humesha bondita hai rahegi.....iss ghar mein tumhare liye koi jagah nahi hai nikal jao yaha se kabhi apni shakal mat dikhana
Sau : anirudh tum toh kuch bolo
Ani : kya bolu main saudamini mujhe apne aap par gussa aa raha hai ki maine tumse pyar kiya pyar ki neev bharosa hota hai aur tumne uss neev ko hi hila kar rakh diya
Shubra : aur anirudh yeh koi tujhse pyar vyar nahi karti isse sirf apne mehenge shauk pure karne hai isne socha roy choudhury ghar ki bahu ban jaayegi shayad tu usse London bhi le jaaye.....yehi sab iske dimag mein hai bachpan se aur yeh baat mujhe pehle hi pata chal gayi thi iske pita ne hi isse kaha tha tumse dosti kar ke tumhe apne pyar ke jaal mein phasaye taaki aage chal kar woh tumhare baba ke saath vyaapar kar sake jo tumhare baba ko zara bhi swikar nahi tha isiliye hum tumhare baal vivah ke khilaf the par jab humne tumhe iske jaal mein faste hue dekha toh humne soch liya ki kuch bhi ho jaaye isse aur iske baba ko kaamyab nahi hone denge isiliye tumhari shaadi humne bondita se karwayi aur hume humare nirnay par jara bhi pachtawa nahi hai.....aaj ussi nirnay ki wajah se humara ghar aabad hai....humne socha shayad vivaah ke baad tu apna Mann badal lega par tu nahi samjha.....aur jab tune London jaane ki baat kahi toh maan gaye sirf isiliye taaki tu isse durr rahe
Anirudh was distraught.....
Sau : anirudh yeh jhuth bol rahi hai mujhe tumhari nazro mein ghirane ki koshish kar rahi hai
Ani : bass ( loudly ) khabardar meri maa ke ek bhi aisa waisa shabd kaha mujhse bura koi nahi hoga maa agar aapko yeh sab pata tha toh bataya kyu nahi pehle
YOU ARE READING
Destiny is everything
FanfictionWhat happens when Anirudh and bondita get married in their childhood...... What if Anirudh doesn't accept their marriage after coming from London.... Where will their destiny would lead them....